Bahut se log apne chehre ki twacha ka to bahut khayal rakhte hai lekin apne sharir ke baki hisso ke bare mai sochna chod dete hai. Jiske chalte unke sharir ke anya hisse chehre ki tulna mai kale dikhai dete hai.
Kuch hisse to aese hote hai jin par yadi dhyan nahi diya jaye to wo bahut hi kale dikhai dete hai jaise hatho ki kohniya. Hatho ki kohniya kali hoti hai to aapke hath acche nahi dikhte hai. Aap sleeveless kapde nahi pehan pate hai.
Yeh itni badi baat bhi nahi hai ki ise theek nahi kiya ja sake. Gharelu upcharo ki madad se aap ise aasani se theek kar sakte hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Dark Elbows. Inn gharelu upcharo ko apnane par aapko fayda jarur milega.
Home Remedies for Dark Elbows in Hindi: Jane aur Aazmaye
Upchar karke aap chizo ko thik to kar lete hai. Lekin iske sath sath yadi aap isse bachav ka tarika bhi dhund lenge to aapko aur jald fayda milega. Isliye pehne ham kohniya kali kyu padh jati hai iski wajah ko jaan lete hai:-
- Kohni ka table par ragad khana
- Dhup ke karan sun tanning
- Pigmentation
- Twacha ka thik se khayal na rakh pana
Ab gharelu upchar ko apnane ke sath sath yadi aap inn baato ko bhi khyal rakhenge to kohniya kali hi nahi padhegi. Isliye aap kohniyo ko acche se saaf kare, dhup se bachne ke liye full astin ke kapde pehne, sunscreen lagaye aadi.
Upchar 1: Nimbu
Yadi aap kuch aesa upchar dhund rahe ho jo karne mai bhi aasan ho sath sath prabhavi bhi ho. To iske liye nimbu ka prayog kare. Aapko jyada kuch nahi karna hai. Bus ek nimbu le, uska chota sa tukda kat le aur ise kohniyo par ragade.
Iske ras ko aadha ghanta yu hi lage rehne de bad mai pani se dho le. 1 se 2 hafte mai aapki kohniya bilkul saaf ho jayegi.
Upchar 2: Dahi
Dahi sondarya badhane mai faydemand hai. Yeh baat se ham sabhi wakif hai. Darahsal dahi mai bleaching ke gun hote hai jisse aapki twacha ki rangat halki hoti hai.
Kohniyo ke kalepan ko dur karne ke liye dahi mai nimbu aur besan milakar lagaye. Sukhne tak rehne de fir sade pani se dho le.
Upchar 3: Nariyal Tel
Kya aap jante hai kai bar kohniyo ke kale padhne ki wajah twacha ka rukhapan hai. Twacha rukhi hone par bhi kali dikhai dene lagti hai. Rojana raat ko sone se pehle kohniyo mai nariyal ka tel lagakar soye.
Isse twacha mulayam hogi aur twacha ki gandagi bhi saaf hogi. 2 hafto ke andar aapko fark dikhne lag jayega.
Upchar 4: Aloe Vera
Aloe Vera se baal badhane ke faydo ke bare mai to sabhi jante hai. Lekin kya aap jante hai iska prayog kai bar skin care creams aadi banane mai bhi kiya jata hai.
Aap bilkul sahi samajh rahe hai aloe vera jel ko apni kohniyo par lagakar aap kohni ka kalapan thik kar sakte hai. Hamesha taje aloe vera jel ka prayog kare. Yadi aapki twacha rukhi hai to ho sakta hai ise lagane ke bad aapko halki si jalan mehsus ho. Aadha ghanta rakhne ke bad ise gungune pani se dho le.
Upchar 5: Besan Ka Haldi Ubtan
Besan aur dahi ke ubtan ke bare mai to aap naa jante ho aesa ho hi nahi sakta. Twacha ko gora banane aur usme khichav lane ke liye iska prayog bahut kiya jata hai. Yahi ubtan aap kohniyo ki twacha ka kalapan dur karne ke liye bhi apna sakte hai. Yeh bhi asar dikhane wali Dark Elbows Remedy hai.
Upchar 6: Shakkar
Aapko sunkar thoda aascharya lag raha hoga. Lekin shakkar ki madad se bhi aap kohniyo ka kalapan dur kar sakte hai. Darahsal aap shakkar ko scrub ki tarah istemal kar sakte hai.
Sugar scrub se kohniyo ki malish karne par dead skin nikal jati hai. Aur twacha ka kalapan dur hokar twacha mulayam banti hai. Ise banane ke liye shakkar mai jaitun ka tel milaye. Ek gadha paste taiyar karke 5 minute ke liye apne kohniyo par ragade. Mild soap aur pani ki madad se dho le. Jab tak parinaam nahi milta har dusre din iss prayog ko kare.
Upar aapne jana Home Remedies for Dark Elbow in Hindi. Upar bataye gaye prayog ko ajmane par dhire dhire aapki kohniyo ka kalapan dur ho jayega. To fir der kis baat ki jaldi se apnaye aur hatho ki acchi rangat paye.