Baal chahe ghugrale ho ya sheedhe ya fir ghane lekin sabse badhi baat hai ki, aapke baal chamkdar hona chahiye. Saath hi jaruri hai ki, unhe sahi dekhbhal milna chahiye. Vese sundar baal to har ladki ka sapna hota hai. To fir aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Homemade Hair Care Tips in Hindi.
Vese baal ka girna ek samasya ki tarah hai, jo har umra ke logo mai dekhi jati hai. Pradushan, khanpan mai poshtik tatvao ki kami, tanav aadi hamari dincharya se judi kuch kharab aadte hi baalo ki har pareshani ka pramukh karan hai.
Vese bazaar mai hair fall ke liye kai product uplabhad hai. Lekin yeh mahnge-mahnge utpadan sirf aapke pese khate hai par aapko koi result nahi dete. Bahut si baar to yeh dekha gaya hai ki, inn products mai kuch aise tatva hote hai, jo baalo ki samasya ko aur badha dete hai.
Homemade Hair Care Tips in Hindi, Janiye Baalo ki Sahi Dekhabhal ke Tarike
Gharelu hair mask se aapke baal na sirf sundar banate hai, balki unki har prakaar ki samasya bhi dur ho jate hai. Bahut si baar sar mai kai infection hone ke karan bhi baal girne lagate hai. To apne baalo ki dekhbhal ke liye sabse jyada jaruri hai ki, hum prakritik cheezo ka upyog kare.
To chaliye fir aapke baalo ki sahi dekhbhal ke liye hum aapko kuch aise Homemade Hair Mask. Jisse ki aapke baal sundar, chamkdar aur ghane ho jayenge. To bas aaj se hi inn tips ko apna kar apne khubsoorat baal pane ka sapna pura kijiye.
Homemade Hair Mask, Gharelu Upaye mai Chupa Hai Khubsoorat Baal Ka Raaz
Ande ki Zardi aur Green Tea
Ande khane aur sabut prayog karne mai bhi bahut faydemand hai, isme protein ki matra bahut adhik hoti hai. Jo hair ko majbut banate hai. Jabki green tea mai antioxidant paya jat hai.
Ek ande ki zardi aur 2 chammach green tea lijiye, iska paste bankar baalo ki jado mai lagaiye. 30 minutes ke baad apne baalo ko dho lijiye. Isse aapke baalo ki mai chamak aayegi.
Pyaz
Homemade Hair Care Tips in Hindi ki baate kare to pyaz ka naam sabse pahle aata hai. Pyaz antioxidant se bharpur hota hai, jo baalo ko girne se bachata hai. Iska mask banane ke liye 3 pyaz aur fitkari ke tukde lijiye. Ab pyaz ka ras nikal kar isme pisi huye fitkari mila lijiye.
Apne baalo ko acche se dhone ke baad sukha lijiye. Fir yeh hair mask laga kar raatbhar ke liye chhod dijiye. Tatha subah utkar kisi acche shampoo se apne baalo ko dho lijiye. Acche result ke liye iss mask ko week mai kam se kam 2 baar jarur lagaiye.
You may also like:- Onion for Hair Growth, Pyaz se Banaiye Apne Baalo ko Sundar
Ande ki Zardi aur Kela
Ek kela aur ek anda ki zardi nikal lijiye, kele ko acchi tarah se masal kar ande ki zardi mai daalkar hair mask taiyar kijiye.
Ab iss mask ko apne baalo par lagakar 30 se 40 minutes ke liye chhod dijiye, fir hake garam pani se pane baalo ko dho lijiye. Iss prayog se aapke baalo ka girna kuch hi dino mai khatam ho jayega. Isse aap week mai kam se kam 3 baar jarur lagaiye.
Shahad Mask
Ek chammach shahad, ek chammach rum, ek chammach castrol oil, ande ki zardi, vitamin A aur E ke capsule ko lekar acche se mix kar iska mask taiyar kar lijiye.
Iss mask ko apne baalo ki jado ke saath pure baalo mai lagaiye aur halke garam towel se apne baalo ko cover kar lijiye. Ek ghante tak apne baalo ko isi towel se cover rahne dijiye. Fir kisi acche shampoo se apne baalo ko dho lijiye.
Oatmeal
Ek chammach taza dudh aur ek chammach oatmeal lijiye, ise acche se mix kijiye tatha gadha paste bankar apne baalo mai laga lijiye. 20 Minutes tak iss paste ko apne aaalo mai laga rahne dijiye.
Fir iss mask ko dho lijiye. Yeh ek bahut asardar mask hai, jo ki aapki har type ki hair problem ko hamesha ke liye khatam kar deta hai. Saath hi baalo ko sahi dekhbhal pradaan karta hai.
Protein Hair Mask
Homemade Hair Mask mai iss mask ki bahut aham bhumika hai. Kamjor aur halke baalo ko ghana banane ke liye protein jaruri hota hai.
Protein mask banane ke liye 2 chammach pake huye kela, 2 ande ki zardi, teen chammach olive oil ko acche se mix kijiye. Fir iss paste ko apne baalo ki scalp par lagaiye tatha ek ghante baad apne baalo ko dho lijiye.
Janiye Homemade Hair Mask ke Dwara Khubsoorat Baal Pane ka Tarika
Anti Dryness Mask
Raat mai nariyal tel, olive oil aur sarso ka tel gram kare aur apni ungaliyo ke dwara iss tel se baalo ki massage kare. Fir isse raat bhar chhod de aur subah shapmpo kar lijiye.
Isse balao ko prakritik tor par nami milti hai aur hamesha sundar dikhai dete hai.
Amla aur Nimbu ka Ras
Amla ko kat kar sukha le, fir iska powder bana kar rakh lijiye. Ab is powder mai numbu ka ras aur pani milakar paste bana lijiye aur apne baalo mai lagaiye.
Iss paste ko week mai kam se kam 3 baar jarur lagaiye. Jisse aapko bahut acche result milenge.
Nariyal ka Dudh aur Castrol Oil
2 Chammach castrol oli, nariyal ka dudh , badam ka dudh aur methi dana ko piskar paste bana lijiye.
Fir iss paste ko apne baalo mai lagaiye tatha thodi der baad baalo ko sade pani se dho lijiye.
You may also like:- Benefits of Coconut Milk: Nariyal ke Dudh ke Fayde
Gudhal ki Patti aur Olive Oil
Gudhal ki patti aur olive oil ko saath mai milakar ya fir nariyal ke tel ke saath milakr kar paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne baalo mai lagaiye tatha 15 minutes ke liye isse aise hi chhod dijiye.
Fir kisi acche se shampoo se apne baalo ko dho lijiye. Iss prayog ko aap jab bhi apne baal dhoye tab kar sakti hai.
Methi Dana hair Mask
Raatbhar ke liye methi dana ko pani mai bhigo kar rakh de aur subah uska paste bana lijiye. Iss paste ko geele baalo par lagaiye aur 30 minutes ke baad thande pani se apne sar ko dho lijiye.
Aap chahe to methi dane ke powder ko nariyal ke tel ke saath bhigo kar rakh dijiye. Fir Jab bhi baal dhona ho to, uske pahle iss tel se massage karke hi shampoo kare. Isse aapka baal girna bahut had tak kam ho jayega.
Upar aapne jana Homemade Hair Care Tips in Hindi. To bas aaj se hi inn tarike ke dwara apne baalo ki dekhbhal kijiye aur hamesha sundar dikhiye.
Hair Care se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.