Gurda hamara sharir ka utsarjan ang hota hai jo ki bahut se kam karta hai. Jaise ki gurda sharir mai acid aur base ka santulan banaye rakhna, sharir se vishakt padartho ko bahar nikalna, mutra ka nirman karna, khun ko saaf karna aadi kam karta hai. Lekin hamare din bhar ke galat khan-pan aur kam pani pine ki wajeh se gurda sankramit hone lagta hai.
Sankramit hone se gurda sahi se aur prabhavi dhang se kam karna band kar deta hai. Aur yadi iss sankraman ka sahi samay par ilaj na kiya jaye to kidney failure bhi ho sakta hai.
Gurde mai sankraman ka mukhya karan kisi bahari bacteria ka, mutra path ke madhyam se, jaha par mutra ikattha hota hai waha tak pahuch jana hota hai. Yeh bacteria sharir mai pravesh kar ek aesa sthan dhundte hai jaha par unki sankhya kai guna jyada badh sake. Iske alava hamare sharir ke anya bhago jaise gande hatho aur nakhuno se khane aur ganda pani pine se bhi bacteria sharir mai pravesh kar khun ke madhyam se gurde mai pahuch jate hai.
Gurde ke sankram ko dur karne ke liye kai prakar ki davaiyo ka upyog kiya jata hai. Lekin inn dawaiyo ke upyog se sharir mai kai anya dushprabhav bhi pad sakte hai. Isliye inn dushprabhav se bachne ke liye home remedies ka sahara liya jata hai. Inn gharelu upayo se gurde ke sankraman ko dur kiya ja sakta hai. To aaiye padhe Treatment for Kidney Infection in Hindi.
Treatment for Kidney Infection in Hindi: Inn Tariko Se Dur Kare Gurde Ka Sankraman
Kidney Infection Causes ka dusra bada karan dehydration hota hai. Adhiktar log apne kam-kaj ke chalte pani kam pite hai. Jisse gurde mai mojud bacteria mutra ke madhyam se sharir se bahar nahi ja pate hai. Natijant gurde mai sankraman badhne lagta hai. Vyaktiyo mai iss sankraman ke hone se kai lakshan dekhne ko milte hai. To aaiye jane symptoms of kidney infection.
- Twacha mai laalpan hona.
- Peshab karne mai jalan hona aur khun aana
- Bhukh kam lagna aur ulti aana aadi.
- Bahut adhik thakan hona aur rat mai bukhar ki wajeh se pasina aana.
- Vyaktiyo ki peeth aur pet mai bahut adhik dard hona kidney infection symptoms mai se ek hai.
Gurde mai sankraman ke lakshano ko pehchanne ke bad aur diye gaye pareshaniyo ko kam karne ke liye aaiye padhe home remedies for kidney infection.
Dhaniya Ki Pattiyo Ka Ras
Jis tarah sharir ki bahari twacha ki saaf-safai ki jarurat hoti hai usi tarah sharir ke andar ke bhago ki bhi saaf-safai karna chahiye. Dhaniya ki patti ka ras gurde aur sharir se sabhi vishakt padartho ko bahar nikalne aur gurde ko saf karne mai madad karta hai. Isme sabhi poshak tatv jaise vitamins A, C, B, potassium, sodium, copper, thiamin aur riboflavin paye jate hai.
Iske upyog ke liye dhaniye ki patti ko pani mai ubal le fir iss pani ko chankar thanda karne ke bad pee le. Yeh gurde ke sankraman ka sabse prabhavi upchar hai.
Phalo Ka Ras
Phalo ka ras hamare sharir ke liye bahut hi faydemand hota hai. Yeh ras gurde ko saaf karne aur sabhi vishakt padartho ko sharir se bahar nikalne mai madad karta hai. Phalo ka ras gurde ko saaf karne ke sath-sath kidney pain symptoms mai bhi aaram pahuchane mai madad karta hai. Iske liye aap nimbu, santra, cranberry, angur, seb aadi ka ras pee sakte hai.
Aloe-Vera
Aloe-vera hamare sharir ki safaai mai mahatvapurna bhumika nibhata hai. Yeh sharir ke sabhi andruni aur bahari bhago se vishele padartho ko dur kar sharir ki saaf-safai mai madad karta hai. Gurde ke sankraman ke ilaj ke liye iske juice ko din mai 2 bar jarur piye jisse sharir ke sabhi vishakt padarth mutra ke madhyam se sharir se bahar nikal sake.
You May Also Like: Home Remedies for Diarrhea: Dast ki Samasya Se Paye Nijad
Lehsun
Lehsun mai kai mutravardhak gun hote hai jisse yeh sharir se bacteria ko bahar nikalne mai madad karte hai. Lehsun sharir se namak ko mutra ke dwara bahar nikalne ke liye gurde ko force karta hai. Jisse gurde saaf ho jata hai aur sankraman se bach jata hai.
Pani Piye
Jal hi jeevan hai. Pani na keval hamare sharir se vishele padharth ko bahar kar gurde mai hone wale sankraman se raksha karta hai balki pani ek accha Kidney Stones Treatment in Hindi at home bhi hai. Pani sharir se kai prakar ke vishele padartho ko mutra marg se bahar nikalne aur kai prakar ki bimariyo se dur karne mai bhi madad karta hai. Isliye rojana 10 glass pani jarur pina chahiye jisse ham aur hamara sharir swasth reh sake.
Vitamin C
Vitamin C hamare swasth aur twacha ke liye bahut mahatwapurna hota hai. Yeh gurde mai hone wale sankraman ko rokne mai madad karta hai. Vitamin C ka sevan karne se gurde mai amilya star badh jata hai jo ki gurde mai bacteria ko badhne se rokta hai. Isliye vitamin c se yukt phal aur khadya padartho ko apne aaharo mai shamil kare.
Treatment for Kidney Infection in Hindi: Anya Upay Inhe Bhi Padhe
- Karonde ka juice bhi hame gurde mai hone wale sankraman se bachane mai madad karta hai.
- 2 chammach shahad aur 1 chammach seb ke sirke ko milaye rojana piye. Isse gurde mai jamne wale bacteria mutra ke dwara bahar nikal jate hai.
- Herbal tea ko rojana pine se gurde mai sankraman aur pathari ki samasya ko dur karne mai madad milti hai.
- Baking soda sharir mai bicarbonate ke star ko badhane mai madad karta hai jisse gurde mai hone wale sankraman se bacha ja sake. Isliye gurde mai hone wale sankraman ko dur karne ke liye yeh ek accha gharelu upay hai.
Upar aapne jana Treatment for Kidney Infection in Hindi. Yadi aap bhi gurde ke sankraman se pareshan hai to upar diye gaye gharelu upayo ko apnaye aur rahe swasth. Lekin yadi samasya bahut dino tak bani rahe to chikitsak ki salah le.