Kya aapke nakhuno ke paas ki twacha nikal rahi hai aur iss wajah se aap pareshan ho chuke hai? Nakhuno ke upar wali twacha ko hangnail kaha jata hai. Agar yeh twacha dhili ho jati hai, to kapde pehante wakt ya fir kuch kaam karte wakt ya fir kai bar aese hi nikalne lagti hai.
Jab yeh twacha nikalti hai to dard deti hai. Aur yeh nikali hui twacha aapko kai bar irritate bhi karti hai. Kai bar iske chalte nakhuno ke pas swelling ho jati hai ya fir skin infection bhi ho jata hai.
Iske hone ke kai karan hai jaise hatho ya pairo ki uchit dekhbhal naa karna, hatho ke nakhuno ko chabane ki aadat, bahut jyada harsh soap ya detergent ke istemal ke karan bhi aapko iss samasya ka samna kar padh sakta hai.
Yadi bahut der tak aap pani mai kaam karte hai aur aapke nakhuno ka prakratik tel khatam ho jata hai to isse twacha mrit ho jati hai aur nikalne lagti hai. Isliye ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Hangnails taki aap iska ilaj kar sake.
Home Remedies for Hangnails in Hindi: Ise Theek Kaise Kare?
Badam Tel
- Badam, hangnails ki samasya ko thik karne ka aasan upay hai. Isme moujud vitamin e aapki twacha ko poshan evam nami deti hai.
- Isme fatty acid bhi hota hai jisse sujan aur jalan kam hoti hai.
- Prayog ke liye aap rojana badam ka sevan to kare hi sath hi aap iska upari prayog bhi kar sakte hai.
- Kuch badam ko ek raat ke liye pani mai bhigo kar rakhe, dusre din chhilka nikal le aur badam ko pees le.
- Iss paste mai thoda sa ande ka safed bhag aur shahad milaye.
- Raat ko sone se pehle iss paste ko apne nakhuno aur hatho par lagaye, iske bad gloves pehan le.
- Ise raat bhar lele aur agle din dhole. Aesa kuch hafto tak lagatar kare.
Dahi
- Dahi hangnail ke karan hone wali sujan aur dard ko dur karta hai. Yeh ek accha probiotic hai jisme anti-inflammatory gun moujud hote hai.
- Plain dahi le aur prabhavit hisse par lagaye, aur kuch wakt ke liye chod de. Yeh ek accha moisturizer bhi hai.
- 1 ghante ke bad apne hatho ko dho le. Iss process ko rojana kare. Jab tak aapko hangnail se nijat nahi mil jati. Hangnail Pain Relief ke liye yeh bahut hi faydemand hai.
Shahad
- Hangnail ko hone se rokhne ke liye ya iske upchar ke liye sabse accha tarika hai aapke nakhuno ka aadhar moisturize ho, isse aapke nakhuno ke aaspas ki twacha mulayam rahegi.
- Shahad ek accha moisturizing agent hai, yeh nami ko banaye rakhne mai madad karta hai.
- Isme antibacterial aur anti inflammatory gun bhi hote hai, jisse yeh infection se ladta hai aur sujan ko kam karta hai.
- Iska prayog karne ke liye ise prabhavit hisse par 4 se 5 ghante lagaye aur fir dho le. Aesa rojana kare.
- Aap chahe to honey ka sevan bhi kar sakte hai, yeh andruni roop se twacha mai jaan dalta hai.
Safed Chikni Mitti
- Safed chikni mitti rukhi aur sensitive, dono tarah ki twacha ke liye acchi hoti hai. Yeh aapki twacha ko jaruri mineral deti hai.
- Iske prayog ke liye 1 chammach jaitun ka tel, lavender tel ki teen bune aur safed mitti le, iska mulayam paste bana le.
- Iss paste se nakhuno ke niche ki twacha par halke hatho se malish kare aur 15-20 minute ke liye chod de.
- Pani se dho ke aur hafte mai iss prakriya ko kam se kam teen baar jarur kare.
Avocado
- Yeh aapki twacha ko acche se hydrate karta hai sath hi sath nourish karne ka kaam bhi karta hai.
- Iss super fruit mai natural oil, healthy fat aur skin friendly vitamins hote hai jo aapki twacha ko rukhe hone mai madad karte hai.
- Avocado mai moujud natural oil dardnaak hangnail ki condition ko dur karti hai.
Aloe vera
- Aloe Vera aapki twacha ke liye faydemand hota hai, iss baat se to aap sabhi bhalibhanti parichit honge.
- Aloe vera ke nami pradan karne wale guno ki madad se hangnail ka upchar bhi kiya ja sakta hai.
- Iska prayog karna behad hi aasan hai. Aloevera ke patte se prapt taja jel nakhuno par ragde aur jitni der ho sake chod de.
- Iske bad sade pani se dho le. Hangnail ke thik hone tak rojana prayog kare.
Upar aapne jana Home Remedies for Hangnails in Hindi. Upar bataye gaye upcharo ko apnaye. Hamesha manicure karwate rahe. Aese aahar le jo calcium, vitamin aur iron se bharpur ho. Apne nakhuno par hamesha acchi quality ke utpad ka prayog kare.