Home Remedies for Oily Skin: Teliya Twacha Ka Gharelu Upay

Sundar dikhne ke liye twacha ka swasth hona bahut jaruri hai. Jaise ki ham sabhi jante hai ki swasth dikhne ke liye hame iski dekhbhal ki jarurat hoti hai. Yu to har twacha ko khas dekhbhal ki jarurat hoti hai lekin teilya twacha walo ko kuch jyada hi dekhbhal ki jarurat hoti hai.

Teliya twacha hamare chehre ka aakarshan kam kar deti hai. Isse naa keval hamara chehra chipchaipa dikhai deta hai balki isse hamare chehre par muhase, blackhead jaisi samasyae ho jati hai. Iske piche ka karab yeh hai ki teliya twacha par dhul mitti jyada jamti hai. Jisse chehre ke rom chiddra band ho jate hai. Iss tarah chehre par mrit koshikaye badhne lagti hai aur chehra kala dikhai dena lagta hai.

Isliye yeh sabhi samasyao se bachne keliye twacha ki care karna bahut jaruri hai. Waise to iska koi sthai illaj nahi hai. Kyoki bajar mai milne wali creams ko aap jab tak lagate hai aapko bus tabhi tak fayda milta hai. Isse chhodte hi aapki skin pehle jaise hi jati hai. Isliye paise barbad karne ke bajay kyo na gharelu upcharo ki hi madad li jaye. Isse aapko kisi bhi side effects ka hone ka khatra nahi rehta hai. To aaiye jane Home Remedies for Oily Skin.
 

Home Remedies for Oily Skin: Teliya Twacha Se Paye Chutkara

 

 

Teliya Twacha Ke Liye Tamatar

Tamatar teliya twacha je liye bahut faydemand hote hai. Kyonki isme twacha ko saaf karne ke gun hote hai. Isme kuch aese prakratik acid hote hai jo twacha se tel nikalne mai madadgar hote hai. Iska istemal karne ke liye kate tamatar ko apni twacha par tab tak rakhe jab tak iska ras tel na sokh le. 15 minute bad thande pani se dho le. Isse chehre ke  white heads aur blackheads bhi khatam ho jate hai. Yeh ek prakratik Treatment for Oily Skin hai.
 

Multani Mitti Bhi Faydemand

Teliya twacha se chiknai hatane ke liye multani mitti ek behtarin vikalp hai. Iska prayog karne ke liye multani mitti mai dahi aur pudine ki patti ka powder milakar use aadhe ghante tak rakha rehne de. Fir use acche se milakar chehre aur garadan par lagaye. Sukhne par halke garm pani se dho le. Yeh ek behtarin Face Mask for Oily Skin hai.
 

Tel aur Muhase Dur Kare Shahad

Kuch log teliya twacha se tel nikalne ke liye us par keval harsh chize jaise ki sabun aadi ka istemal karte hai. lekin aesa nahi karna chahiye teliya twacha ko bhi moisturizer ki jarurat hoti hai. Iske liye aap shahad ka istemal kar sakte hai. Shahad ek behtarin moisturizer hota hai. Iska istemal karne ke liye ise 15 minute chehre par lagaye fir dho le. Yeh twacha ki jalan muhase aur kalepan ko dur karta hai. Sath is usse twacha kantimay aur lachili banti hai.
 

Namak aur Chini

Teliya twacha ko sirf dhone se hi kaam nahi chalte hai. Use scrub karne ki bhi jarurat hoti hai. Scrub karne se dead skin nikal jati hai aur chehra glow karne lagta hai. Isse porse se sari gandagi nikal jati hai, jisse chehra ganda nahi dikhta hai.
 

Haldi – Besan

Ek chammach besan mai chutki bhar haldi powder aur nimbu ka ras dale. Iss mishran ko apne chehre par lagakar sukhne tak chhod de. Iss baat ka khayal rakhe ki mishran ko aankho se thodi dur hi lagaye. Sukhne ke baad halke hatho se masalkar chuta le. Isse twacha ka atirikt tel hat jata hai. Twacha ka kalapan dur hokar twacha par chamak aati hai.
 

Ande Ka Mask

Jin logo ki twacha teliya hai unhe hafte mai ek baar facepack jarur lagana chahiye. Face mask lagane se twacha ki dead skin nikal jati hai aur chehra khil jata hai. Bajar mai face mask kharidne se behtar hai ki aap gharelu chizo jaise nimbu, oats, anda aur papita ka istemal kar sakte hai.
 

 

Aloe Vera Jel – Twcha Ka Prakratik Cleanser

Aloe vera jel ki madad se bhi aap apni twacha se atirikt tel ko hata sakte hai. Iske liye aloe vera ka jel nikalkar apne chehre par lagaye. Chehre par jel lagane se pehle chehre ko acche se dho le. Acche prabhav ke liye din mai do se teen bar lagaye.
 

Gunkari Nimbu

Chehre se tan hatane ke liye nimbu prakratik bleach ki tarah kaam karta hai. Iska istemal aap direct apne chehre par bhi kar sakte hai. Chehre se tel hatane ke liye iske ras ko nikalkar apne face par lagaye. Aur 15 minute baad dho le. Aap chahe to ise gulab jal ke sath bhi laga sakte hai ya fir facepack mai milakar bhi laga sakte hai. Isse na keval chehre ka atirikt tel nikalta hai balki iksi rangat bhi nikharti hai.

1 table spoon chaval ke aate mai corn floor aur nimbu ke ras ki kuch bunde milakar chehre par lagaye. Fir beehtar se baahar ki golai mai hath ghumate huye kuch der tak massage kare. Chaval ka aata dead cells hatane mai madadgar hai. Isse oxygen aapki twacha ke bhitar jati hai.
 

Bloating Paper

Bloating paper ek bahut aasan tarika hai jiske madhyam se aap kahi bhi apni twacha ko saaf kar usme se har tarah ki gandagi ko hata sakti hai. Bloating paper aapke chehre par moujud tel ke sath sath is par jami gandagi ko bhi saaf kar deta hai. Aur aapki twacha ko chamakdar bana deta hai.
 

Sehatmand Aahar

Twacha ke teliyapan se chutkara pane ke liye keval upari tour par hi nahi balki aapko andar se bhi dhyan dena hoga. Iske liye oily food aur bahut jyada fat wala aahar naa khaye. Aapko khub phal aur sabjiya khani chahiye aur liuid diet mai green tee, juice aur pani bhi lena chahiye.
 

Anya Tarike Inhe Bhi Janiye:-

  1. Din mai apne chehre ko kisi halke sabun ya facewash se jarur dhoye. Chehre ko saaf karne ke liye koi herbal scrub le.
  2. Suraj ki roshni mai jane se pehle sunscreen lotion lagaye kyonki suraj se twacha ko hani pahuchti hai.
  3. Nimbu ke ras ko thande pani mai mila ke 10 se 15 minute tak malish kare fir acche facewash se dho le.
  4. Gwarapatha aur daliya ka scrub taiyar kare iss scrub ko halke hatho se lagaye baad mai thande pani se dho le.
  5. Khire ke ras mai kuch bunde nimbu ki mila de aur chehre par 15 minute tak ke liye lagaye aur use thande pani se dho le.
  6. Caffeine yukt pey padharth se parhej kare. Kyoki isse sharir garam hota hai tatha twacha par atirikt tel banta hai.
  7. Taje phal aur sabjiya tatha halka paka hua bhojan aapki sundar twacha ke liye kaafi faydemand hota hai.
  8. Uccha calorie wale aur meethe padharth bhi aapke chehre par atirikt tel aur muhase hone ki sambhavna ko badhate hai.
  9. Glycerin aur gulab jal milakar chehre ki massage kare isse chehre mai extra oil kam hone lagta hai. Tatha chehre ki chamak barkarar rehti hai.
  10. Badam ko thode se shahad mai milakar mishran taiyar kar le. Ise mishran ko halke hatho se chehre par massge kare bad mai thande pani se dho le.
  11. Dhoop mai nikalne se pehle sunscreen lotion lagaye. Kyoki surya ki kirne twacha ko nuksan pahuchati hai tatha sebaceous ganthriya prabhavit hokar tel utpanna karti hai.
  12. Kuch log kehte hai ki teliya twacha ko pani ki aavyashakta nahi hoti hai. Lekin aesa nahi hai. Twacha ko nami dene ke liye khub pani piye aur acche moisturizer ka prayog kare jo aapki twacha ko janchta hai.
  13. Garam dudh mai suji milakar iska paste taiyar kar le, au rise chehre par lagaye. Kuch der baad chehre ko saaf pani se dho le. Dudh aur suji ka paste scrub ka kaam karta hai. Jo oily skin ke liye bahut labhdayk hota hai.
  14. Dahi mai oat ka choker, besan evam thodi si haldi milakar paste bana le. Paste ko apne chehre par lagakar halke halke hath se 5 minute tak male aur kuch din bad pani se dho le. Aesa karne se twacha mulayam rahegi.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Oily Skin. Upar diye gaye tariko ko apnakar aap apne chehre ke atirikt tel ko hata sakte hai. Iske atirikt jitana ho sake tension lene se bache. Tension lene se hormonal santulan bigadta hai. Ek sodh ke anusar tanav ke douran sharir se cortisol harmone ka risav hota hai. Jis wajah twacha teliya ho jati hai.

Loading...

This website uses cookies.