Vah log jo vegetarian hai aur machhali nahi kha sakte hai, unke liye fish oil ki goliya ek vrdan ke saman hoti hai. Machaliya anekh jati prajati ki pai jati hai, kintu jin jatiyo se machhali ka tel prapat hota hai unme merkel, trout, halibut, tuna, sardines aur salmon fish aadi aati hai.
To chaliye aapke acche swasth ke liye hum aapko batate hai, Fish Oil Benefits. Jisse aap iss tel use karke hamesha ke liye ek swasth jivan jee sakte hai. Saath hi bahut si bimariyo se bhi bach sakte hai.
Isme moujud omega-3 triglyceride ke level ko kam karke dil ka dore ke khatre ko bhi kam karte hai. Saath hi Yeh stork se bachen, hanikara kitanu ke vikas ko rokne ka bhi kaam karta hai.
High blood pressure aur rheumatoid arthritis ke karan hone vali jado ki jakdan ko kam karne ke kaam bhi iss omega 3 k ahi hota hai. Omega 3 par anusandhan dwara yeh baat ka nishkarshan nikala hai ki, Alzheimer’s disease, diabetes, cancer, or attention deficit hyperactivity vicar vale logo ko omega 3 se laabh milta hai.
Fish oil mai EPA aur DHA ka prakrtik source hai. Fish oil ka upyog karne par sharir aasani se inn fatty acids ka pura laabh leta hai kyoki aise mai conversion ki koi jarurat nahi hoti hai.
Fish Oil Benefits ke Dwara Apiye Swasth Sehataur Rahiye Rogmukt
Depression Bhagaye
Fish Oil Benefits ki baat kare to yeh iska sabse accha fayda hai. Research ke anusaar machhali ke tel mai omega 3 paya jat hai. Is karan se yeh vyakti mai absad, udasi, chinta, bechani, mansik thakan, tanav aadi rogo ko dur karta hai aur vyakti mai blood ka acche se sanchar hota hai. Jisse vo hamesha swasth rahte hai.
Heart Rog
Machhali tel mai uplabhad omega 3 ko swasth rogo ko dur rakhta hai. Yeh rakt mai hani karak cholesterol ko kam karta hai aur laabhkari cholesterol ko badhta hai. Iss prakaar machhali ke tel ko niyamit upyog se heart rogo ki sambhavna kam hoti hai. Vese aap chahe to Foods Rich in Omega 3 ka sevan bhi kar sakte hai.
Sharir ki Sujan Kam Kare
Sharir mai sujan bhale thoyroid ki vajah se ho ya fir cirrhosis ki vajah se machhali ka tel usko kam karne mai sahayk hota hai. Roz din mai 3 chammach fish oil lene se sujan kam ho jati hai.
Ghutne ka Dard
Jin logo ko ghutne ki samasya hai, yani arthritis aadi ki problem ho. Unke liye fish oil bahut faydemand hota hai, isliye iss paresahani se nijaat pane ke liye aapko iss oi lka sevan niyamit roop se karne chahiye.
Twacha ka Sondhraye
Twacha ki wrinkle tatha rukhapan, machhali ke tel ke sevan se dur ho jate hai, jisse vyakti ka sondhraye aur akarshan badhta hai. Isme DHA aur Acid paya jata hai, jo ki jaruri fatty acid hote hai aur yeh twacha ke ki khubsoorati ko badhata hai. Yeh twacha ke anekho rogo jese daad khaz, khujli aadi ke upchar mai bhi upyog aata hai. Jiske liye iski malish bhi ki jati hai.
Garbhashaya
Garbhshaye mai machhali tel ke sevan se garbh mai shishu ke mastishak aur ankhon ke vikas mai sudhar hota hai, jo isse upsthit DHA ki upsthiti ke karn hota hai. Isse garbh mai shishu ke sharirik vikas mai bhi sahayta milati hai.
Vajan Ghataye
Iske niyamit sevan se aapka vajan kam ho jayega. Fish oil sharir mai jami huye charbi ko gala kar kam kar deta hai. Agar aap vajan kam karne ke liye diet plan kar rahe hai, fish oil ka ko lijiye.
You may also like:- Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna
Aankhon ki Roshani Badhaye
Fish oil ke sevan se aankhon ki maspeshiya majbut hoti hai aur aankhon ki roshani bhi tez ho jati hai. Iske alawa yeh dhyan lagane mai bhi madad karta hai. Agar aap kisi kam mai dhyan nahi laga pate hai, to machhali ke tel ke sevan se aapki concentration lagne ki kshamta badh jayegi.
Fish Oil Ke Sevan se Rahiye Hamesha Swasth
Cancer Prevention
Isme omega 3 hota hai, jo aapko cancer se bacha hai. Saath yeh cancer paida karne vale cell ki growth ko rokta hai.
Mansik Rogo se Dur
Kisi bhi mental disorder ke khatre ko fish oil dur karta hai. Yeh aapke dimag ko tez karne ke saath mansik rogo ko bhi hamesha ke liye khatam karta hai.
Healthy Skin Aur Hair
Omega 3 aapki skin ki nami ko barkrar rakhta hai. Saath hi aapke baalo ko khubsoorat bananta hai. Baalo ki growth ke liye omega3 bahut accha hota hai.
AIDS
Nutritional Sciences Program in Lexington ki ek research mai yeh baat samne aai hai ki, fish oil ko aids treatment ke liye upyog mai laya jata hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Fish Oil Benefits hai.
Asthma
Fish oil asthma jese bimari se bachne mai bahut madadar hota hai. Yeh asthma attract ke khatre ko kam karke aapko behtar saans lene mai madad karta hai.
Nails
Fish oil ko cosmetic enhancement ki tarah use mai laya jata hai. Yeh aapke nakhun ki quality aur aakar ko sudharta hai.
Healthy Bones
Omage 3 aapke haddiyo ke charo aur paye jane vale minerals ko badhat hai. Jisse aapke haddiya majbut aur sudol dikhi deti hai.
Acne
Fish oil acne ki problem ko bhi hamesah ke liye khatam karta hai Kyoki isme EPA Properties paiye jati hai, jo aapki skin ko saaf karta hai.
You may also like:- Myriads of Natural Remedies of Acne Scars Removal
Pursho mai Sexual Benefits
Fish oil lene se purusho mai sex power badhti hai. Saath hi unki maspeshiyo mai majbuti aati aur vo log jyada der tak bed par rah pate hai. Saath male infertility ke liye bhi fish oil bahut madad karta hai.
Bachho ke Vikas
Baccho ke vikas mai fish oil madad karta hai. Agar bacche ki badhti umra mai unhe yeh oil diya jaye to unka sharirik aur mansik vikas bahut aache se hoat hai.
Upar aapne jane Fish Oil Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi iss machhali ke tel ka use karke apni sehat ka khayal rakhiye aur hamesha ke liye swasth rahiye.