Aurat ho ya purush vajan ghatana aajkal lagbhag har insan ke list mai shamil hai. Aur agar hum ladkiyo aur mahilao ki baat kare to unhe to jara sa bhi vajan badhane par chinta satane lagti hai. Lekin aaj ki badalti huyi life style mai hum jyadatar tala aur bhuna khana khane lage hai. Jisse sharir mai din pratidin charbi badti jaa rahi hai. Isse niyantrit karne ka aap har sambhav prayas kar rahe hai, lekin fir bhi asafal rehte hai. Lekin kya aap jante hai ki aap apne bhojan mai vasa ki matra kam kar denge, to aap apne sharir mai bad rahi charbi ko kam kar sakte hai.
Lekin aapko jaana hoga wo konse aahar hai jo vasamukt hai jisko aapko apni dincharya mai shamil karna chahiye. Aur iske sath sath aapko aise aahar ke bare mai bhi jankari hona jaruri hai jo vasa ghatane mai jaruri hote hai. To aaiye jante hai Fat Burning Foods in Hindi aur usse hone wale fayde.
Vasa Ghatane Wale Sehatmand Aahar
Mosambi(Sweet lemon)
Iss fal mai Vitamin C ki bharpur matra hoti hai. Jami charbi ko ghatane ke alawa, yeh kharab cholesterol level ko ghatata hai. Sath hi yeh cancer ko paida karne wale tatvo ka bhi nash karta hai.
Illaychi(Cardamom)
Iska upyog kai chizo mai swad badane ke liye kiya jata hai. Vastav mai yeh ek aushadhi hai aur iska sevan thik tarah se karne se atrikt charbi ko kam kiya ja sakta hai.
Lehsun(Garlic)
Vasa(fat) ko kam karne mai lehsun bhi kisi chamtkari aushadhi se kam nahi hai. Iske alawa khane ko sai tarah se jaldi pachane mai bhi lehsun mahtvapurn hai. Sath hi yeh insulin ka star kam karne aur metabolism rate bhadhane mai bhi madadgar hai.
Palak(Spinach)
Mahilao ko diet mai palak jarur shamil karna chahiye. Iske alawa anya hari pattedar sabjiya jaise broccoli, patta ghobhi(Cabbage) hona bhi jaruri hai. Inme bharpur matra mai fiber hota hai. Yeh calori mai low rehti hai, jisse ki pet bhara rehta hai aur sharir ka fat bhi burn hota hai.
SeaFood
Seafood jaise ki fish crabs ko khane se motapa kam karne mai madad milti hai. Darahsal Seafood khane se leptin namak harmon ke stra ko kam karne mai madad milti hai. Jo ki sharir mai vasa ko ektrir karne mai madad karta hai.
Mirch (Chili)
Mirch charbi ghatane mai sahayak hoti hai. Iske lawa kali mircha ke sevan se bhuk control mai rehti hai, aur rog pratirodhak shamta bhi badhti hai.
Adrak(Ginger)
Adrak se sirf khane ka swad hi nahi badhata, balki vasa kam karne mai bhi isko upyogi mana jata hai. Iske alawa iss se pet mai gas ki samsya se bhi nijad paya ja sakta hai.
You may also like: Health Benefits of Ginger: Nature’s Gift to All Maladies!
Rasbhari (Raspberry)
Rasbhari mai kitone namak tatva paya jata hai. Jo ki weight loss mai madadgar hai. Sharir mai jitney bhi fatty cell mojud hote hai. Raspberry unka breakdown karti hai. Sath mai isme moujud fiber pachan kriya ko dhima bana dete hai. Jisse ki pet dinbhar bhara rehta hai.
Ande(Eggs)
Ande vasa ko burn karne mai bahut labhkari hai. Isse na keval shararik urja milti hai, balki vasa ko bhi kam karne mai madad milti hai.
Badam(Almonds)
Sukhe mevo mai badam ek aesa healty option hai jo fiber, vitamin aur poshak tatvo se bhara huya hai. Ise bhuk lagne par aaram se khaiye aur body fat ko burn kijiye.
Jaitun ka Tel (Olive Oil)
Jaitun ka tel (Olive Oil) sharir mai moujud adhik cholesterol ki matra ko kam karne mai madad karta hai. Yadi aap apne khane ko pakane mai Jaitun ke tel ka istemal kare to aapko vajan kam karne mai bahut madad milegi.
Sprouts
Isme fiber ki kaafi matra hoti hai. Iske sevan se vajan kam karne mai madad milti hai aur pachan prakriya bhi acchi ho jati hai. Fiber sharir se vishele tatvo ko bahar nikalne mai madad karte hai aur atirikt vasa bhi kam karte hai.
Santra(Orange)
Santra khane se calorie nahi badti aur isme moujud citrus acid, sharir mai jame fat ko todne mai madad karta hai.
Green Tea
Antioxidant se bharpur green tea, vasa ka level kam karne mai sahayak hai. Yeh metabolism rate bhadhane mai 30 fisdi adhik madad karti hai.
Nimbu(Lemon)
Nimbu aue shehad(Honey) milakar pine se sharir ki charbi jalti hai. Nimbu mai charbi se ladne wale tatva hote hai. Sath hi yeh bhuk ko bhi control karta hai. Isse Bhojan bhi hajam hota hai.
Masale
Aapne hamesha yahi suna hoga ki masale khane se vajan badta hai. Lekin uble huye bhojan mai halki masalo ka upyog kiya jaye to, sharir mai moujud vasa ko kam kiya ja sakta hai.
Low fat dairy Product
Agar aapko vasa kam karna hai to full cream dudh se bane khadya padhart ko bilkul band kar dijiye. Iski jagah toned milk se bane dahi(curd), aur paneer ka sevan kijiye.
Black Beans
Black Beans sehat ke lihaj se bahut acchi mani jati hai. Isme moujud protein aapko urja to deta hi hai, sath hi sath charbi ghatane mai bhi madad karta hai. Aap chahe to black beans ka soup bhi bana sakti hai.
Sebfal(Apple)
Apple bhi fast fat burn karne ke liye jana jata hai. Isme adhik matra mai soluble fiber hote hai, jinhe digest karna behad aasan hai. Ek apple mai takriban 14 gram carbohydrate aur 1.4 gm dietary fiber hota hai. Jo ki fat ko ghatane mai madadgar hai.
Upar diye gaye sare khadya padharto se aap vajan ghata to sakte hai, lekin isko sahi matra mai lene se hi aapkpo manchaha parinam milega.