Precautions During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha Savdhani

Garbhavati hone ke baad aapko vishesh roop se dhyan rakhne ki jarurat hai. Kyoki is time me pregnant lady ke hormone me badlav hota hai , jiske karan sharir me kai tarah ke badlav hote hai. Dekha gaya hai ki bahut si mahilao me yeh garbhavastha ka time bahut aaram se nikal jata hai. To kuch mahilao ko yeh time nikalna bahut kashtdayak rehata hai.

To dhyan rahe ki pregnancy ke saath pregnancy ke khatre ko bhi pahchanana jaruri hai . Vese bahut si mahilaye is time me savdhaniya nahi bartti hai jiske chalte ve is khatre se grasit ho jati hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai Precautions During Pregnancy in Hindi. Jisse ki aap aap ek swasth pregnancy ka anand utha sakti hai.

Savdhaniyo ki baat karne se pahle hum aapko garbhavasta me hone vali kuch samaya ke bare me batate hai.

Pregnancy Me Hone Wali Problems

Garbhvasatha ke ye 9 mahine mahilao ke liye bahut hi kashtdayak hote hai. Jis ke chalte grabhvati mahila ko kai problem ka samna karana padta hai. Har mahilao ko ye problem alag-alag hoti hai jese ki,
• Sar Dard
• Chakkar Aana
• Pairo me sujan
• Pet me tej dard hona
• Morning me thakaan hona
• Neend na aana
• Bahut jyada weight badna
• Bhuk na lagna

You may also like: Foods to Avoid During Pregnancy: Garbhavastha ke Raaz

Lekin in samasya ke saath Pregnancy ke douran kuch bhi khatre ho sakte hai. Jinke bare me garbhvati mahilao ko janana bahut jaruri hai. Jise ki vo garbh paat ki problem ko rok sake. Isliye Niche humne Precautions During Pregnancy ki kuch tips di hai.

Precautions During Pregnancy: Garbhvasatha Mai Inn Baato Ka Dhyan Rakhe

Precautions During Pregnancy in Hindi

Fetal Kick Par Dhyan De

• Expert ki salah ke according agar baccha garbh me ghum nahi raha hai. To iska matlab hai ki, use placenta se proper oxygen nahi mil rahi hai.
• Fetal Kick ko gin kar bhi bacche ki gati ka andaja lagaya ja sakta hai. Kehane ka matlb hai ki, aapko baache ki gati par dhyan dena chahiye aur is gati me kami hone par doctor ki salah lena chahiye.

Adhik Pani Aana

• Kabhi aisa hota hai ki, urine ki jagah se pani aata hai, lekin yeh uterus ke suje hone aur blood ke bharipan se hota hai. Yeh pareshani alag-alag sthiti par nirbhar karti hai.
• Yadi pani adhik samay tak nikalta hai matlb ki pani ki theli fhat gai hai. Aise me aapko turant doctor ke pass jana chahiye.

Adhik Ulti aur Kamjori

• Bar-bar ulti aana jiske karan aap koi bhi kaam na kar sake. Ye bahut khatarnak hota hai.
• Aisi sthiti me expert ka yeh manana hai ki, aap kuposhan ke shikar hai. Jisse ki age chal kar pani ki kami ho sakti hai saath hi bacche ke janm ke samay bahut si pareshani aa sakti hai.

Flu ke sanket

• Aisa mana jata hai ki, pregnant lady ko flue ka khatara dusre logo ki comparison me jyada hota hai. Iska karan hai ki grabhavastha me immune system kamjor ho jata hai.

Flu Ke Samany Lakshan
• Diarrhea
• Gale me dard
• Sardi
• Khansi
• Kamjori
• Nak bahna
• Ulti aana

Blood ki Kami Hona

• Expert ka yeh kahna hai ki pregnancy ke doran pregnant lady ke blood level me bahut change hota hai. Jiske karan grabhvati mahilao ko bahut si pareshani ka samna karna padta hai.
• Aise me kabhi bhi kisi mahilao ko bleeding ki problem ho jati hai, jo ki ek gambhir samasya hai. Saath hi yeh agar dard ke saath hoti to miscarriage ka bhi khatra hota hai.

Upar aapne jane Precautions During Pregnancy in Hindi. To bas garbhavastha me kuch baato ka khas khyal rakhe jisse maa aur bacche dono healthy rahe.

Get more updates about Pregnancy from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...