Hair Growth Tips in Hindi: Ab Sundar Baal Pana Hua Aasan

Hair Growth Tips in Hindi – Har ladki ka sapna hota hai ki, uske baal lambe aur ghane ho. Lekin kuch hi ladkiyo ka yeh sapna pura ho pata hai.

Baal lambe nahi hai ya phir unme jaan nahi hai, to iske liye kahi na kahi aap hi jimmedar hai. Kyoki hamari life style aisi ho gayi hai ki hum apne baalo par dhyan hi nahi de pate hai.

Lekin koi baat nahi aaj is article ke jariye hum aapko batate hai lambe baalo ka raaz. Jisse ki aap apne balao ko ghana aur sundar bana sakti hai.

Vese agar aapko Hair Growth ko badana hai to aap ko niyamit roop se unki dekhbhaal karni padegi.

Hair Growth Tips in Hindi: Baalo ke Vikas ke Liye Upay

Hair Combing

  • Kai log din me 2 bar baal comb karte hai, lekin agar aap apne baalo ko din 20 baar comb karege to aapke baal jaldi ugna shuru ho jayenge.
  • Hair ko pressure laga kar Jhadiye.
  • Jab aap apne baalo ko brush se suljha rahe hai, tab khopdi me thoda sa pressure lagaiye. Isse sar ka blood circulation sahi hoga aur baal jaldi hi bad jayenge.

Baalo me Tel

  • Week me ek baar tel jarur lagiye. Isse aapke baalo me poshan milta hai.
  • Saath hi aapke baalo ki nami bani rahti hai.

Hibiscus Oil

  • Hibiscus oil baal ko ugane ke liye ek natral cheez hai, jo aapko bahut jaldi result dete hai.
  • Kuch hibiscus ki kaliyo ko garam nariyal tel me raatbhar ke liye bhigo de. Phir is tel ko apne baalo me malish kare. Isse aapke baal tezi se badenge aur moteb hi ho jayenge.

Baalo ko Band kar Soye

  • Yeh ek acchi Hair Growth Tips hai, jab bhi aap sone jaye to apne baalo ki choti banale. Isse apke baal tutate nahi hai.
  • Kyu ki raat me baal ko na bandane par ve ulajh jate hai hai aur tut ke gir jate hai.

Vitamin E ka Sevan

  • Baalo ki growth ke liye Vitamin E Ka sevan kare. Isse aapke baalo ki growth hogi.
  • Saath hi aisa aahar le jisme Vitamin E ki bharpur matra ho. Is ke alawa aap aur bhi vitamins le sakte hai jisse aapki hair growth ke liye.

Badam Oil

  • Hum samjhte hai ki baalo ke liye keval nariyal ka tel hi use kare, lekin badam ka tel bhi aapke baalo ke liye bahut faydemand hota hai.
  • Badam ke tel me bahut se Vitamin hote hai jo ki aapke baalo ko bharpur matra me poshan dete hai.

Garam Pani na Use Kare

  • Garam pani se aapke baal kharab ho jate hai. Garam pani aapke sar ki twacha ke rom chidro ko kholdeta hai. Jisse aapke baalo ka girna start ho jata hai.
  • Isliye hamesha dhyan rahe ki apne baalo ko jyada garam pani se na dhoye.

Baalo ko Saaf Rakhe

  • Baalo me tel lagana jitan jaruri hai. Utna hi jaruti hai ki aap baalo me shampoo lagaye.
  • Baalo ke saaf hone par unki growth tezi se hoti hai. Isliye week me teen bar apne baalo ko mailed shampoo se jarur dhoye.

Baalo ko Cover Karke Rakhe

  • Jab bhi kabhi bahar jaye to apne baalo ko scarves se cover karke rakhe.
  • Kyoki suraj ki tez dhoop se aapke baalo ko bachana bahut jaruri hota hai. Aisa na karne par aapke baal ka jhadna start ho jata hai.

Kai expert ka kahna hai ki, baal girne ke karan humare sar me mojud chote-chote organ ke kharab hone ke karan hota hai. Yeh organ baal ke ugne me help karta hai.

Isliye chaliye hum aapko kuch aise hair mask ke bare me batate hai jisse ki aapke sar ki twacha par mojud infection khatam honge. Saath hi aapke baalo ki growth hogi aur aapke baal sundar aur chamkdaar ban jayenge.

Hair Growth Tips in Hindi: Baalo ke Vikaas ke Liye Mask

Methi Dana aur Dahi

  • Hair Growth Tips in Hindi ki baat kare to iski sabse acchi tips hai ki, hair ki growth ke liye methi dana bahut faydemnad hota hai. Meti dane ko ratbhar pani me bhigo de. Phir subah uthkar use dahi me milkar pis le.
  • Is methi dane aur dahi ke paste ko baalo ki jado me lagiye. Ise karib ek ghante tak laga rahne de.
  • Aisa karne se baalo ki jado me moujud dandruff kam ho jayegi tatha sar ki twacha me name aajayegi.
  • Methi dane me nicotinic acid aur protein paya jata hai. Jo aapke baalo ki jado me poshan pahuchahne ke saath aapke baalo ki growth bhi badata hai.

Urad-Dal

  • Bina chilke vali urad dal ko pis lijiye, phir isme pani milakar paste bana lijiye. Raat ko sone se pahle is paste ko baalo ki jado me laiye aur baalo ko kapde se bandh lijiye.
  • Aisa lagaatar karte rahne se aapke baalo ki growth hoti hai. Saath hi aapke bool bahut sundar dikhai dete hai.

Mulethi aur Kesar

  • Mulethi ko piskar isme thodi si matra me dudh aur kesar mila lijye.
  • Ab is paste ko raat bhar apne baalo me laiye tatha subah uthkar baalo ko shampoo se dho lijiye.
  • Aisa karne se dheere-dheere aapke sar ka ganjapan khatam ho jayega aur aapke baalo ki growth bhi badegi.

Hare Dhaniye ka Paste

  • Hare dhaniye ka paste bankar sar ke us hisse par lagaiye jaha se aapke baal ud rahe hai.
  • Aisa lagaatar ek mahine tak karne se aapke baalo ko growth start hogi. Saath hi aapke baal majbut bhi ho jayenge.

Kela aur Nimbu

  • Ek kele ke gude aur nimbu ke ras ko acche se mila lijiye.
  • Is paste ko sar par lagiye jisse aapke baalo ko growth start ho jayegi. Tatha baalo se judi anya samaya bhi dur ho jayegi.

Pyaz Ka Ras

  • Baalo ki sabhi problem se chutkara pane ke liye pyaaz bahut faydemand hota hai.
  • Ek badi pyaaz lekar use 2 hisse me tod le tatha sar ke jis hisse me baal nahi hai us hisse par is pyaaz ko ragdiye, lekin 5 minutes se jyada na ragde.
  • Aisa lagaatar kuch dino tak karne se aapke baal jhadna band ho jayenge. Saath hi baal phir se ugna start ho jayenge.

Ande ka Use Kare

  • Anda khane se sirf sehat acchi nahi hoti hai balki iska use aapke sar me bhi kar sakte hai.
  • Baalo ko dhone se ek ghante pahle egg lagaiye. Isse aapke baalo ko poshan milta hai saath hi aapke baalo me shine bhi aati hai.

Upar aapne Hair Growth Tips in Hindi ke bare me jana hai. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tips ko apna kar aap ghane aur sundar baal paa sakte hai. Kyoki sundar baal aapki personality me charchand lagate hai. Saath hi aapka confidence bhi badate hai.

Loading...

This website uses cookies.