Aajkal daanto mai dard hona behad aam baat ho gayi hai. Har tisra vyakti iss samasya se pidhit hai. Vaise to daanto mai dard hona koi badi baat nahi hai. Kai baar ham ise najar andaaj bhi kar dete hai. Lekin yadi yeh dard kai samay tak bana rahe to yeh samasya asahniya ho jati hai. Aur kai baar to itni nobat aa jati hai ki khana pina bhi muskil ho jata hai.
Daanto mai dard hone ki kai wajah ho sakti hai jaise daanto mai keeda lagna, thik tarah se brush naa karna, atyadhik meetha khana, ya fir kabhi to sankraman ki wajah se daanto mai dard hota hai.
jyadatar log iss dard se nijad pane ke liye Allopathic dawaiyo ki aur rukh lete hai. Inn dawaiyo ke sevan se unhe jald fayda bhi pahuchta hai. lekin kai bar inn dawaiyo ke sevan se side effects bhi ho jate hai. Isliye behtar hoga ki gharelu nuskho ki madad li jaye. Gharelu upchar apnane ka yeh fayda hota hai ki inse kabhi bhi nuksan nahi hote hai aur yeh medicinal treatment se kai jyada faydemand hote hai.
Agar aap bhi iss samasya se pareshan hai to aapko ghabrane ki bilkul bhi jarurat nahi hai. Iss lekh mai ham aapko Home Remedies for Toothache bata rahe hai jiske dwara aap apne ghar par hi iss dard ka illaj kar sakte hai aur jald hi isse chutkara paa sakte hai.
Toothache Home Remedy: Inn Nuskho Se Kare Daant Dard Ko Door
Dard Mai Rahar Dilaye Long
Aapne aksar dekha hoga ki jab bhi kisi ko daanto mai dard hota hai to woh long ko apne daanto ke niche rakhte hai. Darahsal daant dard ka mukhya karan bacteria aur jeevanu ka panapna hota hai. Aur long mai mojud aushdhiya goon inn bacteria ka nash karte hai. Aap long ka churn ya tel dono ka hi istemal kar sakte hai. Jaisa ki ham jante hai long har rasoi ghar mai hoti hai. Isliye dard ko dur karne ka isse saral upay aur koi ho hi nahi sakta hai.
Brandy Bhi Faydemand
Aapko padh ke shayad aashcharya ho raha hai. Lekin brandy bhi ek effective Home Remedies for Toothache hai. Rui ka chota sa gola banaye. Fir iss gole ko brandy mai dubae aur jis jagah dard ho raha hai waha rakhe. Yeh jald hi aapke dard ko chhumantar kar dega.
Barf Se Sikai
Agar aap dard se pareshan ho chuke hai aur turant rahat chahte hai to barf aapke liye behad karagar sabit ho sakta hai. Darahsal dard wali jagah ko sunna kar diya jaye to daant dard se rahat milti hai. Iske liye 10 se 15 minut tak dard wale sthan par burf ke tukde se sikai kare. barf bahut thanda hota hai aur woh dard wale sthan par rakt ke pravah ko kam kar deta hai jisse dard aur sujan dono dur ho jati hai. Yeh upay jitna faydemand hai utna hi nuksan dayak bhi hai. Isliye iss baat ka dhyan rahe ki yadi aapke daanto mai kahi bhi hole hai to barf ka upyog na kare. Isse aapki pareshani aur badh sakti hai.
You May Also Like: Home Remedies for Ear Pain – Ear Pain ke Liye Gharelu Nuskhe
Sarso Ka Tel
Sarso ka tel daanto ke dard mai bahut sahayak hota hai. Aapko bus itna karna hai ki sarso ke tel mai haldi aur namak milakar daanto mai ragadna hai. Aesa niyamit roop se karne par dard mai rahat milti hai. Aur dard jad se khatm ho jata hai. Yadi aapko jyada dard ho raha hai to isse 15 minute tak daanto mai malish karna chahiye jisse aapko jald hi aaram mil jayega.
Gunkari Heeng
Jab gharelu upcharo ke jariye daant dard dur hone ke bat chal rahi ho aur hing ka naam na aaye. Aesa bhala ho sakta hai kya. Yeh daant dard se bahut jald hi chutkara deta hai aur ise daanto par lagana bhi bahut aasan hota hai. Iske liye aap chutki bhar heeng ko mosambi ke ras milakar rui ke dwara daant ke dard wali jahah par lagaye. Yadi aapke pas mosambi nahi hai to iske sthan par aap neembu ke ras ka bhi upyog kar sakte hai. Isse bhi dard jald hi thik ho jata hai.
Pyaj (Onion)
Kya aap jante hai jo log niyamit roop se kachha pyaj khate hai unme daant dard ki samasya bahut kam payi jati hai. Darahsal Onion mai aise gun hote hai jo ki muh ke germs, bacteria aur jeevanu ko nasht kar dete hai. Kacchi pyaj ka sevan karne se muh ke ghav aur bacteria aadi bhi khatm ho jate hai. Yadi aapko dard hai to pyaaj ke tukade ko dard wali jahah par rakhe ya fir pyaj ko chabaye. Ghar mai aasani se milne ke karan pyaaj daant dard se chutkara pane ka sabse uttam gharelu upchar mana jata hai.
Anya Upay Inhe Bhi Jane
- Agar aap kisi tarah ka churn banana ya mehnat nahi karna chahte hai to sirf garm pani se kulla kar lijiye. Aesa karne se bhi daant dard mai rahat milti hai. Chahe to garam paani ki bhaap bhi le sakte hai. Garam pani mai thoda namak dal diya jaye to aur behtar hoga Kyonki namak muh ke sabhi bacteria ko khatam kar deta hai jisse daanto ka dard jald hi thik ho jata hai.
- Tambakhu ka upyog bhi daant dard se chutkara dilata hai. Iske liye tambakhu mai namak milakar rojana brush karne se dard mai aaram milta hai. Akssar dekha gaya hai jo log tambakhu khate hai unhe daant dard ki samasya nahi hoti hai.
- Lehsun mai antibiotic gun mojud hote hai jo ki kai prakar ke sankraman se ladne ki kshamta rakhta hai aur daanto ke dard ko bhi dur karta hai. Lehsun mai ellison paya jata hai jo ki daanto ke bacteria aur germs ko marta hai, Lehsun ki ek faak ko sendha namak ke sath piskar dard wali jagah par lagane se daant dard se chutkara milta hai. Aap chahe to lehsun ki 3-4 kaliyo ko kaccha bhi chaba sakti hai ya fir aap ise pisakar bhi dard wali jagah par laga sakte hai.
Daant dard ko door karne ke liye upar hamne bahut se Home Remedies for Toothache bataye hai. Agar inhe karne ke baad bhi lagatar dard bane rahe to dant chikitsak ko jarur dikhaye.