Lavender Oil Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand Tel

Lavender ek prakar ka poudha hai jiska lavedula ke naam se bhi jana jata hai. Iss poudhe ki pattiya bengani rang ki hoti hai. Ise kai tarah se upyog mai bhi laya jata hai. Lavender ke sath-sath iske dwara nikla tel hamare swasth ke liye bahut hi faydemand hota hai. Poudho ko bhaap mai pakakar iska tel nikala jata hai.

Lavendar ke tel ko antiseptic ke rup mai prayog kiya jata hai. Iss tel mai antiseptic ke sath-sath dardnivarak gun bhi hote hai iss wajeh se iska prayog aromatherapy mai bhi kiya jata hai. Iss wajeh se yeh tel sharir ke liye aavashyak sabhi telo mai se sabse mahatwpurna hai.

Yeh tel shair ko kai tarha se aaram pahuchane mai sahayak hota hai. Yeh shair ko kisi bhi prakar ke ghav lagne, twacha mai khujlahat hone ke sath-sath anidra, migraine, tej bukhar mai bhi faydemand hota hai. Yeh bahut adhik khushbudar, sharir ke liye santulandayak aur aaramdayak tel hai. Iske alava swasth ke liye yeh kis prakar se sahayak hai? Janne ke liye padhe Lavender Oil Benefits in Hindi aur rahe swasth.
 

Lavender Oil Benefits in Hindi: Jane Iss Tel Se Milne Wale Swasth Labh

 

 

Ghav aur Kharoch Ko Thik Kare

Lavender ke tel mai kai prakar ke antiseptic gun hote hai jisse yeh kisi bhi prakar ke ghav aur kharoch ko thik karne mai sahayak hota hai. Darahsal yeh hamare sharir ki twacha ke cells ke vikas ko badhava deta hai aur ghav ko thik karne mai sahayak hota hai. Iske atirikt yeh jale huye sunburn ko bhi thik karne mai madadgar hota hai.
 

Anidra Mai Faydemand

Jyada chinta aur tanav ke chalte kuch logo mai anidra ki bimari ho jati hai. Vyaktiyo ko sahi tarah se nind naa aana kai prakar ke rogo ka karan banta hai. Aese mai lavender ka tel iss pareshani se nijad dilane mai sahayak hota hai. Yeh tel nind ki gunvatta mai sudhar karta hai aur nind lane mai madad karta hai.
 

Naksir Mai Faydemand

Garmi ke dino mai kuch logo ko naak se khun aane ki samasya ho jati hai, iss samasya ko naksir kaha jata hai. Naksir ko rokne ke liye ek bund lavender ke tel ki bundo ko tissue paper par le fir isme barf ke ek tukde ko lapet de. Ab iss tissue paper ko apne honth ke upar aur naak ke niche rakh de aur sunghe. Aesa tab tak kare jab tak naak se khun aana band na hone paye.
 

Sar Dard Ko Dur Kare

Lavender ka tel bahut khushbudar aur aaramdayak hota hai. Iss wajeh se yeh ek utkrisht tantrika tantra banata hai. Isliye yeh tel vyaktiyo ke kisi prakar ke sardard, chinta, avsad aur tanav ko dur karne mai sahayak hota hai.
 

You May Also Like:- Kalonji Oil Benefits in Hindi: Jane Iske Bemisal Fayde

 

Jalne Par Rahat De

Kisi bhi tarah se jali twacha ke jalne ko kam karne ke liye lavender ka tel bahut madadgar hota hai. Jalan ko kam karne ke liye lavender ke tel ki 2 se 3 bundo ko lagaye. Aesa karne se jalan mai to rahat milti hai sath hi jale huye sthan par koi bhi foda, lalima aur nishan bhi nahi rehta hai.
 

Aankho Ke liye Faydemand

Bahut se lavender oil benefits for eyes bhi hai. Kai ghanto tak kam karne se aankho mai thakan dikhayi dene lagti hai. Aese mai lavender ka tel thakan ko dur karne, aaram aur thandak pahuchane mai madad karta hai. Iska prayog karne ke liye ek katore mai ½ liter pani le aur usme kuch bunde lavender oil ki dale aur acchi tarah se milaye. Ab iss mishran mai cotton ball ko dale aur nikalkar apni aankho ke upar rakhe. Aesa karne se aankho ki thakan dur hogi sath hi tanav aur chinta ki wajeh se padne wale dark circles bhi dur honge.
 

Twacha Ke Liye

Lavender ke tel ka prayog kisi bhi prakar ke jalan aur ghav ko thik karne ke sath-sath twacha ki sahi tarah se dekhbhal karne mai bhi kiya jata hai. Iss tel ka prayog karne se fate aur jale honth, sukhi twacha, khujali, dhup se padi kaali twacha, Eczema aur kisi bhi prakar ki sujan ko kam karne mai sahayak hota hai.
 

Sar Ki Rusi Ko Dur Kare

Thand ke dino mai kuch logo ke sar mai rusi hone ki samasya hoti hai. Isse sar mai khujali hone lagti hai aur baal bhi girne lagte hai. Iss samasya se nijad pane ke liye lavender oil bahut sahayak hota hai. Iske upyog ke liye iss tel ko sar par lagakar acchi tarah se malish kare, jisse yeh tel baalo ki jado tak pahuch sake. Aesa karne se rusi dur hoti hai aur sar mai hone wali khujali se bhi chutkara milta hai.
 

Lavender Oil Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe

  1. Madhumakkhi yaa fir kisi bhi prakar ke keede ke katne par hone wali khujali ko dur karne mai lavender oil madad karta hai.
  2. Yadi kisi vyakti mai matli aane ke lakshan dikhai de rahe hai to use dur karne ke liye jeebh ke aakhiri mai, kaan ke piche ya fir naabhi ke charo aur lavender ka tel lagaye.
  3. Halke bukhar ko dur karne ke liye bhi lavender ke tel ki kuch bundo ko lekar dono haath ki hatheliyo par ragde aur fir ise gehri saans lekar sunghe.

Upar aapne padha Lavender Oil Benefits in Hindi. Yadi aap bhi dee gayi bimariyo se chutkara pana chate hai to iss tel ka prayog jarur kare.

Loading...

This website uses cookies.