Home Remedies for Spider Bites: Makdi Ke Katne Par Apnay

 

Aaj ke lekh mai ham aapko makdi ke katne par kaunse gharelu upchar kiye jate hai uske bare mai jankari de rahe hai. Ham sabhi jante hai ki makdi lagbhag har ghar mai dekhne ko mil jati hai. Jaha safai wagerah kam hoti hai waha yeh aapko aksar dekhne ko milti hai.

Kai bar makdiya hame kat leti hai. Vese to makdi ka katana itni koi badhi baat nahi hai, yeh apne aap hi thik ho jata hai, lekin yadi isme vish hota hai to kai tarah ki samasyae jaise khaj, khujli, dard, jalan aadi chize hone lagti hai. Sath hi kati hui jagah par pus banne lagta hai.

Kuch Home Remedies for Spider Bites ki madad se aap inn lakshano ko dur kar sakte hai. Yeh upchar karne mai kaafi aasan aur prabhavi hai. Lekin yadi aapko brown recluse spider bites ne kaat liya hai to aapko turant doctor se sampark karna chahiye. Kyoki iss makdi ke katne par tej bukhar jaise lakshan dekhne ko milte hai. Agar aapko sadharan makdi ne kata hai to yaha bataye gaye upchar madadgar hai.
 

Home Remedies for Spider Bites: Jane Kuch Gharelu Upchar

 

 

Gunkari Haldi

  • Haldi bahut hi guno se bharpur hai iski karanvash kai sare gharelu upcharo mai ise istemal kiya jata hai.
  • Makadi ke kat lene par aap bhi iska istemal kar sakte hai. Iski anti bacterial gun sankraman ko dur karne mai madad karta hai.
  • Istemal ke liye haldi aur jaitun ke tel ka mishran bana le aur sankramit sthan par lagaye.
  • Isse ghav bharne mai madad milegi. Haldi chot ke ghav bhi bharti hai.

 

Aloe vera Jel

  • Aajkal mahilaye apne sondarya ko lekar bahut dhyan deti hai. Isliye aloe vera aapko aasani se mil jata hai.
  • Aloe vera jel ki madad se aap makadi ka kata hua bhi thik kar sakte hai. Isme moujud nami sankramit jagah ko jaldi thik karti hai.
  • Iske jel mai antiseptic, anti inflammatory aur soothing effect hota hai jisse dard, jalan aur khujli sab thik hota hai.
  • Prayog ke liye taje aloe vera se andar ka guda nikale aur sankramit hisse par 20 minute ke liye lagaye.
  • Din mai do bar iss prayog ko kare. Yeh bahut hi aasan Spider Bite Treatment at Home

 

Namak

  • Aapne namak ka prayog keval khane ka swad badhane ke liye kiya hoga, lekin kya aap jante hai isse aap makdi ka kata hua bhi thik kar sakte hai.
  • Istemal ke liye bandage ko thoda gila kare aur fir us par thoda namak dale aur prabhavit jagah par laga de.
  • Isse aapko dard kam hoga. Namak ke aur bhi fayde aap iss link se jan sakte hai.

 

Burf Ke Tukde Se Sikai

  • Yadi makdi ke katne par, kati hui jagah par sujan aa gayi hai to burf ke tukde se aap Spider Bite Swelling ko ka kam kar sakte hai.
  • Kuch burf ke tukde aap saaf kapde mai le aur isse kati hui jagah par 15 se 20 minute ke liye lagaye.
  • Aap chahe to burf ke thande pani mai kapde ko dubokar fir ise bhi prabhavit jagah par laga sakte hai.

 

Baking Soda

  • Baking soda ke jariye bhi aap makdi ke kat lene par illaj kar skate hai.
  • Isme kshariya padarth moujud hota hai jo vish ko bahar nikal deta hai jiske chalte isse khujli aur sujan dur hoti hai.
  • Prayog ke liye baking soda mai teen chammach pani dalkar ek gadha paste taiyar kar le.
  • Iss paste ko prabhavit hisse par lagaye aur 10 minute baad saaf kar le.

 

Anya Tips Ise Bhi Janiye:-

  1. Jab aap upchar kar rahe hai to dekhiye ki aapko fayda mil raha hai ya nahi. 1 hafte tak yadi aapko bilkul bhi parivartan na dikhe to bina der kiye aap doctor se sampark kare.
  2. Jab bhi aap garden, garage, band padhe huye kamre ki safai kare to thodi savdhaniya barte taki aapko makdi kate hi nahi.
  3. Jab bhi aap aesi jagah ki saaf safai kar rahe hai jaha makdiya hai to aap topi, full baho wala shirt, full pant, moje aur gloves pehne taki aapko koi dikaat na ho.
  4. Jab bhi aapko makadi kate koshish kare ki aap use dekh le, taki yadi treatment ki jarurat padhe to sahi treatment kiya ja sake.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Spider Bites in Hindi. Yadi aapko ya aapke ghar mai kisi ko makdi ne kat liya hai to upar diye gaye upcharo ka istemal kar sakte hai. Inn upcharo ko aap hath, pair, chehra ya sharir ke anya bhago par prayog kar sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.