Benefits of Cherry in Hindi – Swasthya Guno Se Bharpur Phal

Cherry dikhne mai jitni khubsurat hoti hai, sehat ke liye bhi utni hi labhkari hoti hai. Yeh chhota sa lal rang ka khatta-mitha phal hai, jo kaafi poshtik hota hai. Ise aap taja, sukha kar, ras nikalkar kisi bhi rup mai kha sakte hai. Yadi iski paidavar ki baat kare to bharat mai cherry himachal pradesh, uttrakhand mai adhik ugayi jati hai.

Yeh khane mai to swadisht hai hi sath-sath swasthya ke liye bhi iske guno ki list bahut lambi hai. Iske guno ke karan ise badam, khumani jaise phalo ki koti mai rakha jata hai.

Iske chilke mai flavonoids  aur anti oxidant tatav paye jate hai. Isme khatte mitha gun hone ke karan yeh bahut lokpriya hai. Iska istemal kai khane ki chijo ko sajane ke liye bhi kiya jata hai. Kyuki iska chatak laal rang aankho ko bahut bhata hai. Sath hi isme melatonin namak tatv bhi bharpur matra mai hota hai.

Isme kai poshak tatva jaise Vitamin A, Vitamin C, Potassium, Magnesium, phosphorus aadi bharpur matra mai hote hai. Yeh sabhi hamari sehat ke liye bahut faydemand hai. Yahi wajah hai ki iska paryog kuch aushdhiyo ko banane mai bhi kiya jata hai. Yeh hriday rogo ko dur karta hai. Isse tanav dur hota hai. Jante hai aur bhi kai Benefits of Cherry in Hindi.
 

Benefits of Cherry in Hindi – Janiye Iske Sehatmand Fayde

 
Health Benefits of Cherries
 

Madhumeh mai Faydemand

Rojana ek cherry ke sevan se madhumeh ki bimari ko niyantrit kiya ja sakta hai. Iss khatte mithe phal mai anthocyanin namak rasayan paye jata hai. Yeh rasayan na keval chehre ke rangat nikharte hai apitu sharir mai insulin ki matra ko bada kar khun mai sharkra ke sttar ko bhi kam karte hai. Isliye madhumeh ke rogiyo ko iska sevan jarur karna chahiye.
 

You May Also Like:- Kiwi Fruit Benefits in Hindi: Janiye iss Phal Ke Behtarin Fayde

 

Anidra Ki Samasya Se Nijat

Sona kise pasand nahi hota hai aur acchi sukand wali nind lene se swasth bhi accha rehta hai. lekin aajkal ki galat jivansheli ke chalte tanav jyada hone ke karan nind acche se nahi pati hai. Bahut se log anidra ki samasya ka shikar ho jate hai. Isse chutkara pane ke liye cherry ke ras ko subah or sham ek glass piye. Isse aapko sukund bhari nind aayegi. Kyuki yeh protein aur vitamin se bharpur hai isse har umra daraj ka vyakti pee sakta hai, iska koi nuksaan nahi hai.
 

Cancer Ka Khatra Kam Kare

Cherry mai kai saare anti oxidant tatv paye jate hai jo vyakti ke sharir ko kai rogo se ladne mai madad karte hai tatha rog pratirodhak shamta ko badate hai. Cherry mai pinonic acid aur flavonoids hota hai. Yeh dono hi sharir mai stith cancer uttko ko badne se rokte hai. Jiske karan cancer jaise rog aapke sharir se dur rahenge.
 

Gathiya Rog

Cherry mai anthocyanin hota hai. Yeh gathiya rog ke liye bahut accha hota hai. Gathiya rog ki bimari se jo bhi vyakti grast hai. Unke sharir mai uric acid jyada matra mai banata hai, jiski wajah se pidit vyakti ke hath pairo mai sujan aa jati hai aur yahi karan hai ki unhe dard hota hai.

Cherry mai hone wala anthocyanin wo enzyme hai jiske dwara uric acid ki matra kam ho jati hai aur isse jaldi chutkara mil jata hai. Pratidin 15 Se 20 khatti cherry ko khane se aapko kaafi fayda milega.
 

Khubsurat Twacha Ke Liye

Cherry khane se sharir ki twacha komal hoti hai aur rukhapan dur ho jata hai. Kyoki isme bita carotene hota hai jo tej dhup se aane wali kirno se humari twacha ko bachata hai. Kai log twacha ko nikharne ke liye chreey paste ka upyog karte hai. Cherry paste ko rojana lagane se yeh mrit koshikao ko chehre se hata deta hai aur chehra chamakdar banata hai.
 

Hriday Rogo Ko Dur Kare

Health Benefits of Cherries kai hai. Yeh dil ke rogo ko bhi dur karne ka bahut aacha upay hai. Kyoki isme potassium, zink, iron, manganese, jaise kai khanij lavno ki matra hai. Iske alava isme bita carotene jaise tatv bhi paye jate hai jo hriday ki bimari ko dur karne mai sahayak hai.
 

Blood Pressure Niyantrit Kare

Cherry mai potassium jyada matra mai paya jata hai jiske karan humare sharir mai sodium ki matra kam ho jati hai aur sharir mai blood pressure samanya avastha mai pravahit hone lagta hai. Yadi aap isse rojana khayenge to aapka rakt chaap humesha niyantrit rahega tatha cholesterol ka star bhi thik rehta hai.
 

You May Also Like:- Custard Apple Benefits in Hindi: Sitaphal Ke Chamtkari Gun

 

Haddiyo Ko Majboot Banaye

Cherry mai vitamin C bharpur matra mai hota hai aur vitamin c sharir mai collagen aur uttako ke liye bahut accha hota hai. Isko rojana khane se yeh haddiyo ko majboot banaye rakhta hai. Iske atirikt cherry asthiyo ke ghantav ko badane mai bhi sahayak hota hai.
 

Motiyabind Ki Pareshani Se Bachaye

Cheery ko pratidin khane se netra sambandhit vikar jaise motiyabind ki samasya se bacha ja sakta hai. Sath hi aankho ki roshni badane mai bhi yeh sahayak hota hai.
 

Vajan Ghatane mai Madadgar

Cheery ke andar vasa ki matra kam hone sath isme karib 75% pani ki matra hoti hai jo ghulansheel fiber ka accha strot hai. Iske sevan se sharir ka urja star badta hai. Iske atirikt sharir mai pachan kriya bhi sudharti hai jisse yeh aanto dwara cholesterol ke avshoshan ki prakriya ko kam kar deti hai aur vajan kam karne mai sahayata milti hai.
 

Smaran Shakti Badaye

Kai logo ki yaddasht shakti kamjoor hoti hai, jis bhi vyakti ko iss tarah ki pareshani hai yadi wo rojana cherry ka sevan karenge to unki samran shakti badane mai madad milegi. Kyoki cherry mai anthocyanin namak rasayan hota hai jo yaddasht ko badata hai.
 
Upar aapne jana Benefits of Cherry in Hindi. Yadi aap bhi uprokt labh chahte hai to iska sevan kar sakte hai. Swasthya labh pane ke liye 250 gram tak cherry khane ki salah di jati hai.

Loading...

You may also like...