Home Remedies for Weight Loss in Hindi: Apna Vajan Ghataye

Aaj ke wakt mai har koi slim trim dikhna chahta hai. Aur isliye vajan ko kam karne ke liye log kya kya nahi karte. Jim mai ghanto kasarat karte hai. Tarah tarah ke weight loss packages lete hai.

Yaha tak ki kuch log to dieting ko hi patala hone ka jariya bana lete hai. Lekin iss tarah bhuke rehne se unka vajan kam to nahi hota balki aisa karne se unhe kai bimariya jarur gher leti hai.

Vajan kam karne ke liye aapko vyayam to karna hi padega isme koi shak nahi hai. Lekin vyayam ke atrikt aapko aur bhi jyada karne ki jarurat hai. Ab aapko lagega ham jaurur aapko vajan ghatane wale mehnge utpado ka istemal karne ke liye kahenge.

Nahi lekin aesa nahi hai iss article mai hum aapko aesi chizo se vajan kam karna batayenge Jo ghar par hi aasani se mil jati hai. To aaiye jante hai Home Remedies for Weight Loss in Hindi, jinhe apnakar aap bhi motapa ghata sakte hai.
 

Home Remedies for Weight Loss: Jane Kuch Aasan Tarike

 

 

Faydemand Seb

Gharelu upchar ka naam sunte hi bahut se logo ko lagta hai ki unhe jadi buti khana padegi. Lekin aesa nahi hai, gharelu upchar Ayurveda se thoda alag hai. Ham aapko bata de ki phalo ka sevan karke bhi aap apne vajan ko kam kar sakte hai.

  • Aap sevphal khakar bhi apna vajan kam kar sakte hai kyoki seb mai non digestible compound hote hai, jisse pet mai acche bacteria ka vikas hota hai, aur yeh vajan ghatane mai bahut mahatvapurn hai.
  • Subah ke wakt taje seb par kala namak dalkar khane se gas ki samasya dur hoti hai, jisse aap stomach bloating ki samasya se dur rehte hai.
  • Aap bachpan se hi sunte aa rahe hai ki yadi aap rojana ek sevphal ka sevan karte hai to aapko doctor ke paas nahi jana padhta hai.
  • Arthat jab aap seb ka sevan karte hai to aap motapa badhane wali bimariya jaise madhumeh, ucch raktchaap aadi se nijat milti hai.

 

Shahad aur Nimbu

  • Vajan ghatane ke liye nimbu aur shahad ke fayde ke bare mai aapne pehle bar nahi suna hoga. Ham sabhi jante hai ki isse vajan kam hota hai. Tab bhi ham kyu iske bare mai bhulkar apne vajan ko badha lete hai.
  • Yadi aap din bhar bhi khate rahe hai lekin subah khali pet gungune pani mai yadi shahad aur nimbu dalkar pite hai aur roj thoda vyayam karte hai to aapka vajan kabhi nahi badhega.
  • Aur yadi aapka vajan pehle se badha hua hai to koi baat nahi shahad aur nimbu ki madad se aap ise kam kar sakte hai. Din mai do bar nimbu aur shahad ko gungune pani mai dalkar le. Yeh best way to lose weight hai. 

 

Popular Green Tea

  • Vajan ko kam karne ke liye green tea yane ki hari chai se har koi wakif hai. Hame tv par bhi iski kai ads dekhne ko mil jati hai. Har koi iske bare mai janta hai.
  • Fir bhi jo iske bare mai nahi jante hai wo jan le ki gree tea lene se aapke vajan ko kam hone mai kafi madad milti hai.
  • Roj subah khali pet green tea pine se sharir ka metabolism rate badhta hai. Jisse aapka sharir karya karta hai aur sharir mai charbi nahi jamti hai.
  • Hari chai mai kai sare jaruri tatva jaise vitamin c, carytenoids bhi moujud hota hai. Motape se ladne ke liye aap roj do se tin cup green tea le sakte hai.

 

Kadhi Patta

  • Curry Leaves Benefits kai hai, aur usme se ek fayda hai vajan ka ghatna. Rojana subah 10 taji kadi patte ki pattiya khane se motapa aur uske wajah se hone wali madhumeh ki samasya dur hoti hai.
  • Vajan ko ghatane ke liye iss upchar ko aap lagatar 3 se 4 mahine tak kare.
  • Kuch kiye gaye sodho ke anusar Kadhi patte mai mahanimbine hota hai jisme anti-obesity aur lipid lowering ke gun hote hai. Isliye isse sharir ka vajan ghatta hai aur cholesterol bhi kam hota hai.

 

Pattagobhi

  • Vajan kam karne ke liye sabse asardari koi chiz hai to wo hai phal aur sabjiya. Sabjiyo mai pattagobhi ka sevan karne se vajan kam hone mai madad milti hai.
  • Iss sabji mai calorie ki matra bahut kam hoti hai aur yeh fiber se bharpur hota hai. Sath hi yeh vajan kam karne ke liye bahut hi faydemand gharelu upay hai.
  • Isme moujud tartaric acid shakkar aur carbohydrate ko fat mai badalne nahi deta. Isliye vajan ghatane ke liye yeh bahut hi faydemand hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Weight Loss in Hindi. Inn upayo ki madad se aap bhi apna vajan kam kar sakte hai. Iske sath hi yadi aap thodi exercise karenge aur fast food se duri bana lenge to aapko jyada fayda milega.

Loading...

This website uses cookies.