How to Increase Dopamine: Love Hormone Ko Kaise Badhaye?

Kuch hi dino mai valentine day dastak de dega. Iss din ka intejar bahut se log karte hai. Aakhir aesa ho bhi kyu na, valentine pyar karne walo ka din hai. Aur har kisi ko kisi na kisi se pyar hota hai.

Par socho valentine day ke din na pyar ho aur na mohabbat ho to kya valentine, valentine jaise lagega bilkul nahi. To bus yahi wakt hai kuch aesa karne ka ki aapko dekhkar aapke loveone khush ho jaye.

Yadi aap kisi aur ko khush karna chahte hai, to iske liye pehle jaruri hai aap khud khush ho. Ham aapko bata de ki  hamara mastishk mai prakratik roop se ek hormone jise ki dopamine kaha jata hai, utpanna hota hai jo aapko khusi ka ehsas dilata hai. Ise badhane ke kai tarike hai, aaiye jante hai How to Increase Dopamine.
 

How to Increase Dopamine – Jane Iski Leval Badhane Ka Tarika

 

 
Dopamine aesa hormone hai jo aapko andar se khush karta hai, Yeh hormone aapko relax feel karwane mai bhi madad karta hai. Ise love hormone bhi kaha jata hai. Kyoki jab bhi aap kisi ko pyar karte hai, ya fir keval hug ya kiss bhi karte hai to bhi iska leval badh jata hai.

Yeh ek tarah ka neurotransmitter hai. Agar workplace par kaam acche se karne par aapko tarif milti hai to usse bhi sharir mai dopamine ka star badh jata hai. Yadi aapke andar dopamine ka star kam ho jaye to isse udaasi chane lagti hai, aapki jivan ke prati aruchi badhne lagti hai. Aaiye jante hai ham isko kis tarah badha sakte hai:-
 

Niyamit Vyayam Kare

Yadi aap niyamit tour par vyayam karte hai to aapke sharir mai rakt calcium badhta hai. Yeh aapke dimag mai teji se dopamine ka production badhata hai. Isliye aap roj kam se kam aadha ghanta samay vyayam ke liye jarur nikale.

Aapne dekha hoga jo log vyayam karte hai we hamesha khush aur swasth najar aate hai. Aadhe ghante ke samay mai aap doudna, tairaki kuch bhi shamil kar sakte hai.Dopamine badhane ke alawa tairaki ke fayde aur bhi kai hai.
 

Caffeine Ki Matra Kam Kare

Bhale hi coffee aapko energy deti hai, lekin isse milne wali energy aur relief temporary hota hai. Ise pikar aapko lagta hai aapke sharir ko fayda mil raha hai to aesa nahi hai isse aapke sharir ko ulta nuksan pahuchta hai.

Coffee pine se aapke sharir se dopamine level kam ho jata hai. Iske liye ya to coffee ka sevan nahi karna chahiye, ya to bahut kam karna chahiye.
 

Kesar Ka Sevan

Kya aap jante hai ki shadi ki pehli raat jode ko kesar ka dudh kyu pilaya jata hai? Darahsal kesar bhi aapke andarke love hormone ko jagane mai madad karta hai. Yeh Natural Dopamine Boosters mai se ek hai.
 

Tanav Kam Le

Jitna jyada tanav lena matlab utna jyda dopamine ki kami hona. Tanav hone ke piche ke do hi karan hai aapke sharir ka swasth na hona, ya hamare life ki kuch parshaniya.

Ham jante hai ham inn pareshaniyo ko dur nahi kar sakte hai, lekin fir bhi hame stress ko control karna sikhna hoga. Kyoki tanav ka hamare sharir par bahut prabhav padhta hai.
 

Antioxidant

Ham aapko bata de ki mastishk dwara nirmit antioxidant dopamine bahut jaldi khatam ho jata hai. Antioxidant ka kaam mastishk koshikao ko free radicals se bachana hota hai, kyoki yahi mastishk koshikaye dopamine ke utpadan ka karya karti hai.

Isliye antioxidant se bharpur phal aur sabjiyo ka sevan karna chahiye. Isliye yadi aap valentine ke liye apne andar ke love hormone ko badhana chahte hai to vitamin c wale phal tatha hari sabjiya khana shuru kar de.
 

8 Ghante Ki Puri Nind

Acchi nind na keval dopamine badhane balki sehat ke kai dhrsti kon se jaruri hai. Jab aap sote hai to aapka sharir bahut kam dopamine ka prayog karta hai. Isliye yadi aap love hormone ko prakratik roop se badhana chahte hai to acchi nind le.
 
Upar aapne jana How to Increase Dopamine in Hindi. Yadi aap janna chahte hai ki kya aapke andar dopamine ki kami hai to inn lakshano se jaan sakte hai:- Jivan mai ruchi kam hona, atyadhik thakan hona, vajan ka ghatna, thik se nind naa aana, yaddast kam hona, khushi ko mehsus na kar pana aadi.

Loading...

This website uses cookies.