Yeh aascharya ki baat nahi hai ki bahut se log bahut jaldi yane ki kam umra mai shadi kar lete hai. India ki baat kare to yaha adhiktar shadi kam umra mai hi hoti hai. Shadi kisi ke bhi jivan ka ek bahut mahatvapurn faisla hota hai.
Isliye aaj ke lekh mai ham aapko kam umra mai shadi ke fayde aur nuksan ke bare mai batayenge. Lekin haa ham aapko bata de ki kam urma mai shadi aur bal vivah mai farak hai.
Baal vivah to aajkal kaafi kam ho chuka hai aur aesa hona bhi chahiye. Aaj ke lekh mai ham aapko unn logo ke bare mai bata rahe hai jo balak to nahi hote hai lekin haa fir bhi thode jaldi shadi kar lete hai. Aaiye jante hai Advantages and Disadvantages of Early Marriage taki aap bhi apni shadi ka faisla bina kisi doubt ke le sake.
Kam Umra mai Shadi ke Fayde aur Nuksaan Kya Hai?
Fayda: Sikhne Ke Liye Kafi Wakt Milta Hai
Jab shadi jaldi hoti hai to ladka aur ladki dono ko chize sikhne ke liye kafi samay milta hai. Jaise jin ladkiyo ki shadi 17-18 mai ho jati hai unhe apni grah-grahasti sambhalna sikhne ke liye kafi samay mil jata hai. We umra mai choti hoti hai to unki saas unn par kaam ka jyada bhojh bhi nahi dalti hai aur unhe acche se kaam sikhne mai madad karti hai.
Wahi ladke par bhi pariwar ka bhoj nahi aata hai. Kyoki jab wo chota rehta hai to uss douran uske papa bhi earning kar rahe hote hai.
Nuksan: Understanding Nahi Baith Pati Hai
Jab aapki umra jyada hoti hai tab aap acche se samajh pate hai ki aapki understanding kis se jamegi aur kis se nahi. Lekin kam umra mai aap mai yeh faisla lene ki samajh nahi hoti hai.
Aese mai ladke aur ladki dono chizo ko samjhe aur ek dusre ko lekar chale to thik warna to bahut hi mushkil ho jata hai.
Fayda: Mushkil Samay Se Jaldi Samna Khatam Ho Jata Hai
Jab aapki shadi jaldi ho jati hai to chize jaldi se adopt ho jati hai. Kyoki jaise jaise umra badhti hai vaise vaise expectation bhi badhti jati hai. Fir apni expectation ke anusar partner dhund pana, job dhundne se bhi jyada mushkil ho jata hai.
Isliye jab jaldi so jaye ek dusre ka sath bhi jam jata hai aur life se demand ek jaisi ho jati hai. Aur sirf pyar hi pyar rehta hai.
Nuksan: Young Mata-Pita Banna Hai Mushkil
Jaldi shadi hone par bahut kam umra mai hi mata pita ban jate hai. Aese mai bacche ki parvarish sahi se hona thoda mushkil hota hai. Pita ki umra kam hone ke karan wo jyada nahi kama pata hai. Jiske chalte wo apni wife aur bacche dono ka palan poshan kaise karega.
Wahi ladki yadi maa ban jaye to use bhi itna knowledge nahi rehta hai ki bacche ka khayal kaise rakha jaye. Bhale hi wo ek maa hone ke nate koshish puri karti hai lekin kai na kai kam urma yane kam gyan to hota hi hai.
Fayda: Jivan mai Bematlab Ki Pareshani Nahi Rehti
Jaldi shadi hone par kai samasyae jo ki late shadi hone par aati hai wo nahi aati. Jaise jab late shadi hoti hai to uss bich kitne hi log relationship mai aate hai. Kai fail ho jate hai jiske chalte pyar jaisi chizo par jyada bharosa nahi hota hai.
Purani kuch yado ke chalte we apna naya jivan bhi kharab kar lete hai. Bahut se logo ki purani jindagi, unke naye jivan par itna prabhav dalti hai ki talak jaisi nobat aa jati hai. Lekin jinki shadi jaldi ho jati hai unke jivansathi hi unka pehla pyar hota hai, jisse koi gadbad nahi hoti.
Nuksan: Sikhsha Ki Kami
Jald shadi ho jane ke karan education thik se nahi ho pata hai. Yeh dikkat ladki ke sath jyada aati hai, kyoki ladke umra mai thode bade rehne ke karan unka graduation ho jata hai. Fir bhi jaldi shadi ke chale unhe post graduation karne mai delay hona jaisi samasyae samne aati hai.
Aaj ke jivan mai apne pair par khade hone ke liye padhna bahut jaruri hai. Isliye har parents ko apne baccho ko pehle padhana chahiye, chahe fir ladka ho ya ladki. Effects of Early Marriage ko dhyan mai rakhte huye hi shadi ka faisla lena chahiye.
Fayda: Bacche Ki Jaldi Nahi
Aapki shadi jaldi ho jati hai to aapke pass ghumne firne, life ko enjoy karne ka kaafi samay rehta hai. Aapko bacche hone ki jaldi nahi rehti hai. Isse aapke upar pregnancy ka tension jaldi nahi aata. Kyoki yadi aap late shadi karte hai to family ka bacche hone ko lekar pressure hota hai. Jisse aap apne partner ke sath free samay nahi gujar pate hai.
Nuksan: Compromise Karna Padhta Hai
Jaldi shadi hone par bahut sare compromise karne padhte hai. Ladkiya apne hisab se career nahi chun pati hai. Family ki responsibility ke liye kai bar job bhi chodna padhta hai. Wahi ladke bhi special training aadi nahi kar pate hai kyoki unhe apne pariwar walo ko wakt dena padhta hai.
Upar aapne jana Advantages and Disadvantages of Early Marriage. To aap jaldi shadi karne ke fayde aur nuksan jaan chuke hai. To acche se vichar kare aur apni jindagi ka sahi faisla le.