Hadjod in Hindi – Tuti Haddi Jode aur Anya Rogo se Bachaye

Bhartiya ayurved kai varsho purana hai lekin uska asar aaj bhi dekhne ko milta hai. Humare desh mai kai aise ped-podhe hai, jinke aushdhiya guno ki jankari hame aaj bhi nahi hai. Hamare purvaj jaha inhi aushdhiyo ka upyog apne dainik jivan mai kiya karte the, hum unke bare mai jante bhi nahi the.

Aisa hi ek aushdhiya podha hai Hadjod in Hindi. Ho sakta hai aapne yeh naam pahle bhi suna ho lekin yeh kaisa hota hai aur iske labh ke bare mai shayad hi aap jante honge. Yeh ek aisa aushdhiya podha hai jiske dwara sharir ki tuti haddiyo ko joda ja sakta hai.

Vanaushdhiya visheshgyo ke anusar, amriki anusandhan mai yeh bataya gaya hai ki bhojan ke baad hadjod ke prayog se anavyashak vasa bina pache hi sharir se bahar nikal jata hai. Ek research ke anusar, iska upyog keval haddiyo ko jodne mai hi nahi balki migraine, madhumeh, mansik avsad, kabj aadi ki paramparik chikitsa mai aur sharir ke bahari aur antrik taur par iska prayog sadiyo se kiya ja raha hai.

Sanskrit mai ise asthi samharaka kaha jata hai. Kuch log ise asthi sandhani ke naam se bhi jante hai. Yeh dikhne mai hare rang ka tatha swad mai tikha aur kashela hota hai. Hadjod ki bel hoti hai, jisme har 5 ungle mai ganth tatha 3-4 dhariya bani hui hoti hai. Iski tasir garm hoti hai.

 

Hadjod in Hindi: Isko Upyog Karne Ke Tarike aur Labh

 

 

Hadjod ka vanaspati naam Cissus Quadrangularis hai. Hadjod ki buti sharir ki tuti hui haddiyo ko jadne mai sahayak hoti hai. Iska pine tatha lape lagane dono hi tarah se istemal ki jaa sakti hai. Aaiye jante hai Cissus Quadrangularis Benefits ke aur kya-kya labh hai.

  1. Yeh vaat, pitt aur cough ka nash karti hai.
  2. Bawasir aur aankho ki bimario ko dur karti hai.
  3. Virya ko badati hai.
  4. Sharirik dard ko khatm kar deti hai.
  5. Masudo ki sujan, kaan dard tatha gathiya mai bhi labhprad hai.

Aapne yeh to suna hi hoga ki vanaspati bolti hai, yeh bilkul sahi hai. Vanaspati bolti hai aur swayam batati hai ki vah kis rog mai upyog ki jati hai. Hadjod vanaspati bhi bolti hai. Iske mansal tane apko manav asthi ki tarah tatha gaanthe jodo ki tarah najar aayenge. Yeh vanaspati apne mansal tane aur gantho ke madhyam se asthi aur jod se sambandhit rogo mai iski upyogita darshati hai.

Iske labh to aapne jaan liye, ab hum apko iske upyog aur istemal karne ke tarike batayenge.

 

You May Also Like:- Arjun Tree in Hindi – Rakhe Aapke Dil Ka Khayal

 

Gardan, Pith ya Gathiya Ka Rog

Hadjod ke tane ki do sandhiyo ko chote chote tukde kar chane aur aate ke ghol mai mila le. Ab isse khane ke tel se pakode ke saman tal kar khaye. Aisa karne se gardan ka dard bilkul samapt ho jayega.

Ek aayu ke baad peeth mai dard hona ek samanya pareshani hai. Hadjod ka lep ya iske tel ki malish karne se pith dard bilkul thik ho jata hai.

Agar aap gathiya ki samsya se joojh rahe hai to aap hadjod ki lakdi aur urad ki dal ko barabar matra mai piskar iske pakode banakar khaye. Aisa karne se jodo ko aaram milega.

 

Tuti Haddi Jode

Hadjod ko sukhakar isme barabar matra mai urad ki dal milakar acchi tarah pis le. Kisi bhi tuti hui haddi par iss lep ko acchi tarah kapde se bandh denge to haddi puri tarah se jud jayegi. Har tisre din yeh lep badle aur ek maah tak lagatar aisa kare. Haddi bhi jud jayegi aur usse hone wala dard bhi bilkul khatm ho jayega.

Hadjod, pipal lakh, gehu ka aata aur arjun ki chaal in sabhi ki saman matra lekar barik pis le. Pratidin yeh churn 6 gm, ghee mile dudh ke sath pine se tuti hui haddi jud jati hai.

Hadjod ke kwath ya ras ko ghee ke sath lene se bhi tuti haddi jud jati hai.

 

Raktpradar aur Masik Dharm

Raktpradar ya masik strav ki adhikta mai hadjod ka ras 10 se 20 ml ki matra mai subah-shaam gopi chandan, ghee aur shahad ke sevan karne se labh milta hai.

Aniyamit masik dharm hone par hadjod ka ras 2 chammach, 5 se 7 din tak lagatar lijiye labh milega.

Adhunik anusandhan batate hai isme calcium ki matra adhik hoti hai lekin isme bahut kuch aisa hai jiske bare mai vigyan janane ki koshish kar raha hai. Aap bhi Hadjod in Hindi ko aasani se apne ghar ya bagiche mai laga sakte hai aur iske labh utha sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.