Face par pimple aur acne ki problem to normal baat hai. Sahi tarika ka khan paan aur galat life style ki wajah se face par yeh problem ho jati hai aur jin ladke ladkiyo ki skin oily hoti hai, unhe to aur bhi pareshani ho jati hai.
Waise to market mai kitni hi cream aur lotion uplabdh hai, jo dawa karti hai ki we inn problem ko dur kar dengi lekin sabhi bekar hoti hai. Isliye chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Homemade Face Mask for Acne. Jisse ki aap iss pareshani se aasani se bach sakte hai.
Vese bola jata hai ki, agar hum kisi bhi bimari ka ilaj praktik tarike se karte hai. To hume iska fayda jayad hota hai. Khas tar par jab hum twacha ki baat kare, tab to hum natural upay ka naam sabse pahle aata hai.
Aaj iss article mai hum aapko kuch aise face pack ke bare mai batane ja rahe. Jisse ki aapko aasani se muhsae ki pareshani se chutkara milenga aur saath hi aapki khubsoorati hamesha bani rahegi.
Prakarti mai hume kitni hi anmol cheeze di hai, jinhe humare aas pass hone par bhi hum unhe nahi dekh pate. Agar aapko skin related koi problem hai to, aap natural cheezo ka use kare.
Homemade Face Mask for Acne, Muhase se Chutkara Pana Huya Aasan
Muhase ko Dur Kare Neem Face Mask
Neem ke patte ko pani mai boil karke is pani ko thanda karke isse face wash se pimple dur hote hai. Neem face pack me kai aur samagri ko mila kar lagane se oily skin mai laajvaab asar hota hai. Aaiye jante hai ki neem face pack ko kis tarah banaya jata hai.
Ghar par baniye jane wale acne pace mask khafi asardar hote hai jo ki muhase ke saath saath uske daag ko bhi dur karne mai help karte hai. Inn mask mai neem ke saath anye kai samagri ka mishran hota hai, jo ki skin ko andar se poshan pahuchate hai.
Neem aur Haldi
Fresh neem ki patti ko barik pis lijiye, usme haldi powder milakr acche se paste bana lijiye. Ab iss paste ko 20 minute ke liye apne face par lagaiye. Fir thande pani se wash kar lijiye. Agar neem ki pattiya na mile to neem powder ko hi garam pani mai mila kar paste bana sakte hai. Isse acne ki problem hamesha ke liye khatam ho jayegi.
You may also like:- Neem Benefits- Gharelu Nuskhe aur Swasthwardhak Fayde
Neem Patti aur Nimbu
Homemade Face Mask for Acne ki baat kare to neem ka naam sabse pahle aata hai. Neem ki patti ko pisye, usme kuch bund nimbu ke ras ki daliye. Ab iss paste ko ane chehre aur garden par lagaiye aur 15 minute ke baad thande pani se dho lijiye. Yeh mask oily skin walo ke liye bhut accha hai.
Neem, Chandan Powder Aur Gulabjal
Neem ,chandan powder aur gulabjal ko mila kar paste taiyar kare. Ab iss misharn ko face par aadha ghante ke liye laga rahne de aur baad mai garam pani se face dho le. Agar aapko pimple ki problem adhik hai to, ise week mai teen se char baar jarur kare.
Neem Spray
Samay na hone ki vajah se pack lagane ka time nahi milta to, neem ki patti ko clean pani mai ya fir gulabjal mai raat bhar bhigo kar rakh de. Fir subah isse kisi bottle me bhar kar hafte bhar use kare. Saath hi thakan bhare face par bhi aap iska use kar sakte hai.
Neem, Besan aur Dahi
Neem powder ko besan aur dahi ke saath milaiye aur face aur garden par lagaiye. Fir 20 minutes ke baad face wash kar lo. Yeh pack dry skin walo ke liye accha hai kyoki yeh skin ke andar tak nami pradaan karta hai aur pimple se bhi rahat dilate hai.
Homemade Face Mask for Acne, Muhase ko Dur Bhagaye inn Tariko ke Dawara
Apple Cider Vinegar Mask
Ek katori mai ek chammach apple cider vinegar, 2 chammach thandi green tea aur 5 chammcah cini aur ek chammach shahad ko mila kar acche se paste bana lijiye. Ab is paste apne chehre par lagaiye. Fir 10 minutes ke baad iss mask ko sade pani se dho lijiye. Acche result ke liye aap ise week mai 2 baar kar sakte hai. To hum bol sakte hai ki, apple cider venigr ek accha Homemade Face Mask for Acne hai.
Haldi, Dudh aur Shahad
EK katori mai ek chammach haldi powder, ek chammach shahad aur do chammach dudh mix kijiye. Ab iss mask ko pane chehre aur garden par lagaiye tatha mask ke sukhane par isse cotton ko kacche dudh mai dubo kar iss mask ko saaf kijiye. Iss ko week mai do ya teen bar laga sakte hai.
Dalchini Mask
Ek katori mai ek chammach Dalchini aur do chammcah shahad mix kijiye. Fir iss paste ko 15 minutes ke liye apne chehre par laga kar chhod dijiye. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye.
Upar aapne jane Homemade Face Mask for Acne. To bas der kis baat ki agar aapko bhi muhase ki problem hai to aaj si inn mask ka use shuru kar de aur paiye dedaag nikhari twacha.
Apni twacha ko chamkane ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.