Infertility in women matlab aisi mahilaye, jo ki bacche ko janm dene me asaksham hoti hai. Ya hum yeh bhi kah sakte hai ki, ek saal tak prayas karne ke baad jo mahilaye garbh dharan na kar paye unhe banjh pan kaha ja sakta hai.
Aaj kal mahilao me banjh pan ki problem ek aam baat ho gayi hai. Jiske karan niyamit roop se asurakshit sampark banane ke baad bhi mahilaye garbh dharan nahi kar paati hai. Banjh pan ke kai karan hote hai. Lekin is bare me mahilaye theek tarike se nahi janti hai.
To chaliye aaj hum aapko batate hai, Causes of Infertility in Women. Jisse ki aap banjh pan ke sahi karano ko jan sakenge
Causes of Infertility in Women: Mahilao me Banjh Pan ke Karan
• Kai bar bahut si mahilaye lambe samay tak kisi bimari se grasit hone ke karan bhi Infertility ki problem se grasit ho jati hai.
• Kisi antibiotic ka lambe samay tak sevan karne se bhi mahilaye banjh pan ki samasya se grasit ho jati hai.
• Hormone ki mai hone par tatha hormones ke beech asantulant hona.
• Kabhi bhi janbhuj kar grabh paat karne se kai side effect utpan hote hai, jiske chalte banjh pan ki problem ho jati hai.
• Pahle bacche ke operation hone par mahilao me bhaut internal problem ho jati hai , jiss ke karan ve dobara grabh dharan nahi kar pati hai.
• Smoking aur jarurat se jayda alcohol ka sevan karne se.
• Adhik weight badne se bhi mahilao ki prajann kshamta kamjor ho jati hai.
You may also like: Precautions During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha Savdhani
Vese agar aap iske sign ko pahchan le to iss problem se aasani se chutkara pa sakte hai. Iske liye aaiye hum aapko batate hai Signs of Infertility in Women.
Signs of Infertility in Women: Mahilao me Banjh pan ke Lakshan
• Sex iccha me kami hona. Aisi mahilaye sambhog se dur hoti jati hai.
• Sambhog ke douran jaldi discharge hona.
• Aniyamit roop se mahavari hona.
• Har samay udasin aur tanav me rahna.
• Self- continence me kami.
• Garbh dharan ke prayaso ke douran pregnant hone ki vajaye chidchidapan aana.
Female Infertility Treatment: Mahilao ke Banjh pan ke Upchar
Proper Diet
• Female Infertility me proper diet ka sevan karana bahut jaruri hota hai.
• Mahilao ko fast food aur junk food se dur rahna chahiye, kai khadya padarth me addictions and preserves hote hai , jo ki prajann kshmata ko kam karte hai. Aise food ko khana band kardena chahiye
• Hari sabjiyo ka sevan start kare.
Doctor ki Salah Le
• Agar aapko banjh pan ki problem hai to turant doctor se mile.
• Doctor dawara sbhi test karva le aur niyamit roop se dawao ka sevan kare. Kyoki shruvaat me Female Infertility Treatment possible hota hai baadme yeh ek gambhir samay ban jati hai.
Medical Fitness
• Agar koi mahilo me Medical Fitness hoti hai to banjh pan ki problem aapne aap dur ho jati hai.
• Diabetes, hormone-related problems thyroid jese bimariya prajann kshamta par bura asar dalti hai. To agar koi mhilao inmese koi bimari se grasti hai, to turant doctor se sampark kare.
Sahi Weight
• Infertility ki problem ka mukhaye ye karan hai weight jayad hona.
• Agar mahilao ko weight unki age ke hisab se sahi hota hai to unhe garbh dharan karne me koi problem nahi hoto hai.
Yoga and Exercise
• Yoga and Exercise se bhi mahilao me infertility ki problem rokne me help milti hai.
• Isse na sirf sharir swasth rahta hai balki mahilao ka masik dharma bhi samay par aata hai. Jisse unko garbh dharan karne me problem nahi hoti hai.
• Isse mahilaye tnavmukt rahti hai.
Life Style
• Prajann kshamta banaye rakhne ke liye healthy lifestyle bahut jaruri hoti hai.
• Isliye hamesha ek healthy lifestyle ko flow kijiye aur swasth rahiye.
Upar aapne jane Mahilao ki Infertility ke sign, causes aur unke treatment. To agar koi mahila is problem se grasit hai to in treatment ko follow kre aur swasth bacche ko janam de.
Get more updates about Female Infertility from Diet And Fitness.