Home Remedies for Smelly Hair – Dur Kare Baalo Ki Gandh

 

Baalo se badbu aana bhale hi  samanya samasya hai lekin iske wajah se kai bar aapko logo ke bich sharminda hona pad sakta hai. Yadi log achanak se aapse dur bhagne lage hai, aapke dosto ne aapke sath unka comb share karna band kar diya hai. To iske piche ka karan aapke baalo se aane wali badbu ho sakta hai.

Baalo se gandi mahak aane ke kai karan ho sakte hai jaise baalo mai fungal infection hona, baalo mai bahut jyada tel jamna, baalo ki thik se saaf safai na karna aadi.

Iss samasya ko bahut se log smelly hair syndrome bhi kehte hai. Yeh kisi bhi umra mai ho sakta hai. Kai bar baalo mai swacchata  banaye rakhne par bhi yeh samasya ho jati hai. Kyonki tanav aur hormones mai asantulan bhi iske piche ki ek wajah hai.

Aaj ke lekh mai ham aapko Home Remedies for Smelly Hair bata rahe hai taki aapko baalo se badbu aane ki samasya se jald se jald chutkara mil sake aur aap wapis bina kisi pareshani ke apne dosto mai shamil ho sake.
 

Home Remedies for Smelly Hair: Dur Kare Baalo Ki Badbu

 

 

Nimbu Ka Ras

Nimbu ek bahut hi faydemand gharelu upcharo mai se ek hai. Iska prayog kai pareshaniyo se nijat pane ke liye kiya jaata hai. Baalo se badbu ko dur karne mai bhi yeh bahut hi prabhavi illaj hai.

  • Prayog ke liye nimbu ke ras ko kisi bhi tel jaise jaitun ka tel ya jojoba tel mai mix kare.
  • Ab iss tel ko apne sir ke scalp mai lagakar halki halki malish kare. Fir kuch der aese hi chod de aur dho le.
  • 3 hafte tak iss prakriya ko hafte mai do baar kare, aapko baalo ki badbu se nijat mil jayegi.

 

Seb Ka Sirka

Bajar mai aapko aasani se seb ka sirka mil jata hai. Seb ka sirka aapke baalo ke ph level ko samanya karne mai madad karta hai. Baalo ki badbu ko dur karne mai yeh bhi aapki madad kar sakta hai.

  • Prayog ke liye ek katori mai pani le aur usme aadha chammach seb ka sirka dale.
  • Ab iss mishran ko apne baalo par dalkar ek minute tak ke chhod de.
  • Fir baalo ko dhokar sukha le, yeh aapke baalo ki gandh ko dur karne ke sath sath usme chamak bhi lata hai.

 

Pyaj Ka Ras

Onion for Hair Care ke bare mai ham aapko pehle bhi bata chuke hai. Yeh bhi baalo ko kai prakar ke fayde deta hai. Isse rusi dur hoti hai aur baalo ka jhadna band hota hai.

  • Pyaj mai antifungal aur antiseptic gun hote hai, jisse ham baalo ki behtar dekhbhal kar pate hai.
  • Prayog ke liye pyaj ko peeskar uska paste bana le aur apne baalo mai laga le.
  • Aadha ghanta rakhne ke baad fir shampoo karke apne baalo ko dho le.
  • Yadi aapki scalp rukhi ho to ho sakta hai ki aapko thodi bahut jalan ho, lekin aapko had se jyada jalan ho to ise dho le.

 

Jaitun Ka Tel

Jaitun ke tel ka prayog kar aap baalo mai hone wali khujli aur baalo ki badbu se nijat paa sakte hai. Yeh baalo ke liye bahut faydemand hota hai.  Iska istemal karna bahut aasan hai.

Bus haatho mai tel se aur usse baalo mai acche se massage kar le. Iske bad baalo mai shampoo kar le.
 

Neem Ka Tel

Neem mai moujud antiseptic guno ke chalte iska prayog scalp par hone wale infection ko dur karne ke liye kiya jata hai. Aapko iske prayog ke liye jyada pareshan bhi nahi hona. Hafte mai iska keval ek bar prayog bhi kaafi hai.

  • Ya to aap neem ke tel ko apne shampoo mai daal kar istemal kar sakte hai.
  • Ya to iske kuch bundo ko apne scalp par dale aur malish kare. Raat bhar rakhne ke bad agli subah dho le.
  • Yadi aapke paas neem ka tel nahi bhi hai to koi baat nahi, neem ki kuch pattiyo ko pani mai dalkar ubal le. Fir iss pani ko thanda hone de.
  • Iss pani se hafte mai ek bar baalo ko dho le. Scalp Odor Treatment ke liye yeh bahut prabhavi dawa hai.

 

Gharelu Samagri Samay
Nimbu Ka Ras 25 se 30 minute
Seb Ka Sirka 1 minute
Pyaj Ka Ras  30 minute
Jaitun  Ka Tel  Raat Bhar
Neem Ka Tel Baal Dhote Wakt

                   
 

Upar aapne jana Home Remedies for Smelly Hair. Yadi aap ya aapka koi apna baalo se aane wali badbu ko lekar pareshan ho chuka hai to upar di gayi salah aapke kaam aa sakti hai.

Loading...

This website uses cookies.