Har koi chamakdar twacha chahta hai. Chamakdar twacha naa keval aapko khubsurat dikhne mai madad karti hai balki isse aapke andar aatmavishvas bhi aata hai. Twacha ko saaf aur chamakdar banane ke liye toner aapki sahayata kar sakta hai.
Toner aapki twacha ki rangat ek saman karne mai madad karta hai tatha yeh twacha ke pH man ko bhi niyantrit karne mai bhi madad karta hai. Iske alawa toner twacha ki shatigrast koshikao ko bhi marammat karne ka kaam karta hai.
Yadi aap chahte hai ki aapka chehra roj accha dikhe to uske liye cleansing aur toner ka istemal jaruri hai. Parantu toner ke liye aapko bajar mai paise kharch karne ki jarurat nahi hai. Aap ghar mai bhi toner ko bana sakte hai to aaiye jante hai Homemade Skin Toners ke bare mai.
Homemade Skin Toners in Hindi: Paye Khubsurat Twacha
Safed Sirka aur Pani
- Toner banane ke liye safed sirka le aur usme barabar matra mai pani milaye.
- Ab thoda sa cotton le aur iss bane huye toner mai bhioge de tatha pure chere aur gardan par lagaye.
- Aapka chehra aur gardan ekdam saaf ho jayega, yeh ek bahut accha toner hai.
Gulabjal, Glycerin aur Fitkari
- Gulabjal, glycerin aur fitkari sabhi ko ek sath mila le aur isse fridge mai thanda hone ke liye rakh de.
- Iss mishran mai rui ko dubo de aur twacha par acche se lagaye.
- Iske bad 10 minute ke antral mai chehre ko acche se dho le.
- Yeh mishran Natural Skin Toner ka kaam karta hai.
Adrak aur Tulsi Ka Bana Toner
- Sabse pehle adrak ka paste bana le aur usme tulsi ki kuch pattiya mila de.
- Ab iss paste ko chehre tatha gardan par acche se laga le.
- Yeh paste twacha par toner ka kam karta hai aur twacha saaf ho jati hai.
- Ab kuch der bad chehre aur gardan ko thande pani se dho le.
Castor Oil Tatha Nariyal Ka Dudh
- Nariyal ke dudh mai castor oil ki 3 se 4 bunda dal de aur isse acche se mila le.
- Iss toner ko chehre par 2 se 3 bar lagaye tatha chehre ko dho le.
- Jin bhi logo ki rukhi twacha hai yeh toner unki twacha ko nami pradan karega.
- Iske alawa yeh chehre ki rangat nikharne ka bhi kaam karta hai.
Kheera Kakdi aur Dahi Ka Bana Toner
- Taja kheera kakdi ko dahi ke sath acche se mila le.
- Ab iss bane huye mishran ko chehre tatha gardan par laga le.
- Iss toner ko 5 se 10 minute tak laga rehne do.
- Yeh best toner for oily skin Isse chehre ka atirikt tel hat jata hai.
Pudina Ki Patti
- Aadha liter pani mai 1 cup pudina ki pattiya dale aur ise 10 minute tak ubalne de.
- Agar twacha par jyada samasya hai to 2 cup pudina ki patti bhi le sakte hai.
- Jab yeh pani acche se ubal jaye to ise thanda hone ke liye rakh de.
- Ab rui ki sahayata se ise aapki twacha par lagaye aur bache huye ko fridge mai rakh de.
- Aap iss toner ko nahane se pehle rojana istemal karenge to aapki twacha chamakdar dikhne lagegi.
Neem Toner Ka Istemal
- Sabse pehle neem ki kuch pattiya le aur use pani mai ubale.
- Iske bad iss pani ko chhan le aur thanda hone ke liye rakh de.
- Iss toner ko bottle mai rakh de tatha rojana iska istemal kar sakte hai..
- Yeh face toner muhase aur dag dhabbe ko hatane mai sahayak hai.
Tarbuj Ka Toner
- Tarbuj ka taja ras nikale aur ise bad mai upyog ke liye fridge mai rakh de.
- Iss toner ko 3 din tak upyog kar sakte hai.
- Yeh Toner for Sensitive Skin hai. Ise lagane ka koi side effect nahi hai.
Nimbu Ka Ras
Sabse pehle aadha bada chammach lavender tel aur aadha bada chammach nimbu ka ras le. Tatha isme 1 bada chammach pani ko dale aur sabko acche se milakar toner taiyar kar le.
- Iss mishran ko chehre par lagaye aur kuch der chehre ko thande pani se dho le.
- Isme mila hua lavender tel chehre ke kale daag mita dega.
Aapne upar jana Homemade Skin Toners in Hindi. Bataye gaye gharelu toner se aap apne chehre par khoi hui ronak ko wapis lota sakte hai. Yeh bahut hi behtarin nuskhe hai jinse aapki twacha ko kisi prakar ka koi nuksan nahi hoga.