Jab bhi aapko kan mai koi problem hoti hai ya kuch bhi sunai dene mai dikkat aati hai, iss term ko Earache kahte hai. Earache word 2 alag-alag words ko merge karke banaya gaya hai. Ear + Ache, inn dono words ko milakar Earache word bana hai.
Generally ears ka middle portion empty hota hai. Ears ke middle mai air paas ho sakti hai, iss wajah se kan mai fungus aur sludge apni jagah bana lete hai. Fungus jama hone ke baad, kan mai bacteria apni jagah bana lete hai aur case kaafi complicated ho jata hai. Aaiye hum janate hai kuch Home Remedies for Earache ke bare mai jaruri jankari.
Yeh dard kisi bhi age ke vyakti ko ho sakta hai. Barish ke mausam mai kan ka dard hona aam baat hai. Lagatar dard hona aapki sehat ke liye kafi ghatak sabit ho sakta hai.
Common Issues of Earache: Kan Dard ke Kuch Aam Karan
- Ear tube mai blockage hona (Eustachian tube)
- Kisi chiz ka kan mai fasna
- Eardrum ka damage hona
- Ear Injury hona
- Pharyngitis disease hona
- Tonsillitis hona
- Arthritis hona
You may also like:- Home Remedies for Ear Pain
Earache Relief: Kan ka Dard Dur Karne ke Liye Aise Kare
Basil Leaves:-
Tulsi ke patto ka juice nikale aur uski 2 drops apne kan mai dale. Isse aapke kan ke fungus nikal jayege.
Garlic:-
Lahsun ko pisskar usme namak milaye. Ab thoda tel garam kare aur usme lahsun aur namak ka mishran dale. Isse aapko kan ke dard mai laabh hoga.
Lavender Oil:-
Agar kan mai bahut khujali ho rahi ho, to lavender ka tel kafi aaramdayak hota hai. Iss tel ko kan ke bahari hisso mai hi lagana hota haim ise kan mai nahi dale.
Mustard Oil:-
Kan mai dard hone par usme mustard oil dale. Isse aapko bahut aaram milega.
Onion Juice:-
Onion ka juice nikale aur use cotton ki help se kan mai dale. Yeh ek bahut accha home remedies for earache hai.
Vitamin C:-
Apne aahar mai Vitamin C ko shamil kare. Jaise orange, lemon, guavas, strawberries aur papaya aadi.
Yeh sabhi nuskhe earache relief mai bahut sahayata karte hai. To apnaiye inn Home Remedies for Earache ko aur kan ke dard se nijat paiye.
Get more details about from Earache Home Remedies.