Pet kharab se lekar diabities, thand aur yaha tak ki cancer tak mai garlic bahut faydemand mana jata hai. lahsun kewal khane mai istemal hone wala padarth nahi balki yah ek gunkari dawa ka kam bhi karta hai.
Garlic ke fayde ke bare mai ayurvedic ke sath sath ab allopathic visheshgya bhi samajte hai. Yahi wajah hai ki chikitsak garlic ke sevan ko faydemand batate hai.
Bhale hi lahsun ki gandh aapko na acchi lagti ho, par iska hamare swasth par bahut atyadhik prabhav padta hai. To aaiye jante hai Garlic Benefits in Hindi ke kuch asardar prayog.
Health Benefits of Garlic: Kai Guno ki Khaan Lahsun
You may also like: Health Benefits of Cherries- Blossom your Skin
Dil ke liye Atyadhik Faydemand
Lahsun khane se na sirf bad cholesterol ka astar kam hota hai, balki aapka dil bhi hamesha fit rehta hai. Hypertension aur high blood pressure ke marizo ko kam se kam din mai lahsun ke 2 jawe jarur khana chahiye.
Cancer se Bachaye Lahsun
Lahsun aapki rog pratirodhak kshamta mai ijafa karta hai aur cancer jese gambhir rog se bachata hai. Doctor Penekriyaz, kolokktorol, breast aur prostate cancer mai lahsun ke kachhe jawe khane ki salah dete hai.
Thand se Bachane ka Anokha Upay
Garlic ki taasir garam hoti hai aur thand se bachane ka yah kudarati awam anokha upay hai. Thand ke dino mai gajar, garlic aur adarak ka juice banakar pine se sharir ko antibiotics milte hai aur thand kam lagti hai.
Daat Dard se Dilaye Rahat
Garlic daat dard se rahat dilate hai. Garlic ko loung ke saath piskar daato ke dard wale hisse par lagane se dard se turant rahat milti hai.
Sankraman se Bachaye Lahsun
Agar aapke kano mai sankraman ya dard ho raha hai, to 2-3 garam bunde lahsun tel ki daal le. Yah antioxidant, kaan ke bacteria ko mar kar usmai adhik jama hua wax bahar nikalne mai madad karta hai.
Garbhavastha Mai Faydemand
Garbhvastha mai lahsun ka sevan maa aur shishu dono ke swasth ke liye behad faydemand hai. Yeh garbh mai pal rahe shishu ke vajan ko badhane mai laabhdayak hai. Yeh rakt chap ko niyantrit rakhkar shishu ko aneko taklifo se bachata hai.
Garlic Benefits in Hindi: Janiye Iske Anya Laabh
- Lahsun ka ras lene se sharir ki saari gandagi twacha ke rom chidra ke dwara bahar nikal jati hai.
- Dil ke rogiyo ke liye yeh bahut hi accha hota hai. Isme Sulfide paya jata hai, jo HDL cholesterol ko kam karke heart attack aur blockage ko rokta hai.
- Agar aap madhumeha rogi hai to ek lahsun har roz khaye. Yeh jadi booti khoon mai insulin ke level ko badhati hai jisse swasth accha hota hai.
- Isme paye jane wala allicin sankraman se ladta hai. Yeh anti fungal hota hai jo sharir ko sankraman se bacha kar antibody paida karta hai.
- Yeh blood circulation ko bhi behtar karta hai. Yeh twacha ko bhi behatrin banata hai aur sharir se gandagi ko bhi bahar nikalta hai.
- Apne pachan tantra ko majboot banana ke liye har din khana khane ke baad kuch kaliya lahsun ki jarur khaye. Yeh aapke sharir ke liye bahut hi laabhdayak hai.
Ayurveda mai garlic ko atyadhik ‘Chamatkari Dawa’ mana jata hai. Diet mai garlic ka sevan na sirf sardiyo balki har mausam mai behad faydemand hai. To kijiye humare Garlic Benefits in Hindi tips ka istemal aur hume bataiye ki aapko kesa lag rha hai.
Get more details about Lahsun from Food.