Aajkal computers ka istemal bahut badh gaya hai. Jydatar kaam computers par hone laga hai. Ghanto computer par baithne se swasthya par bura asar padta hai. Lekin sabse jyada asar kisi chiz par padhta hai to wo hai aapka pet. Isliye pet badhne ki samasya aajkal har teesre chouthe vyakti mai dekhne ko milti hai.
Ek baar pet badh jata hai to sharir accha nahi dikhta hai. Bedhol sharir ke wajah se ham apne pasandida kapde bhi nahi pehan pate hai. Kuch logo ke sath stithi itni battar ho jati hai ki unhe logo ke bich uthne baithne mai sharmindagi mehsus hone lagti hai.
Pet ki charbi se chutkara pane ke liye log kai tarah se vyayam ko apnate hai. Lekin parinam najar naa aane par wo use adhura hi chhod deta hai. Darahsal kada vyayam karna har kisi ke bas ki baat nahi hai. Jin logo ko exercise karne ki aadat nahi hoti hai unke sharir mai isse bahut dard hota hai. Jisse wo bich mai hi ise karna chhod dete hai.
Yadi aapki bhi tond nikal gayi hai to aapko jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai kuch Home Remedies for Belly Fat ko apnakar aap aasani se apna pet kam kar skate hai.
Home Remedies for Belly Fat: Gharelu Upchar Se Ghataye Pet Ki Charbi
Galat dhang se aahar vihar yani khan pan aur rahan sahan karne se sharir par charbi jamne lagti hai aur pet bahar nikal aata hai. Isse kamar moti ho jati hai aur kulhe bhari ho jate hai. Iss wajah se hath pair aur gardan par motapa aane lagta hai. Jabdo ke niche gardan ka mota hona aur tond badhna motape ka ek lakshan hai. Aaiye jante hai isse nijat pane ke tarike ko:-
Bhukhe Rehne Se Bache
Aksar dekha gaya hai jab bhi sharir se charbi ghatane ki baat aati hai to log dieting shuru kar dete hai. Lekin bhukhe rehne se charbi to kam nahi hoti hai ulta ham apne sharir ko aur nuksan pahuchane lagte hai. Isliye kabhi bhi bukha naa rahe.
Bhojan ko bahut kam khane se aapka sharir vasa bhandaran pranali mai jane lagta hai. Isliye aap nashta, aur khane ko bilkul na chhode. Mahilao ko pratidin kam se kam 1500 se calorie, jabki purusho ko 1700 calorie jarur lena chahiye.
Subah Ki Shuruwat Garm Pani Se
Din ki shuruwat aapko garm pani peekar karna chahiye. Garam pani mai nimbu ka ras aur thoda namak milakar pine se metabolism badhta hai. Garam pani na keval aapka metabolism badhata hai balki calorie ko bhi nasht karne mai sahayak hai.
Iske atrikt pure din pani ka sevan karte rahe. Jaruri nahi hai ki aap garam pani hi piye din mai aap thanda pani bhi pee sakte hai. Pure din mai kam se kam 10 glass pani jarur piye.
Aahar mai Protein Ko Shamil Kare
Pet ki charbi ko ghatane ke liye apne khane mai protein ka istemal kare. Lekin protein bina charbi ke hona chahiye. Protein ke liye aap machhli, ande ka safed bhag, ya kam charbi wala maas le sakte hai. Darahsal aapke sharir ko protein pachane ke liye adhik urja ki aavyashakta hoti hai aur yeh aapke mashpesiyo ko majboot banata hai.
Mashpesiya banne se vasa ko pighalne mai madad milti hai. Jaise jaise aap majboot hote hai aapke sharir ka vasa pighalne mai teji aati hai.
You May Also Like:- Weight Loss Diet Plan in Hindi: Vajan Kam Karne Ke Liye Apnaye
Phalo Ka Sevan
Pet ki charbi kam karne mai phalo ka sevan bhi madadgar hota hai. Phalo ka niyamit sevan karne se pachan kriya bhi sahi hoti hai aur bimariya bhi dur rehti hai.
Tarbooj: Pet ki charbi kam karne ke liye tarbooj ek bahut hi aasan aur karagar upay hai. Isme 90 pratishat tak pani hota hai. Isliye ise khana kahne se pehle khana chahiye. Isse aap bhara hua mehsus karte hai. Isme vitamin b1, b6, vitamin c, pottasium, magnesium paryapt matra mai hote hai. Kuch sodho ke anusar har roj do glass tarbooj ka juice pine se aath saptah mai pet ke aaspas ki charbi ghat jati hai.
Ananas: Ananas ki madad se bhi aap pet ki charbi ko kam kar sakte hai. Isme bromelain namak enzyme paya jata hai. Yeh tatva pet ki charbi ko kam karne mai madadgar hai.
Sevphal: “Eating an apple a day keep the doctors away”. Yeh kahavat to aap sabhi ne suni hogi. Ham aapko batana chahte hai ki seb ke sevan se naa keval bimariya dur hoti hai lekin yeh ek behtarin fat burning foods mai se bhi ek hai.
Seb mai uccha matra mai dietry fiber hota hai. Isme milne wala fiber, fitosrol, flavonoids aur beta carotin pet ki charbi ko kam karne mai mahatvpurn hote hai. Sath hi yeh jyada khane se bhi dur rakhta hai. Isme moujud pectine namak tatva bhi vajan ghatane mai aham hai.
Salad Ka Sevan
Yadi aapko salad khana pasand hai to bharpur matra mai salad khaye. Yeh bhi aapke pet ki charbi ko kam karne mai sahayak hota hai. Aap tamatar, khira se taiyar salad kha sakte hai.
Tamatar mai aesa yogik paya jata hai jo khoon mai lipid kam karne ka kaam karta hai, jisse pet ki charbi ko kam karne mai madad milti hai. Sath hi yeh yogik motape se jude kai prakar ke karako ko dur karne mai shayak hota hai. Wahi khira jiska istemal aap keval tajgi aur pyas bhujane ke liye karte hai iske sevan se bhi pet ki charbi ko ghataya ja sakta hai.
Khire mai minerals, fiber aur vitamin bharpur matra mai hota hai. Har roj ek plate khira khane se sharir ke andar banne wale kai vishakt padharth khud hi saaf ho jate hai.
Sukhe Meve Bhi faydemand
Sukhe meve mai badam mai acchi matra mai swasthvardhak fat moujud hota hai. Isme moujud polysaturated aur monounsaturated fat overeating se bachata hai. Darahsal badam bhukh ko dabane ka kaam karta hai. Sath hi yeh dil sambandhi bimariyo ko dur rakhne mai bhi madadgar hai.
Isme high fiber ki moujudugi hoti hai jo aapko lambe samay tak bhukh ka ehasas nahi hone deti hai. Aese mai agar aap charbi badhane wale snacks khate hai to uski jagah rosted badam ka istemal shuru kar de.
Yog Ko Apnaye
Pet ki charbi ko kam karne ke liye yog bhi ek karagar upay hai. Yogasano se naa keval aapki pet ki charbi ko ghatane mai madad milengi balki isse aapki mashpesiya bhi majboot hongi.
Bhujangasana: Iss aasan ko karne se pet ki charbi ghatti hai. Iske atirikt sharir ko lachila banane mai bhi yeh sahayak hai.
Balasana: Jin logo ki pet ki charbi badi hui ho unhe to balasan jarur karna chahiye. Lekin garbhavati mahilaye aur ghutne se pidit log ise karne se bache. Iske atirikt aap Exercises to Lose Belly Fat ko bhi apna sakte hai.
You May Also Like:- Fat Loss Tips in Hindi: Jane Charbi Ghatane Ke Aasan Tarike
Home Remedies to Burn Belly Fat: Anya tarike Inhe Bhi Jane
- Motapa dur karne ke liye shahad bahut mahatvapurn padharth hai. Ek chammach shahad, aadha chammach nimbu ka ras, garam jal mai milakar lete rehne se sharir ki atiritk charbi nasht hoti hai.
- Patta gobhi mai bhi charbi ghatane ke tatva hote hai. Iska sevan karne se calorie nasht ho jati hai aur sharir ka metabolism sudharta hai. Pet ki charbi ko kam karne ki chahat rakhne walo ko iska sevan jarur karna chahiye. Aap ise salad ya sabji banakar dono hi rupo mai le sakte hai.
- Roj subah ke wakt do kali lehsun ki khaye aur fir uske baad nimbu pani pee le. Isse vajan ghatne ki kriya doguni ho jati hai aur sharir mai rakt sanchar acchi tarah hone lagta hai.
- Pet ki charbi ko kam karne ke liye namak ki matra ko bhi kam kare. Iske atrikt khana banate wakt vyanjan mai masale ke roop mai dalchini, kali mirch aur adrak dale. Yeh sab rakt mai glucose ke star ko kam karne mai madad karte hai.
- Yadi aap wakai apna vajan kam karna chahte hai to apni diet mai ajwain ki patiyo ko shamil kare. Ajwain ki patti ka sevan karne se pet ki charbi kam hoti hai. Behad kam calorie, fiber yukt, calcium aur vitamin c ka pramukh strot hone ki wajah se yeh belly fat ko kam karne mai asardark cheej hai. Khane ke pehle ajwain ka paani pine se pachan tantra sahi rehta hai.
- Ek sodh ke anusar mirchi khane se bhi vajan kam hota hai. Hari ya kali mirch mai paye jane wale tatva capsaicin se bhukh kam hoti hai. Isse urja ki khapat bhi badh jata hai, jisse vajan control mai rehta hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Belly Fat. Yadi aap bhi pet ki badhi hui charbi se pareshan hai to uprokt tariko ko jarur apnaiye. Yeh sab tarike prakratik hai to isse aapko kisi bhi tarah ka nuksan bhi nahi hoga.