Black eyed peas jise English me Cowpeas (Binomial Name: Vigna unguiculata) ke naam se jana jata hai, Hindi me Chawli ke naam se jana jata hai aur Telgu me bobbarlu ke naam se jana jata hai. Ye aapke swasth ke liye bahut hi faydemand hote hai. Aaiye jante hai Health Benefits of Cowpeas.
Bharat ke adhikansh gharo me Black eyed peas yani Chawli ka istemaal hota hai par kisi ko bhi iske swasth laabh nahi pata hai. Isme shandar taste aur flavor hone ke saath hi ye poshak tatvo se bharpur hai jo sharir ke liye jaruri hai. Aaiye aaj hum aapko isko khane ke behatrin swasth laabh.
Health Benefits of Cowpeas: Chawli se Swasth Laabh
1) Motapa Kam Karne me Madadgar
Inn Black eyed peas ko khane se calorie kam hoti hai isliye ye vajan kam karne ki drishti se ek accha aahar hai. Cowpea dietry fiber ka accha source hai jisse aapka pet jyada samay tak bhara rehta hai.
You may also like: Benefits of Corn: Bhutta (Makka) se Swasthwardhak Laabh
2) Madhumeh Rogiyo ke Liye Behtar
Chawli ka Glisemik Indeks anya samanya istemaal ki jane wali faliyo aur daalo ke mukable kam hota hai. Aise khadya jinka Glisemik Indeks kam hota hai hai, vah blood sugar ko samanya rakhte hai isliye diabetes ke patients ke liye ye ek accha aahar hai.
3) Sankraman se Bachav
Vitamin A jese anti-oxidants ka khajana ho ne ke karan ye faliya kai prakaar ki bimariyo ko dur rakhti hai. Yeh faliya sharir ko swasth rakhne me upyogi hai kyoki ye sharir se vibhinn Toxic substance aur haanikarak oxygen rahit tatvo ko bahar karne me madad karti hai.
4) Blood Cholesterol Level ko Kam Kare
Black eyed peas blood cholesterol level ko kam karne ke liye jani jati hai aur kai prakaar ki dil ki bimariyo ko dur rakhti hai. Potassium aur Magnesium jese flavonoids aur lignin ki upastithi ko dil se sambandhit bimariyo ko dur krne me upyogi banti hai.
5) Ek Pachak ke Roop me Madadgar
Chawli me fibre aur protein ki adhikta hoti hai jo ki, pet par sakaratmak prabhav dalti hai aur pachan kriya me madad karti hai.
6) Swasth Twacha ke Liye Upyogi
Skin ko sucharu roop se repair karte hue Cowpeas twacha ko healthy rakhti hai. Inn faliyo me mojud anti-oxidants me Vitamin A aur Vitamin C ki upastithi hoti hai jo ki free radicals se skin ko huye nuksaan ko dur karti hai.
Abhi aapne jane Health Benefits of Cowpeas jo aapki sehat ko behtar bana sakte hai. Aaj se hi iska sevan shuru kar de aur dekhe apne aap ek naya change.
Get more update about Chawli from Food.