Khubsurat dikhna har kisi ko pasand hota hai, kintu chehre par moujud kale dhabbe aur daag aapki khubsurti ko kam kar dete hai. Vaise to chehre ki uchit dekhbhal aur kuch tariko se aap inhe thik kar sakte hai. Lekin isme wakt lagta hai. Aese mai yadi aapko achanak kisi avsar, party ya shadi mai jana hai to aap mayus ho jate hai.
Ham aapko bata de ki yadi aapko minto mai chehre ke daag dhabbe, jhurriya aur kale ghere chhupana hai to concealer aapke ke liye bahut accha vikalap hai. Yeh aapke makeup ko perfect banata hai.
Concealer jadu ki tarah aapke chehre ki rangat nikhar deta hai aur kale ghere, jhurriya ko chipa deta hai. Iske atirikt yeh aapke murjhaye chehre ko taro taja aur bedag banane mai madad karta hai. Bajar mai kai tarah ke concealer uplabdh hai jiska chunav aapko apni twacha ke anusaar karna chahiye.
Yadi iska chunaav aap apni skin tone ke anusar karenge to aapka chehra natural aur nikhra hua dikhega. Concealer to har koi istemaal kar sakta hai parantu ise lagane ka sahi tarika sabhi ko nahi aata. Aaj hum aapko How to Apply Concealer in Hindi ke bare mai batane ja rahe hai taki aap ise acche se lagakar natural look paye.
How to Apply Concealer in Hindi: Paye Aakarshak Chehra
Twacha Ki Rangat Ke Anusar Chune Concealer
Concealer bajar mai kai aakar tatha rang mai milte hai. Isko chunne ke liye aapki twacha se milta julta concealer ko chune aur nirdharit kare ki aapki twacha ke liye konsa jaruri hai. Sath hi yeh bhi soche ki aap aapke chehre par kise chupana chahti hai jaise muhase, kale ghere, jhurriya ya birth mark taaki aapka chehra jyada nikhra hua aur natural dikhe.
Yadi aap chahte hai ki aapke chehre se kale nishan, birth mark chhup jaye to aise Face Concealer ko chune jo tinted hara ya pile rang ka ho, kyoki yeh chehre par lal aur gehre rang ke dhabbo ko chhupane ka kaam karta hai.
Yadi aap kale ghere, daag ko chhupana chahte hai to skin tone se 1 ya 2 halka shade ka chunav kare tatha iske alawa muhaso ko chupane ke liye pencil concealer ka istemal kare. Dhyaan rakhe jab bhi aap testing kar rahe chehre par makeup na ho aur ye bhi yaad rakhe ki hatho par testing karke kabhi concealer na kharide.
You may also like:- Janiye Apne Skin Ke Anurup Best Foundation in Hindi
Sabse Pehle Chehre Ko Saaf Kare
Jab bhi aap concealer ko chehre par lagate hai sabse pehle mild face wash se chehre ko dho le aur moisturize lagaye. Aankho ke niche kajal ya mascara lagane se kalapan jam jata hai Isse makeup remover se hataye.
Kale Ghere Par Lagaye
Sabse pehle concealer ko ungli ya fir brush ki sahayta se aankho ke niche kale ghere par thapthapate huye lagaye aur ise naak tatha aankho ke aaspas lagana shuru kare de. Concealer ko acche se aankho ke aaspas ke area mai faila de. Yaad rakhe ise lagate samay aankho par jor se rub na kare. Kyoki aisa karne se aankho ko hani pahuch sakti hai.
Yadi concealar ko chehre par lagate samay aankhon ke aaspas acche se na lagaya jaye to aankhe soi soi si lagti hai. Concealer ko lash line ke base par lagate huye sidhe water line ke base tak lagaye.
Kale Nishan aur Muhaso Par Lagane Ka Tarika
Chehre par kisi bhi tarah ke kale nishan, sun spot, birth mark ko chupane ke liye inn par concealer ko acche se twacha ke bahar ki taraf mix karte huye lagaye. Yadi aap cracked on look se bachna chahte hai to concealer ki patli patli parat chehre par lagaye.
Yad rakhe ki muhase par concealar lagane ke liye brush ka istemal kare kyuki ungliyo se lagane par bacteria failenge aur chehre par muhanse badne lagenge.
Concealer Ka Base Jamaye
Ab aapne chehre ke daag dhabbe aur muhaso ko acche se chhipa liya hai aur pure chehre par ek jaise mix kar liya hai. Isse pure chehre par base dene ke liye face powder ka istemal kare taaki yeh pure chehre par acche se set ho jaye. Jis bhi jagah par jyada concealer lagaya hai waha thoda extra powder ka istemal kare jisse concealer pure din tika rahe.
Use of Concealer to aapne jaan liya Iske alawa yeh bhi dhyan rakhe ki yadi aapki twacha rukhi hai to liquid concealer tatha teliya twacha ke liye powder base concealer ka upyog karna accha hoga.
You may also like:- How to Apply Eyeliner in Hindi: Jane ise lagane ke Stylish Tarike
Kuch Khas Baato Ka Dhyaan Rakhe
- Jab bhi aap chehre par makeup lagate hai to sone jane se pehle makeup ko homemade makeup remover se saaf kar le. Kyoki makeup ke sath sone se aapki twacha ke romchhidra band ho jate hai aur wo khulkar saans nahi le pati hai.
- Concealer ko hamesha twacha ke anusar chhune warna chehre par orange rang ke dhabbe dikhai dene lagenge jo aapke makeup ko khrab kar sakta hai.
- Kai company muft mai makeover karti hai uska fyada jarru le aur makeup karne ki janakari sahi tarike se prapt kare.
- Kale ghere ko hatane ke liye nind puri kar aur sahi samay par aur uthe taaki kale ghere khatam ho jaye. Sath hi Aise makeup ka istemal kare jo oil free aur muhaso ko rokne ka kaam kare.
- Yadi aapki twacha sensitive hai to concealer ko khridne se pehle usse halka sa laga kar dekhe yadi twacha mai jalan ho to usse na kharide.
- Makeup hatane ke liye makeup wipe ka istemal bhi kar sakte hai kyuki concealer acche se saaf na hone par samasya uttpan ho sakti hai.
Upar aapne jana How to Apply Concealer in Hindi. Ab jab bhi aapko kisi khas avasar par jana ho aap acche se makeup karke khubsurat lag sakti hai.