What is Pigmentation in Hindi – Twacha Ki Samanya Samasya

Chehre par dikhne wali jhaiya twacha ka vikar hai jisme twacha ke kuch hisse gehre rang ke ho jate hai. Kyuki inn bhago mai melanin ka sabse jyada utpadan hota hai. Jhaiya ya fir kahe twacha ki rangat se alag daag dhabbo ko pigementation kehte hai.

Yeh samasya chehre, gardan aur naak par jyada dekhne ko milti hai. Umra badhne ke sath sath yeh pareshani badhti janti hai jo ki chehre ki sundarta ko chhin leti hai.

Iske hone ke kai karan hai tej dhoop mai bahar nikalna, rakt ka saaf na hona aadi. Kai bar hormonal badlav ya fir bimariyo ke karan bhi yeh chehre par yeh twacha ki samasya ho jati hai.

Isse nijat pane ke liye chikitsak ki salah leni chahiye taki aap aapki khoi hui khubsurati ko wapas pa sake. Iss samasya ko vistar se janne ke liye padhiye What is Pigmentation in Hindi.
 

What is Pigmentation in Hindi – Yeh Kya Hai aur Iske Prakar

 
What is Pigmentation in Hindi
 

Pigmentation Kya Hai?

Kai bar melanin ka strav vikrat rup se hota hai, jaise kai bar yeh jyada nikalta hai aur kai bar yeh kam nikalta hai. Isi ko Pigmentation kehte hai, jiske chalte chehre par kale dhabbe ho jate hai.

  1. Iss avstha mai twach sadharan twacha se halki ya gehri rang ki dikhai deti hai.
  2. Kai baar yeh mahilao mai garbhvastha ke douran ho jati hai.
  3. Twacha ke dhup se jhulas jane par bhi pigmentation ho jata hai.
  4. Jyada tanav lene par hormones ke asantulan ke karan twacha mai melanin ka udpadan bad jata hai aur pigmentation hone lagta hai.

 

Types of Pigmentation – Jane Iske Prakar

 

Melasama

Yeh ek tarah ka Skin Pigmentation hai jo twacha par tan aur bhure rang ke daag dhabbo ke rup mai dikhai deta hai. Melasama ka shikar adhiktar garbhavati mahilaye hoti hai.

  1. Khaskar yeh mathe, gaal, hotho ke upari bhaag, naak, aur thodi par hote hai.
  2. Garbhavastha ke bad adhikar mamlo mai yeh twacha se apne aap hat jati hai.
  3. Mahilao mai rajnovarati bhi iska ek karan ho sakta hai.
  4. Garb nirodhak goliya ka sevan karne wali mahilao mai bhi yeh dekhne ko milta hai.
  5. Purush bhi melasama ka shikar ho sakte hai aur unme yeh vikar poshak tatvo ki kami ke karan hota hai.

 

Vitiligo

Vitiligo ek aisi avstha hai jab sharir ka pachan tantra pigment koshikao par hamla kar deta hai, jiske parinam swarup pigment koshikaye chikni hokar khatam hone lag jati hai aur twacha ke yaha safed daag banne lagte hai.

  1. Yeh jyadatar muh, aankh aur hath ke piche ho sakta hai.
  2. Kuch logo ko yeh pure sharir par dikhne lagta hai.
  3. Vitilgo aapke sharir par tab hota hai jab aapka pachan tantra thik nahi hai.
  4. Kisi bimari jaise madhumeh, anemia, aur thyroid ki bimari se pidit hone par bhi iski samasya ho sakti hai.

 

Albinism

Albinism anuvashikta ke karan hota hai jisse melanin twacha par dikhai hi nahi deta. Yeh twacha, baal aur aankho mai ghatit hoti hai. Durbhagyavash iss bimari ka koi ilaaj abhi tak nhi mila hai sirf ise gharelu upchar ke dwara thik kiya ja sakta hai.

  1. Jin bhi vaykti ko albinism hai unhe sunscreen jarur lagana chahiye.
  2. Iss avastha mai twacha ke suraj ki kirano se sampark mai aane se skin cancer ka khatra rehta hai.

 

Hyper pigmentation

Hyperpigmentation ki samasya kisi bhi tarah ki chhot lagne ke bad hi dikhai deti hai. Jab chehre par acne ki samasya ya anya kisi aur prakar ka ghav hota hai uske baad yeh jyada ubhar ke samne aati hai. Hyperpigmentation On Face ke kai karan hai jaise:-

  1. Suraj ki kirno se twacha ka jyada sampark
  2. Anuvanshikta
  3. Hormones mai parivartan
  4. Kuch dawao ke sevan se jaise antibiotics ya hormone upchar ki dawai
  5. Twacha mai jalan ya anya samasyae jaise ki muhase.

 

Jhaiya (Freckles)

Dhup mai jyada rehne par aapke twacha ka rang gehra hone lag jata hai tatha dhire dhire chehre par kai sare kale dhabbe ban jate hai. Freckles mai aapki twacha ka rang badal kar kala ho jata hai. Jin logo ko bhi freckles pigmentation ki samasya hoti hai unhe dhup mai jyada nahi rehna chahiye.

  1. Jhaiyo ki samasya sabse jyada unn logo mai dikhai deti hai jinki twacha gori tatha baal lal hote hai.
  2. Jhaiyo se pidit vyakti ki twacha dhup se nikalne wali UV kirno se bahut jaldi damage ho jati hai.

 

Daag (Birth Marks)

Birthmark har kisi vyakti ki twacha par nahi dikhai deta hai, balki yeh kuch baccho mai janam ke kuch hafte bad apne aap dikhai dene lag jata hai. Ise 2 bhago mai bata gaya hai.

  1. Pigmented Birthmark yeh blue, gehre bhure rang ke ho sakte hai.
  2. Vascular birthmark ek paidaishi nishan hai. Jisme rakt wahikao ke thik se kaam na karne ka karan twacha ka rang badla hua hota hai.

 


Type of Pigmentation Twacha Ka Rang
Melasama Bhure Rang Ka Daag
Hyper Pigmentation Chot Jaisa Daag
Freckles Chhote Chhote Daag Dhabbe
Birthmarks Nile Tatha Bhura Rang

 
Upar aapne jana What is Pigmentation in Hindi aur uske prakar. Yeh bahut hi samanya sa vikar hai jo twacha par kale nishan ke rup mai paya jate hai. Inhe thik karne ke liye aap gharelu upchar ki sahayata le sakte hai ya twacha ke chikitsak ko dhikha sakte hai.

Loading...

You may also like...