Pregnancy Myths in Hindi: Garbhavastha Se Judi Galatfehmiya

Garbhavastha ka samay pratyek nari ke liye sabse khubsurat samay hota hai. Yeh wo wakt hota hai jab aap aur aapke apne aapki har chhoti chhoti baton ka khyaal rakhte hai. Kyoki iss wakt thodi si bhi laparwahi aapke bacche ko nuksaan pahucha sakti hai.

Isliye aap har uss bat ko manti hai jo aapke hone wale bacche se judi hai. Lekin aise samay ko aapko sahi aur satik jankari hona bahut jaruri hai. Kyuki kai bate aisi bhi hoti hai jo mithak bhi hoti hai. Aapko pata hona chahiye ki kya bat sahi hai aur kya mithak hai.

Kyuki garbhavastha ke 9 mahine garbhavati mahila ke liye bahut savedansheel hote hai. Iss douran mahilao ke swasth, vyavhar mai kai tarah ke badlaav aate hai. Grabhavati mahila ko isi douran kai salah di jati hai lekin kuch bate aisi bhi hai jinko manna jaruri nahi hai unme se kuch bate mithak bhi hoti hai.

Kuch aise bhram hai jinko garbhavati mahila ko bataya jata hai. Jisse uske hone wale bacche ko nuksaan pahuch sakta hai. Parantu vastav mai aisa kuch nahi hota hai. Isliye aaj hum aapko inn bhram se judi kuch bate batane ja rahe hai. Jante hai Pregnancy Myths in Hindi.
 

Pregnancy Myths in Hindi: Garbhavati Mahila Jarur Jane

 
Pregnancy Myths in Hindi
 

Myth 1: Pet Ka Ubhar Ko Lekar Galatfehmi

Kai logo ka aesa manna hai ki pet ka ubhar jyada hoga to ladki hogi aur yadi ubhar kam hua to ladka hoga. Lekin visheshgyo ka kehna hai ki pet ka aakar mahila ke bhrun ki avstha, manspeshiyo ka aakar aadi ke par nirbhar karta hai. Sath hi unke udar par jami charbi bhi iska ek karan hai.
 

Myth 2: Alcohol Ka Sevan

Aisa kaha jata hai garbhavati mahila ko alcohol ka sevan nahi karna chahiye. Kintu yeh puri sacchai nahi hai, Yadi aap drink karti hai to garbhavshtha ke douran hafte mai ek bar bahut kam matra mai alcohol ka sevan kar sakti hai. Parntu iska matlab yeh nahi ki thoda thoda karke bahut jyada pee le kyuki issse bhrun ko aur aapko dono ko nuksan hoga.
 

Myth 3: Coffee Ka Sevan

Coffee garbhavati mahila ke liye pina nuksandeh mana jata hai. Lekin aisa nahi hai aap din mai ek cup coffee pee sakte hai. Parantu dhyan rakhe ki ek se jyada coffee pina aapke swasth ke liye accha nahi hota hai. Kai bar isse garbhpaat bhi ho sakta hai.
 

You may also like:- Pregnancy Care in Hindi: Garbhavastha mai Kare Dekhbhal

 

Myth 4: Khane Ki Chahat

Yeh bhi manyata hai ki grabhvati mahila ko yadi meetha khane ki iccha ho rahi hai to ladki hogi aur namkin khane ka man kar raha hai to ladka hoga. Lekin yadi ham Pregnancy Myths about Gender ki baat kare to hone wale bacche ke ling ka khane ki chijo se koi lena dena nahi hai.
 

Myth 5: Anguthi Ka Movement

Kai logo ko utsukta hoti hai ki ladka hoga ya ladki uske liye kai tarah ki chiije karte hai jaise anguthi ko dhage se bandh kar pet par le jakar hilate hai yadi iska movement aage piche ho to ladka hoga. Wahi agar anguthi gol ghum rahi hai to aapko ladki hogi. Lekin yeh satya nahi hai yadi aap isse masti maje ke liye kar rahe hai to koi bat nahi.
 

Myth 6: Paracetamol Dawai

Iss bat mai bilkul sacchai nahi hai ki garbhavstha ke samay aap paracetamol ka sevan nahi sakte. Kyuki baccho par iske abhi tak koi dush parinaam samne nahi aaye hai. Lekin garbhavati mahila ko dawaiyo ka sevan jitna ho sake kam karna chahiye. Aur chahe koi bhi dawai ho bina chikitsak ki salah ke nahi lena chahiye.
 
Pregnancy Facts and Myths
 

Myth 7: Baalo Par Color

Garbhavati hone ke douran baal color karne ko lekar kai logo mai mithak hai. Lekin doctor ki mane to shurwat ke teen mahino mai baalo mai color nahi karna chahiye jisse color mai mojud chemical sar ke raste se bhrun tak na jaye. Kyoki us wakt bacche ka aang aakar le rahe hote hai.
 

Myth 8: Masik Dhram

Garbhdharan karne ko lekar mana jata hai ki masik dharm ke 14 ve din bad garbhavati hone ki sambhavnaye kaafi hoti hai. Isliye usi samay sambhog karna chahiye lekin iss bat mai bilkul bhi sacchai nahi hai kyuki pratyek mahila ka masik chakra alag alag hota hai.
 

Myth 9: Garbhavastha mai Vyayam

Aesi bhi manyta hai ki garbhavstha ke samay vyayam nahi karna chahiye. Kintu iss bat mai puri sacchai nahi hai. Garbhavashtha ke douran kuch vyayam hote hai jinko karna bahut aavshayk hota hai. Taaki aapki manspeshiya majboot bani rahe aur aapka baccha swasth ho. Lekin vyayam karne se pehle doctor ki salah jarur le.
 

You may also like:- Twin Pregnancy Symptoms in Hindi: Garbh Mai Judva Bacche

 

Myth 10: Bhojan Ka Kare Sevan

Har mahila ko Pregnancy Facts and Myths pata hona chahiye. Kaha jata hai ki garbhavati mahila ko din mai kam se kam 3 se 4 bar khana khana chahiye. Lekin aisa bilkul bhi nahi hai aap chahe to thoda thoda karke din mai 6 se 7 bar khana kha sakti hai. Iski wajah se sharkara ka star sahi bana rehta hai. Parantu yaad rakhe ki na to jyada khaye aur na hi dieting kare.
 

Myth 11: Hriday mai Jalan

Yadi garbhavshtha ke samay aapko kabhi kabhi hriday mai jalan hoti to kaha jata hai ki aapke bacche ke sar mai bahut jyada baal honge. Lekin iss tarah ki jalan hona garbhavati mahila ke liye bahut aam baat hai iske hone wale bacche ke baal se kuch lena dena nahi hai.
 

Myth 12: Peeth Ke Bal Sone Se Bacche Ko Nuksan

Peeth ke bal sone se bacche ko bilkul bhi nuksaan nahi hota hai. Parantu doctor grabhvati mahila ko bayi taraf karvat leke sone ki salah dete hai. Isse garbhavati ko accha bhi mehsus hota hai aur uterus aur plasanta mai rakt pravaah bhi bad jata hai.
 
Upar aapne jana Pregnancy Myths in Hindi. Ham jante hai ki garbhavastha bahut hi muskil dour hai. Lekin yadi aapko kisi bhi tarah ka confusion hota hai to aap isme chikitsak ki salah le sakte hai. We aapko bilkul sahi tarah se guide karenge.

 

Loading...

You may also like...