Diabetes ek gambhir samasya hai. Iske rogi ko bahut si problem ka samna karna padta hai. Jiska bura asar unki sex life par dikhai deta hai,lekin iska yeh matlab nahi ki madhmeha ke rogiyo ka koi sex jivan nahi hota hai. Unko bhi aam logo ki tarah sex karne ki iccha hoti hai. Isliye nirash hone ki jarurat nahi hai. Is article ke jariye aaj hum aapko aisi tips ke baare me batatne ja rahe hai, jiski help se diabetes ki problem ke baad bhi aap apni sex life aasani se jee sakte hai.
Sex and Diabetes ko mange karne ke liye bas dhyan rahe hai ki, aapko kuch savdhani hamesha bartni chahiye. Jisse aap apni sex life bhi enjoy kare aur apni is madhumeha ki bimari ko bhi control me rakhe.
Sex and Diabetes: Madhumeha Rogi Bhi Enjoy Kare Sex Life
Sugar Ke Level Ko Control Kare
• Sugar ke level ko control karne ke liye doctor ki salah ke anusar diet le. Niyamit roop se vyayam kare. Taki aap swasth jivaan jee sake. Samay-Samay par sugar test karvate rahe.
• Agar aapka sugar level control rahega to aap apni sex ko bahut acche se enjoy kar payege.
Sex Ke Pahle Sugar Check Karale
• Diabetes patient ki sabse badi problem hoti hai ki, sex process ke douran unka sugar ka level badta-ghata rahat hai.
• Sugar low hone me thakaan aur sugar badne par purusho me erection aur mahilao me kamottejana ki kami aa jati hai.
• Isliye agar madhumeha ke rogi sex se pahle sugar test kar le to vo ek behtar sex life enjoy kar sakte hai.
You may also like:- Youn Rog (Sexually Transmitted Diseases) ke Lakshan
Medicine Ka Sevan Kare
• Sex and Diabetes dono ko modern medicine ke dwara control kiya ja sakta hai. Modern medicine Ke antrgat har problem ka solution hota hai. Diabetes ki problem me doctor se salah lena jaruri hota hai.
• Doctor ki salah lekar purush sildenafil, vasodialtors aur phosphodiesterase inhibitors jese dawa ka sevan kar sakte hai.
• In dawa se unke ling me blood ka flow acchi tarah se ho jata hai aur saath hi sahi tarike se erection bhi hota hai.
• Mahilaye jinhe diabetes hoti hai, unhe sildenafil dawa ka sevan karna chahiye. Is dawa ka sevan se mahilao me hone vali pareshani jese vaginal dryness aur estrogen lubricants bhi dur ho jati hai.
Apne Partner Se Is Problem Ke Bare Me Baat Kare
• Madhumeha ki problem se sirf rogi hi nahi prabhavit hota hai, balki usske saathi ko bhi isk samna karna hota hai.
• Apne saathi se is bare me baat karne se aap jaldi hi aapko is problem ka solution mil jayga.
• To dhyan rahe ki apni is problem ko chupana nahi chahiye aur khul kar is bare me apne saathi se baat karni cahhiye.
Ak Dusre Ke Saath Najdikiya Badaye
• Sex jivan ko badne ke liye pyaar bahut jaruri hota hai.
• Isliye ek dusre ko samay de aur pyaar bhare pal apne saathi ke saath enjoy kare.
Upar humne aapko Sex and Diabetes ke bare me bataya hai. To bas agar aap bhi madhumeha ki bimari se grasit hai aur apni sex life nahi jee pate hai to in tips ko apniye aur ek sukhad jivan beetaiye.
Get more details about Sex and Diabetes from Sex & Love.