Asamanya roop se niskriy aur ati sakriya thyroid se bhi baalo ke jhadne ki samasya shuru ho sakti hai. Jisse ki bahut se log pareshan rahte hai.
Halaki Thyroid rog ki vajah se baalo ke jhadne ki samasya ko uchit upchar dwara theek kiya ja sakta hai. To Aaiye aaj iss article mai hum aapko Hair Loss from Thyroid ke baare me batate hai.
Sabse pahle hum aapko batate hai, Thyroid aur baalo ki samasya ke bich ka sambandh kya hai aur iss samasya se nijaat kaise paya ja sakta hai.
Hair Loss and Thyroid, Baalo ke Jhadne aur Thyroid ke Bich ka Sambandh
Jese ki adhikansh log jante hai ki thyroid ke karan thakan mastishk me pareshani, vajan badna tatha sharir ka tapman kam hone jesi samasya hoti hai. Kai log nahi jante ki thyroid ke karan baal jhadne ki samasya bhi ho sakti hai.
Titli ke aakaar wali thyroid granthi gardan mai shwas nali ke upar hoti hai. Yeh granthi sharir ke metabolism ko niyantrit karti hai. Artharth jo hum khate hai yeh use urja me badalti hai. Iske alawa thyroid granthi heart, maspeshiya, haddiyo ko bhi prabhavit karti hai.
Thyroid hormones me hone wali ek aam gadbadi ko Thyroid kaha jata hai. Yeh purusho ki tulna me mahilao ko adhik hoti hai.
Isse mahilao ko sharirik uthaar–chadaw ke dour se gujarna padta hai. Thyroid ek khamosh bimari hai aur iske shuruati lakshan itne halke hote hai ki marij ko pata hi nahi chal pata hai ki sharir me kuch gadbadi chal rahi hai.
Vese expert ka kahna hai ki, baalo ke jhadne ki samasya Thyroid hormone ke asantulit hone ki aur sanket karta hai. Bahut jyada Thyroid hormone baalo ko patla aur halka bana deta hai.
You may also like:- Home Remedies for Hair Loss: Healthy Baalo ka Raaz
Halaki bahut kam thyroid hormones aise hote hai, jo khopdi aur sharir ke balo ke jhadne ka karan banate hai.
High Parathyroidism aur hypothyroidism, dono hi baalo ke jhadne ke karan ban sakte hai, aur baalo ka jhadna thyroid rog ki ek mukhya pehchan hai.
Expert ka kahna hai ki, baalo ka jhadna Thyroid rog ki ek ati gambhir pahchan ho sakti hai. Ise na sirf sharir ke baal jhadte hai balki eyebrow ke bahari hisso ko bhi nuksaan hota hai. Kabhi kabhi iss rog ke karan sharir ke baal bhi jhad sakte hai.
Hair loss and Thyroid se Jude Kuch Sawal aur Unke Jawab
Kya Thyroid se Sambandhit Baalo ke Jhadne ki Samasya Isthayi Hai?
- Aamtour par Thyroid vikar ka ilaj hone ke bad baal vapas bad jate hai. Lekin chinta ki baat hai ki under active thyroid ke aam upchar hormone levothyroxine baalo ke jhadne ke samasya ka karan banta hai.
- Samanyth is tarah ke side effect ka prabhav ek ya do mahine ke baad aasani se khatam ho jata hai. Aur hormones ke isthar ke isthir hone par baal vapas ugane lagte hai.
Kya Sabhi Mahilao ke Baal Jhadne ke Samasya Thyroid Sambandhit Hoti Hai?
- Ek anuman ke mutabik 90% mahilao me baalo ke jhadne ki samasya kharab thyroid se sambandhit hoti hai.
- Thyroid se sambandhit rog, purusho ki tulana me mahilao ko adhik hote hai. Isi karan medical doctor salah dete hai ki ve log jo baalo ke jhadne ki smasya ka samna kar rahe hai ve jald se jald thyroid ke liye test karaye.
Thyroid Rog ki Pahchan kaise kare?
- Thyroid rog ka nidhan hormone ke isthar ke liye ek rakt parikshan ke baad kiya jata hai.
- Family doctor aksar iss tarah ke blood test ki salah dete hai. Aur parinmo ke aadhar par ve aapko endocrinologist ke pass jane ki salah dete hai.
Balo ko Vapas Badane ke Liye Kya Vikalp Hai?
- Jab ek baar aapka thyroid rog ke liye ilaj shuru hota hai to pahle aapke hormone ke isthar ko isthir hone me kuch samay lag sakta hai.
- To jab aapke baal prakratik roop se bade aap koi topi pahan sakte hai.
- Aap apne doctor se baalo ke vikas me sahayak dawao ke bare me baat kar sakte hai.
Thyroid rog baalo ki samasya ke alawa aapke kai anye swasth ke pahlu ko prabhavit karta hai, isliye sabse acha ilaj prapt karne ke liye apne lakshano ke bare mai doctor se sahi pramarsh jarur le.
Upar aapne jane Hair Loss From Thyroid se judi kuch baate. To dhyan rahe agar aapko bhi aise hi kuch lakshan dikhai de rahe hai to iss bimari se bach kar rahe aur turant doctor se sampark kare.
Hair Loss se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.