Olive Oil in Hindi – जैतून का तेल उपयोग कर निखारें अपनी आंतरिक सुंदरता

Olive Oil in Hindi matlab jaitun ka tel, ye aapki twach ke liye bahut hi laabhkari hota hai. Jese ki nariyal ka tel baalo ke liye accha hota hai, wahi dusri aur jaitun ka tel aapki puri khoobsurti nikharne ke liye ramban hota hai, tho aaiye jante hai olive oil in Hindi uses ke baare mai.

Lekin bahut se log iske faydo ke bare me nahi jante hai. Sardiyo me jab twacha rukhi ho jati hai, tab uspar jaitun ka tel lagane se bahut fayda milta hai.

Aap chache tho iska use aap apne sharir ke har aang par kar sakte hai prachin kal se is tel ka use body massage mai barpur hota aaya hai. Dahi maa ke nuskho ki maane tho ye bacho ki malish mai bhi kafi labdayak hota hai.

Regular malish se baby ki skin soft aur chamkadar hoti hai, saath hi saath rang bhi saaf hota hai, but malish mai sarso ke tel ka bhi use kare, usse haddiyo mai majbuti aayegi.

Olive Oil in Hindi: Jaitun Ka Tel Aapki Puri Khoobsurti Ka Raaz

पोषक तत्व तथ्य (har 100 grams mai)

Nutrients Quantity Olive Oil Ke Fayde
Calories 115 Vajan kam kare
Saturated fat 70% Bad cholestro ko kam kare
Iron 3% Metabolism badaye
Vitamin K 75% Dil ki bimariyo ko kam kare
Vitamin E 72% Anti aging tatva

olive oil in hindi

Aapki Skin Ke Liye

  • Nahane ke baad sharir par olive oil lagaye, isse aapke sharir par upasthit kale dabbhe dur ho jayge, saath aapki skin par dinbhar ke liye nami bani rahegi.
  • Chehre aur gardan par olive oil lagaye, isse aapke chehre par ronk aa jaygi saath hi gardan ka kalapan bhi dur ho jayga.
  • Agar kali skin aur kali twacha ki samasya hai to olive oil aur chini ko mix karke roj scrub ki tarah lagaye. Isse aapko jaldi is problem se chutkara mil sakta hai.

You may also like:- Sundar Twacha aur Baalo ke Liye Dadi Maa ke Nuskhe

Skin Ki Tanning Hatane Ke Liye

  • Nahane ke baad roj 20 minutes ke liye is oil se massage kare. Isse aapki skin ki tanning dur ho jaygi.
  • Chandan ke powder me 2 se 3 bunde olive oil ki daale aur 7 se 10 minutes ke liye apne face par lagaye aur phir pani se chehre ko dho lijiye.
  • Is oil ko face par laga kar chehre par bhap lijiye isse aapki skin ki tanning puri tarah se dur ho jaygi.

Wrinkle Ko Kam Karne Ke Liye

  • Wrinkle ko kam karne ke liye janiye benefits of Olive Oil in Hindi. Nimbu ke ras me olive oil ko mila kar week me teen bar massage kare. Isse aap jaldi hi jhurriyo ki problem se nijat pa sakte hai.
  • Olive oil ki 2 se 3 bundo ko face pack me milakar roj 20 minutes ke liye apne chehre par lagaye. Is prayog se ek mahine ke andar aap is problem se chutkara pa sakte hai.

Twacha Ko Rakhe Khilkhilata

  • Aapki twacha bejan aur rukhi ho gai hai to use nami dene ke liye jaitun ka tel bahut faydemand hota hai. Yeh ek moisturizer ki tarah kaam karta hai.
  • Jab aap ise rukhi twacha par lagati hai to aapki twacha mulayam ho jati hai, aap chahe to ise kuhniyo aediyo aur guthno par bhi laga sakti hai.
  • Aap ise pure sharir par cream ki tarah bhi laga sakte tatha twacha ko khilkhilata banane ke liye face pack mai bhi dalkar kar chehre par laga sakte hai.

Stretch Marks Ko Hataye

  • Stretch marks aapki khubsurti ko kam kar deta hai aur inhe hatana bahut mushkil kam hota hai, lekin aap olive oil laga kar isse nijat pa sakti hai.
  • Jaitun ka tel stretch mark ko dur karta hai tatha dhili twacha mai kasavat lata hai. Iske alawa stretch marks ke karan kali padi twacha ka rang bhi yeh saaf karta hai.

Baalo Ke Liye

  • Baalo me olive oil lagane se baalo ki conditioning hoti hai.
  • Agar aapke baalo me dandruff hai to iss oil ka use kijiye. Isse jaldi aapki problem solve ho jaygi.

Honth Ke liye

  • Agar aapke honth rukhe aur bejan hai to roj olive oil lagaye, isse aapke honth mulayam ho jayge.
  • Fatte honth hone par subah sham is oil ko use kare, jisse jaldi fatte honth ki problem se nijat pa sakte hai.

Nakhuno Ke Liye

  • Agar aapke nakhun bahut kathor hai to olive oil ka use kare. Isse aapke nakhuno me lacheelapan aata hai.
  • Har roj aadha ghante nakhuno ko olive oil me dubo kar rakhiye. Isse aapke nakhun naram ho jayge.

Uppar humne aapko bataya hai benefits of jaitoon ka tel (Olive Oil in Hindi) ke bare bare me bataya hai. Tho der kis baat ki, aaj se iss guno ke bhare jaitun ke tel ka use start kar de.

Loading...

You may also like...