Janiye Home Remedies for Irregular Periods in Hindi

Jab kisi mahilao ko ek ya do mahine mai keval ek baar period aane  lagte hai ya fir ek hi mahine mai 2 se 3 baar period aate ho. To iska  matlab hai ki, vah aniyamit mahwari se garsait hai.

Jo ki ek bahut badhi pareshani. Lekin ghabrane ki baat nahi hum aapko batate hai, Home Remedies for Irregular Periods in Hindi. Jisse aap iss pareshani se hamesah ke liye bach sakte hai.

Irregular periods mahila ke liye bahut hi serious  samasay hai .Iss samasya se aage chal kar kai nai shadi shuda ladkiya aasani se maa nahi ban pati hai. Iske alawa kai aur bhi swaath sambhndhi samasya samne aa sakti hai.

Isliye jitna jaldi ho sake iss samasya se chutkara pana chahiye aur ho sake to Prakratik tarike ilaaj  hi karvaiye. Gharelu upchar iss aniyamit mahwari se niptne ke liye bahut accha mana jata hai.

Jyadatar mahilaye ko masik dharm ke dino mai bahut pareshani hoti hai. Jisme sabse badhi pareshani ki masik dharm ka niyamit na aana. Vese isnke beech ka samay 28 ya 32 din ka hota hai. Jo ki har mahila ke liye  alag-alag hota hai.

Par aapke periods 32 daya ke baad aate hai, matlab ki aapki periods cycle niyamit nahi hai. Jiske liye aapko turant ilaj karna chahiye. Aur agar iss par dyan na diya jaye to yeh bahut badhi bimari mai bhi badal sakta hai.

Ek baat jo aapko dhyan rakha hai ki, yeh samasay kyo huye hai. Iska ptaa lagana bhi jaruri hota hai. Taki iske karano ka ptaa laga kar aap iska ilaj jaldi kar sakte hai. Aniyamit mahwari ke kai karan ho sakte hai. Jinke baare mai hum aapko batate hai.

Irregular Periods Symptoms, Aniyamit Masik Dharm ke Lakshan

Garbhashaye  ki  samasay  hi aniyamit mahwari ke liye ek mukhaye karan hai. Agar grabhpaat huya hai to aapko home pregnancy test karvana chahiye. Ya grabhpaat hone ke baad sahi tarik se ilaj karvana chahiye nahi to yeh aage chal kar hamare masik dharm ke liye pareshani ki baat ho jati hai.

Bhavnatamak tanav bhi aapke sharir mai hormone parivartan karta hai,jisse  aapki mahwari ko aniyamit karta hai. Gambhir bhavnatamk tanav se bachne ke liye meditation ya yoga karna chahiye.

Khan  pan mai vicar hona se bhi aap iss paresshani grasit ho jate hai. Jese agar aapke aahar mai poshtik tatvao ki kami, junk food ka jyada sevan aadi. Vese aapke aahar se bhi sharir ka pura system change ho jata hai.

Dekha gaya gaya hai, kabhi bhi mahilao vajan achanak se badh jata ya  kabhi bhi achanak se kam ho jata hai. Isliye hamesha dhyan rahe ki aapne sharir mai agar aap aise badlav dikhai dene par to turant doctor se sampark kare.

Jarurat se jyad sharab ya smoking karnese bhi aapko mahwari ki pareshani ho sakti hai. Isliye jaha tak ho sake mahilaye inn cheezo se hamesha ke liye dur rahiye.

You may also like:- Understand the Symptoms of Menstruation Cycle in Females

Jyada dawo ka sevan karne se bhi mahilaye iss samasya se ghir jate hai. Jese kabhi hume samanye swasth samasya hoti hai aur hum antibiotic ka sahar lete hai. Par baar-baar jyada dawao ka sevan se bhi aap aniyamit mahwari se ghir jate hai.

Aaj kal busy life ke chalte mahliye apna dhyan nahi rakh pati hai, jiske chalte vah kai bimariyo se grasit ho jati. Saaath hi unhe irregular periods se ghir jati hai.Kahne ka matlab hai ki, aaj kal ki dincharya iss pareshani ka mukhaye karan hai.

Aaj kal mahilao mai sharirk gatividhiyo  ki kami ho chuki hai. Log kaam ko lekar jyada busy rahte hai, lekin isse vo koi aise kaam nahi karte jiske karan vah sharirk roop se swasth rahe. Mahilaye bhi aaj kal kaam kazi ho gai hai, jiske chalte unka sara kaam computer par hi hota hai. Aur physical activity ki kami se vo iss bimari se ghir jati hai.

Menopause ke karna bhi mahilaye ke period  aniyamita ho jate hai. Isliye agar aap menopause ke shikar hai to pahle isk ilaj kijiye fir  apne iregular period  ka ilaj kijiye.

Agar koi mahila TB ka shaikar hai tab bhi uske masik dharm regular nahi rahte hai. Kyoki iss bimari ke douran aapka sharir andar se kamjor ho jata hai.  Saath hi diabetes ya anemia hone ke karan bhi aapko yeh pareshani hoti hai.

 Home Remedies for Irregular Periods in Hindi, Masik Dharm ke Niyamit Aane ke Liye Upchar

Aahar

Masaaledar aur gram khadye padath, fast food aur dibaaband khadya padarth ko khane se  bache kyoki isme poshak tatvao ki kami hoti hai. Snatulit aahar khana chahiye. Phal, aanaj, sabjiya, meat, daal aur dairy product jarur khaye. Vajn kam karne ke chakkar mai yadi aap nashta ya ek time ka khana chhod deti hai. To bhi period pae asar pdhta hai. ISliye aapko teen time bhojan jarur karna chahiye.

You may also like:- Period Food, Masik Dharm me Khaye Yeh Aahar

Sugarcane 

sugarcane  juice ko rozana pijiye. Ise aapko adbhut laabh hoga . Kyoki yeh ek bahut asrdaar aur common Home Remedies for Irregular Periods in Hindi hai.

Neem ki Chhal

Raat ko neem ki chhal ko pani mai bhigo dijiye. Dusre din chhal ko chhan kar iss pani ko din mai 3 baar piye. Isse period  niyamit aane shuru ho jayenge.

Hara Dhaniya

Home Remedies for Irregular Periods  ki baate kare to, hara dhaniya aur sauf ka naam sabse pahle aata hai. Dhaniya ya sauf ke beez k ki barabar matra lijiye. Inn samagri ko raat bhar pani mai bhigo kar subah iska pani chhan kar dhaniya aur sauf ko kha lijiye.

Home Remedies for Irregular Periods Ke Dwara Aniyamit Masik Dharm se Chutkara

Gajar aur Chukandar

Aap aniyamit mahwari ko gajar aur chukandar ke ras ko pi kar bhi theek kar sakte hai. Har din iska juice piye aur masik dharm ki iss pareshani se chutkara paiye.

Til ka Powder

Din mai 2 baar ek chammach til ka powder kahiye. Isse aapko bahut jadi aaram milega. Iska sevan rozana tab tak kariye jab tak aapko iss pareshani se aaram nahi mil jata.

Angur Juice

Angur Juice bhi period ko niyamit kar sakta hai. Aache result ke liye din mai 2 baar iss ras ka sevan jarur kijiye.  Saathi aap chahe to iske saath mai kaccha papita aur aloe vera ka juice pijiye.

Dalchini aur Niambu Ras

Aap nimbu ka ras aur dalchini ka powder ko ek saath milakar use rozana pi sakti hai. Isse bhi aapko bahut laabh milenga.

You may also like:- Cinnamon Health Benefits for Your Well-Being

Muli

2 se 3 muli ko pis lo, fir iss pisi huye muli mai butter milk mila lijiye. Aur rozan sone se pahle iss juice ko pijiye. Par dhyab rahe ki acche parinaam ke liye aapko isse roz pina hoga.

Anjeer

2 se 3 Anjeer ko pani mai boli kar lijiye. Fir isse pani ko chhan kar sevan kijiye. Aisa tak tak kijiye jab tak aapko iss pareshani se chutakar na mila jaye.

Upar aapne jane Home Remedies for Irregular Periods. Bas fir der kis baat ki, agar aap bhi masik dharm ki aniyamit hone se pareshan hai to aaj se hi inn ghrelu upchar ke dwara iss pareshani se chutkara paiye aur hamesha swasth rahiye.

Irregular Periods se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

This website uses cookies.