Khadhya Padartha hamara pet bharte hai. Isse hame urja milti hai. Itna to sab jante hi hai. Par kya aapne kabhi inn Khadhya Padartho ke Aushdhiya upyogo ke bare mai socha hai. Udaharan ke liye adrak ko hi le lijiye. Adrak se khansi dur hoti hai, gas ki samasya se nijad milti hai. Yaha tak ki adrak se bani chay pine se pet ki charbi bhi dur hoti hai.
Hum rojana aesi kai chizo ka sevan karte hai. Jinke guno ke bare mai hame pata nahi hota hai. Hum to apna pet bharne ke liye inka sevan kar lete hai. Purane jamane mai bhi sabjiyo tatha falo ka prayog kai karagar dawao ko viksit karne ke liye kiya jata tha. Kisi bhi bimari ko thik karne ke liye Khadhya Padartha ek sabse acchi prakratik dawai mani jati hai. To aaiye jante hai kuch aese hi Foods with Medicinal Properties ke bare mai jo hamare sir se le kar per tak ke sare rog dur karne ki shamta rakhte hai.
Aushdhiya Guno Se Bharpur Khadhya Padartha
Shahad Mai he Antiseptic Gun
Shahad(Honey) mai antiseptic tatva moujud hota hai. To jab bhi kahi chamdi kat gayi ho ya chhil gayi ho, us par Shahad ka prayog karenge to wah jald hi sahi hogi. Iske alawa jo log niyamit rup se Shahad ka sevan karte hai unhe sfurti, shakti aur urja milti hai. Shahad se sharir swasth, sundar aur sudol banta hai. Shahad motapa ghatata hai. Mithe Shahad ke guno se rogi vyakti swasth ho sakta hai.
Nimbu Khaye Rog Mukt Ho Jaye
Nimbu(Lemon) bhi kai Aushdhiya Guno se bharpur hai. Isme sharir ke vishele tatvo ko nast karne ki adbudh shakti hoti hai. Yadi aap car ya bus mai yatra kar rahe ho aur aapko chakkar aane lage to nimbu sunghiye ya chat lijiye. Nimbu Vitamin C ka bhandar hai. Mansik durbalta ho ya sar dard. Yaha tak ki aankho ki roshni kamjor ho to isme bhi nimbu kai laabh deta hai.
Jinhe rakt ki kami hai. Aur jinka swasth din pratidin girta jaa raha hai. Unhe bhi tamatar ke ras ke sath nimbu ka sevan kar lena chahiye. Tamatar ke ras ke sath nimbu ke ras ka sevan karne se rakt ki kami se chutkara pa sakte hai. Jin logo ko kabj ki samasya hai wo raat ko garm pani mai nimbu ka ras le, aesa karne se pet saaf rehta hai.
Dudh Se Milte Hai Kai labh
Dudh(Milk) ka prayog har gharo mai hota hai. Dudh ko dharti ka amrit kaha gaya hai. Dudh mai vitamin c ko chhodkar sharir ke liye sabhi poshak tatva yani vitamin hai. Isliye dudh ko purn bhojan mana gaya hai. Yadi twacha par sunburn ho gaya hai. To us par thanda dudh lagane se yeh samasya thik ho jati hai.
- Chehre par jhaai, muhase aur daag dhabbe hatane ke liye raat ko sone se pehle garam dudh chehre par male, fir aadhe ghante baad pani se dhoye, isse chehre ki sundarta badhegi.
- Aankho mai chot lagi ho, jalan ho rahi ho, mircha masala gira ho, koi kida gira ho ya dard hota ho. To rui ke fahe ko dudh mai bhigokar aankho par rakhne se aaram milta hai. Dudh ki 2 bunde aankho mai bhi dalne se labh hota hai.
You may also like:- Benefits of Turmeric Milk: Haldi Doodh Swasth ke liye Faldayak
Adrak
Yadi sardi ho gayi hai to muh mai tazi adrak (Ginger)rakhe. Yaa fir garma garam adrak wali chay pee le. Pachan ki samasya hone par rojana subah adrak ka ek tukda khaye. Sharir mai vasa ka star kam karne mai bhi adrak kaafi madadgar hai. Bhook na lagna, pechis, sardi zhukham aadi mai labhdayak hai adrak. Yeh garbhavati mahilao ko mansik sickness se rahat dilata hai. Dawa ke rup mai adarak ka prayoga gathiya, Arthritis, Sciatica, Gardan aur ridh ki haddiyo ke rog mai pramukhta se kiya jata hai.
Kali Chay
Pero se badbu aana harmons ki samsya bhi ho sakti hai. Apne pero ko garam pani mai kali chay dalkar bhigoiye, isse badbu bhag jayegi.
Tarbooj Se Kare Pani Ki Kami Dur
Tarbooj(Watermelon) mai 60 pratisat pani hota hai. To iska niyamit sevan karne se pani ki kami dur hoti hai.
Bhindi
Bahut kam log jante honge ki bhindi(Ladies Finger) madhumeh mai faydemand hai. Bhindi ke sire aur puch ko katkar, pani mai bhigone ke liye rakh dijiye. Roj subah uthte hi iss pani ko pine se madhumeh control mai aa jata hai.
Dard Nivarak Mirch
Mirchi mai aese tatva paye jate hai jo sharir mai dard paida karne wale rasayan ka risav band kar dete hai. Yeh jodo ke dard mai bhi rahat dilate hai.
Karela
Madhumeh ke rogiyo ko roj karele ki sabji khana chahiye. Iske niyamit sevan se insulin level kam ho jata hai.
Bahut se log tulsi ki chay pite hai. To wo aaj uske labh ke bare mai bhi jan le. Saans ke rogo mai tulsi ke patte kale namak ke sath, supari ki tarah muh mai rakhne se aaram milta hai. Tulsi ke komal patto ko chabane se khansi jati hai. Tulsi dama aur Tb mai bhi atyant labhkari hai. Tulsi ke patto ko piskar chehre par ubtan karne se chehre ki aabha badhti hai.