Home Remedies for Straight Hair, Baalo ko Seedha Kijiye

Seedhe baalo ka fashion phir se laut aaya hai. Baalo ko seedha karne wale utpadan ki mang badti ja rahi hai. Parantu baalo ko seedha karne ke liye jin chemical ka use kiya jata hai, ve aapke baalo ke swasth par bura prabhav dalte hai. To kyo na hum natural tarike se apne baalo ko khubsoorat banaye. To chaliye hum aapko batate hai, Home Remedies for Straight Hair.

Aapke rasoi ghar mai kai aise utpadan moujud hote hai, jinka niyamit upyog karke aap apne baalo ko mulayam, naram aur seedha bana sakte hai. Saat hi aap jab chahe ghar par hi inn sab ka upyog karke accha dikh sakte hai.

Home Remedies for Straight Hair, Sundar Baal Pana Hua Aasan

Nariyal ka Dudh aur Nimbu ka Ras

Home Remedies for Straight Hair

• Aapke rasoi ghar mai moujud utpadan se hi aap jaldi apne baalo ko sundar bana sakte hai. Nariyal ke dudh aur nimbu ke ras ka mishran aapke baalo ko seedha karne ka gun se bharpur hota hai.
• Iss mishran ko banane ke liye aap nariyal ke dudh mai nimbu ka ras mila lijiye. Phir iss mishran ko refrigerator mai rakh dijiye aur kuch samay baad jab aap is mishran ko nikalenge to is par ek cream ki parat aa jayengi.
• Iss cream ko aap apne sar mai laga lijiye aur towel se apne sar ko bandh lijiye. Ek ghante baad aap apne baal dho lijiye. Isse aapke baal bahut mulayam aur sundar ho jayenge.

Garam Tel se Malish

• Bahut se log yeh nahi jante hai ki baalo ko poshan dene ke liye unhe niyamit tor par tel ki malish karni chahiye. Isse aapke baal seedhe aur mulayam ho jayenge.
• Nariyal ke tel mai olive oil milaiye. Aap chahe to jaitun ke tel ke itshan badam ka tel bhi use kar sakte hai.
• Dhyan rahe ki jab bhi aap in tel ke mishran se mailsh kar le uske baad towel se apne baal bandh lijiye aur 45 minutes ke baad apne baalo ko dho lijiye.

You may also like:- Benefits of Coconut Milk: Nariyal ke Dudh ke Fayde

Prakritik Conditioner

• Baalo ko dhone ke baad niyamit roop se conditioner lagaiye.
• Bahut ghunghrale baalo ke liye aap chai ke pani ka conditioner bhi use kar sakte hai.

Milk Spray

Straight Hair Tips ki baat kare to hum bol sakte hai ki milk isko pura karne mai ek bahut aham bhumika nibhata hai. Jab bhi baalo ko seedha karne ki baat aati hai to usme dudh ka naam sabse pahle aata hai.
• Iske liye aap dudh ko ek bottle mai bhar lijiye phir inko apne baalo par chidke aur aadhe ghante tak ise apne baalo par rahne dijiye.
• Phir kisi shampoo se apne baalo ko dho lijiye. Isse aapke baalo me ek naya look aayga tatha aapke baal bahut khubsoorat ban jayenge.

Straight Hair Tips, Baalo ko Seedha Karne ke Kuch Khaas Tarike

Dudh aur Shahad

• Thoda sa dudh le tatha usme shahad milakar paste banaye. Adhik prabhavi result ke liye iss mishran me strawberry ya kele ko piskar mila sakte hai.
• Ise sukhane mai thoda samay lagta hai. To lagbhag ek ghante se bhi jyada time lag sakta hai.
• Jab yeh pura sukh jaye to kisi bhi acche shampoo se apne baalo ko dho lijiye. Acche result ke liye ise week mai kam se kam 2 baar jarur lagaiye.

Straight Hair Tips

Anda Tatha Jaitun ke Tel

• Ye dono utpadan baalo ki dekhbhal ke liye bahut acche hai. Parantu bahut se log ko is baat ki jankari nahi hai ki, in dono ka aapke baalo par kamal ka asaar hota hai.
• Iska mishran banane ke liye 2 ande lo tatha usme uchit matra mai olive oil milaiye aur apne baalo mai lagaiye.
• Ise ek ghante tak baalo mai aise hi laga rahne dijiye tatha baad mai kisi acche shampoo se dho lijiye.

Multani Mitti aur Chawal ka Aata

• Ek cup multani mitti mai ek anda aur panch chammach aata mix kar lijiye aur paste banakar baalo mai lagaiye.
• Ise lagate samay baalo ko seedha rakhne ki koshish kijiye. Tatha jab 40 minutes ke baad baal sukh jaye. To saade pani se apne baalo ko dho lijiye.
• Baalo mai iss paste ko lagane se ek raat pahle baalo me tel lagaiye. Aap chahe to iss paste ko week mai ek baar laga sakte hai.

Kela ka Pack

• Do pake huye banana ko acche se pis lijiye usme do bade chammach shahad, dahi aur jaitun ka tel milakar paste bana lijiye.
• Iss paste ko apne baalo par aadhe ghante ke liye laga kar chhod de. Phir baalo ko acche shampoo se dho lijiye.
• Iss paste ke sabhi poshak tatva aapke baalo ko swasth, chamakdar aur seedha bana denge.

Aloe Vera Pack

• Aloe Vera aapke baalo ke liye ek bahut adbhut jadi buti hai. Aapko bas itna karna hai ki aadha cup gram tel mai aloe vera gel ko milakar mishran banana hai aur ise apne baalo mai lagana hai aur phir dekhna hai ki kitna kamal ka kaam krta hai ye mishran. Yeh lagta hi hair mask ki tarah hai, lekin ye conditioner ki tarak kaam karta hai.
• Iss mishran ko kam se kam 30 se 40 minutes ke liye lagaiye. Phir shampoo kar lijiye. Isse aapke baal chamakdaar aur straight ho jayenge.

Sirka

• Sirka bhi baalo ko straight karne ke liye bahut upyogi hota hai.
• Apne baalo ko dhone ke baad, pani se bhare mug mai sirka ki kuch bunde milakar baalo ko dhone se aapke baal straight aur bahut sundar ho jayenge.

Soybean Tel

• Ek chammach soybean tel aur 2 bade chammach arandi ka tel ko milakar mishran bana lijiye. Iss mishran ko garam kare. Tel ke thanda hone ke baad ise apne baalo ki jado mai acche se lagaiye.
• Iss oil se baalo ki massage karne ke baad baalo ko dho lijiye.

Upar aapne jana Home Remedies for Straight Hair. To bas der kis baat ki aap bhi in tariko ko apna kar apne baalo ko seedha aur khubsoorat bana sakte hai.

See more details of Straight Hair Tips from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...