Hair Rebonding at Home in Hindi: Sidhe Mulayam Baalo ke Liye

Kai mahilao ke baal kaafi jyada ghungrale hote hai, aur ghungrale baal kaafi bikhre rukhe aur bejan se lagte hai. Jiske karan ghungrale baalo ko sambhalna kaafi mushkil hota hai aur aise baalo ki jyada hair style bhi nahi banti hai.

Kai mahilaye baalo ko sidha karwane ke liye bajar mai jakar kai tarah ke aadhunik utpad aur mashino ka istemal karti hai. Inke karan baal kuch samay ke liye to acche ho jate hai parantu kuch samay baad rukhe aur bejan hokar tutne lagte hai.

Yadi aap baalo ko sidha bhi karna chahte hai aur unhe chemical se bhi bachana chahte hai to ghar par banaye gaye utpado ka stemal kare. Isse aapke baal aasani se sidhe bhi ho jayenge aur baalo ko koi nuksaan bhi nahi hoga to aaiye jane Hair Rebonding at Home in Hindi.
 

Hair Rebonding at Home in Hindi: Paye Chamakdar Baal

 

 

Nariyal Ka Dudh Baalo mai Lagaye

Nariyal ka dudh baalo mai lagane se baal swasth aur sundar to bante hi hai sath hi iske istemal se baal sidhe aur silky bhi ho jate hai. Iske anti bacterial, anti fungal aur poshak gun baalo ko puri tarah se poshan pradan karte hai. Isliye Hair Care Ke liye yeh bahut accha upay hai.

  • Sabse pehle nariyal ko ghis le aur uska dudh nikal le.
  • Ab iss dudh mai thoda sa nimbu ka ras dale aur mila le.
  • Iss bane huye mishran ko kuch der tak fridge mai thanda hone ke liye rakh de.
  • Jab aap ise fridge se nikalte hai to dekhe ki iske upar cream ki layer aai hai ya nahi.
  • Iss cream se baalo par 20 minute tak massage kare aur 20 minute tak cream ko laga kar chod de.
  • Iske bad halke garam pani mai towel ko gila kare aur isse baalo ko bandh le.
  • Towel ko baalo par karib 30 minute ke liye chhod de aur bad mai mild shampoo se baalo ko dho le.
  • Baalo ko saaf pani se dhone ke bad gile baalo mai hi kanghi kar le.

 

Aloe Vera Baalo Ko Sidha Kare

Aleo vera wese to kai tarah se hamare sharir ke liye faydemand hota hai. Isi tarah yadi aap baalo ko sidha karna chahte hai to aap aloe vera ka istemal kar sakte hai. Yeh aapke baalo ko sidha karne ke sath sath conditioning bhi karta hai.

  • Aloe vera ko baalo mai lagane ke liye aadha cup aloe vera gel aur aadha cup olive oil le.
  • Ab iss mishran ko acche se mila le aur baalo par isse malish kare.
  • Ab halke garam pani mai toliye ko gila kare aur baalo ko towel se pack kar le.
  • Towel mai baalo ko kuch der rehne de aur fir mild shampoo se baalo ko dho le.
  • Baal dhone ke baad aapke baal sidhe aur chamakdar dikhai denge.

 

Baalo mai Lagaye Anda

Anda aapke baalo ki khoi hui chamak wapis lane mai madad karta hai.  Yadi aap ande ke sath olive oil ko milakar lagaya to aapke baalo ko kaafi fayda milega. Anda baalo ko chamak aur olive oil baalo mai conditioning ka kaam karta hai.

  • Ek katora le aur usme 2 ande ko fod kar safed bhag dale.
  • Ab ande ke safed bhag ke sath olive oil bhi dalkar mishran bana le.
  • Iss mishran se baalo ki acche se malish kare aur kuch der tak baalo mai laga hua rehne de.
  • Ab mild shampoo se baalo ko dho le.

 

Multani Mitti Ki Sahayata Se Baalo Ko Kare Sidha

Multani mitti mai kai sare poshak tatva hote hai jo Rebonding of Hair mai madad karte hai. Multani mitti ko baalo mai lagane se baal straight ho jate hai aur unka rukhapan bhi dur ho jata hai.

  • 1 cup Multani mitti mai 1 anda aur 5 chhote chammach chawal ka aata mila le aur paste taiyar kar le.
  • Ab baalo ko kanghe ki sahayata se suljha le taaki aapke baalo mai mishran acche se lag jaye.
  • Jis din aap iss paste ko lagane ka soch rahe hai uski ek raat pehle apne sar mai tel se acche se malish kar le.
  • Subah uthkar paste laga le aur ise 40 minute tak laga rehne de jab tak paste sukh na jaye.
  • Ab baalo ko mild shampoo ki madad se dho le.

 
Upar aapne jana Hair Rebonding at Home in Hindi. Uprokt di gai jankari mai aapko bataya gaya hai  ki aap ghar par aapke baalo ko sidha aur chamakdar kaise bana sakte hai.
 

Loading...

This website uses cookies.