High Blood Pressure Diet in Hindi: Ucch Raktchaap aur Aahar

Aaj ke samay mai ucch raktchaap ek aam bimari hai. Yeh kisi bhi umar ke vyakti ko ho sakti hai. Iske hone ka mukhya karan mansik tanav hai. Shararik shrm na karne aur adhik teliy chizo ke sevan karne se bhi ye bimari ho jati hai.

Pehle adhik umra ke log hi isse grasit hote the lekin aajkal kam umra se baccho mai bhi yeh samasya dikhai de rahi hai. Kai bar sharir ko yeh bimari lag jati hai lekin hamare sharir ko iska pata nahi chal pata hai. Aur jab tak pata chalta hai stithi behad gambhir ho chuki hoti hai.

Ucch raktchaap ek aisi stihi hai, jisme dhamniyo par rakt ka atydhika dabav padta hai. Isi rakt dabav ke karan hriday ko apne samanya gati se kaam naa karte huye bahut teji se karya karna padta hai. Isi condition ko Uccha raktchaap kaha jata hai.

Yadi ucch raktchaap ki samasya jyada badh jaye to swasthya sambandhi kai samasyae jaise dil ki bimariya hone ka khatra rehta hai. Iske marijo ko heart attack aane ki sambhavna bahut adhik hoti hai. Isliye apni jivansheli mai parivartan kar aur apne aahar ko badalkar iss samasya par niyantran laya ja sakta hai.

Hypertension ya ucch raktchaap se bachne ke liye hame apni jindagi ke tarah apne aahar ko lekar bhi anushashit hona padega. Aaj ham aapko usi anushashit aahar ke bare mai batane ja rahe jisse aapko bhavishya mai hone wali ucch raktchaap ki samasya se bachaya ja sake. Aaiye jane High Blood Pressure Diet in Hindi. Inn aaharo ko sevan karne se ucch raktchaap niyantrit rehta hai.

High Blood Pressure Diet in Hindi: Uccha Raktchaap Kam Kare

Ham santulit aahar ke bare mai jankar ucch raktchaap ki samasya ko hone se rok sakte hai aur yadi aapko yeh bimari ho bhi chuki ho to isse bhi nijad paa sakte hai. Jaise ki hamne abhi upar hi baat ki, uccha raktchaap ke lakshano ka hame pehle nahi pata chal pata lekin fir bhi kuch logo mai yeh lakshan dikhai dete hai.

Chakkar aana, sans ka pulna, naak se khun niklana, nind ki kami, dil ki dhadkane badna, hath pairo mai kampann, swabhav mai chidchidapan aadi. Yadi aapko ya aapke parivar, dosto aadi mai yeh lakshan dekhne ko milte hai to bina der kiye chiktsak ki salah lena behatar hoga aur apne aahar ko turant badalna hoga.

Uccha raktchaap se pidit vyakti ko kam urja, kam vasa, madhyam protein aur kam namak wale aahar khana chahiye. Aur aise carbohydrate ka sevan karna chahiye jo jaldi aur aasani se pachte hi. Jisse urja ki aavyashakta puri ho sake.

Aur dhyaan rakhe ki aapke sharir mai namak ki matra bahut kaam jaye. Kyoki namak ka sidha asar blood pressure par padta hai. Namak sharir mai jayda hone par blood pressure bad jata hai. Yadi aap rojana sirf 5gm sodium lenge tab bhi aapki sharir mai sodium ki aavashyakata puri ho jayegi. Bhojan mai kabhi bhi upar se namak dalkar na khaye. Sath hi mansahari padartho ka sevan na kare, kyoki isme adhik matra mai sodium hota hai.

Dal, chawal ya koi bhi sabut anaj ko galane ya pakane ke liye, namak ka upyog nahi karna chahiye. Aisa karne se aahar mai sodium ki matra bad jati hai aur b-complex nasht ho jata hai jo sharir ke liye bahut jaruri hai.

You may also like:- Yoga for High Blood Pressure in Hindi: Uchh Raktchap Ke Liye

 

Namak Ka Istemal Kam Kare

Ucch raktchaap se grasit logo ko namak ka sevan bahut kam karna chahiye. Kyoki sharir mai sodium adhikta hone par atirikt pani jama ho jata hai. Jisse rakt ka pravah bad jata hai.  Jin khadya padartho mai namak jayda ho jaise achar, papad, cold drinks, chips unka sevan nahi karna chahiye.

Agar aapko kam namak ki wajah se bhojan karne mai aruchi paida ho to aap nimbu ka ras dalkar sevan kar sakte hai. Sath hi ho sake to doctor se paramash lekar low sodium ka bhi upyog kar sakte hai.

Taje Phal aur Hari Sabjiya

Khane mai jayda se jayda hari sabjiya aur phalo ka sevan karna chahiye. Hari sabjiyo mai palak, methi, gobhi, bathua ko rojana ke aahar main sammilit karna chaiye. Isse raktchaap samanya rehta hai. Tatha phalo mai mosmi phalo ka sevan kar sakte hai, jaise mosambi, angur, anar, papita, seb, santra aadi.

Inn phalo mai magnesium or fiber acchi matra mai hai. Jo raktchaap ko niyantrit karta hai. Rojana phalo ya to katkar kha le ya ras banakar bhi pi sakte hai.

Adhik Se Adhik Taral Padharth Le

Diet for High Blood Pressure ki baat kare to khane ke sath sath pey padharth ka bahut khayal rakhe. Rojana kam se kam 10 se 12 glass pani dinbhar mai jarur piye. Chai ya coffee ka sevan kam kar de. Aur ho sake to chhod hi de kyonki chai aur coffee kai vyktiyo ka raktchaap badane mai jimmedar hoti hai. Isliye doodh mai se malai ko nikal kar dhoodh pina accha hota hai. Aue cold drinks ka sevan to bilkul na kare.

Shakarkand – Tanav Kam Kare

Ucch raktchaap se pidit vykati ko din mai shakarkand  ki kam se kam 1-2 slice  jarur khana chahiye, kyoki shakarkand mai carotene, calcium aur pani mai milne wale reshe hote hai jo tanav ko kam karne mai madad karte hai.

Lahsun Ka Sevan Faydemand

Lahsun ucch raktchap ko niyantrit karne mai sahayak hai. Sath hi yeh cholesterol aur triglyceride ki matra ko bhi kam karti hai. Lahsun ek aesi davai hai jo hanikark backteria ko marne mai sahayak hai. Sath hi yeh aanto mai swasthprad jivanuo ka nirman bhi karta hai.

Iski 2 se 4 kali pani ke sath li jaa sakti hai. Iska sevan karne se sardi jhukham se rahat milti hai. Isme kai vitamin or khanij lavan hote hai, jo hriday ko shakti dete hai sath hi pachan mai bhi sahayak hota hai. Iske atirikt lahsun ke 4-5 bund ras ko 2 chammach pani mai dalkar pine se blood pressure ko samanya banaye rakhta hai.

Omega-3 Fatty Acid Se Bharpur Akhroth

Akroth mai omega-3 fatty acid, vitamin B aur magnesium moujud hota hai. jisse nakaratmak vayvhar mai parivartan aa jata hai aur tanav kam hota hai.

Fast Food Se Bana le Duri

Fast food jaise ki pizza, burger, chips, cold drinks, ice cream, french fries, samosa, vada pav, chocolate aadi khane mai to bahut swadisht lagte hai. Parantu swasth ke liye utne hi hanikar hai. Inka sevan sharir ke liye accha nahi hota hai. Yeh sab khadya padharth namak, chini tatha vasa se bhare hote hai. Inme calories ki adhik matra hoti hai jo hriday ke swasthtya ke liye acchi nahi hoti hai.

You may also like:- Hypertension Symptoms in Hindi: Ucch Raktchap Se Paye Nijad

 

Anya Aahar Inhe Bhi Jane:-

Dhaniye mai ek prakar ka rasayan hota hai jo dhamniyo ki manspeshiyo ko relax karta hai. Dhaniya khane se high blood pressure kam hota hai, aur yeh tanav ko dur bhagata hai.

Tarbooz ke beejo mai ek tatva hota hai, jo blood pressure ko samanya raktha hai. Iske beejo ko sukha kar pise. ek chammach churan ko ek cup garam pani mai 1-2 ghante ke liye bheego de. Fir use chaankar din mai 3 se 4 bar piye.

Papite mai fiber, vitamin aur antioxidants prachur matra mai paye jate hai. Papita jitna swadisht khane mai lagta hai utna hi swasth ke liye bhi gunkari hai. Pray ek papita khane se blood pressure samanya avstha mai rehta hai.

Pyaj bhi bure cholesterol ko kam karne mai sahayak hai. Yeh nervous system ke liye tonic ka kaam karta hai. Wahi shahad ke istemal se hriday sashakth banta hai. Isliye pyaj ke ras mai barabar matra mai shahad milakar rojana pine se ucch raktchaap ki samasya se nijat milta hai. Yeh Natural Remedies for High Blood Pressure hai. Shahad rakt vahiniyo ki uttejanao ko kam karke unpar atirikt dabav kam karta hai.

Awala mai vitamin c bharpur matra mai hota hai, Isliye iske rojana ek chammach churn ko gungune pani ke sath ratri ko sevan karna chahiye. Isse rakt vahiniyo ka lachilapan badhta hai, jisse ucch raktchaap ki samasya se nijat milti hai.

Kaddu ke beejo mai zink paya jata hai jo tanav ko kam karne mai sahayak hota hai. Yadi aapke shrir mai zink ki kami hogi to aap depression ka shikar ho jayenge.

Dahi main protein, calcium, riboflavin, vitamin B6, vitamin B12, hota hai, jo ucch raktchaap ki samasya ko kam karne mai sahayak hota hai. Isliye iska rojana sevan karna chahiye.

Adrak mai aese tatv hote hai jo rakt ke thakke ko jamne nahi dete hai. Aur hriday mai rakt ke sanchar ko badatw hai. Iske atirikt yeh manspeshiyo ko aaram bhi dete hai. Isiliye aapke aahar mai adrak ko jarur shamil kare.

Upar aapne jana High Blood Pressure Diet in Hindi. Yadi aapko uccha raktchaap ki samasya hai to aaj se hi santulit aahar ka sevan kare.

Loading...

This website uses cookies.