Janiye Male Menopause Symptoms ke Kuch Tathaye

Kya aap jante hai ki, na sirf mahilao mai balki purusho mai bhi hormonal changes hote hai. Lekin dekh gay hai, Log iske baare mai theek tarike se jante hai, To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Male Menopause Symptom.

Kya aapkepati 40 ki umra se gujar rahe hai hai? To kya apne unke andar kuch parivarat dekha? Kya vah aaj kal thaake huya aur kuch ajeeb tarike se bartav karne lage hai. To aap samjh jaiye ki, yeh menopause ke lakshan hai.

Iss douran kaameiccha achanak badh gai. Aise mai hum bol sakte hai ki, yeh isthiti andropause ki shuruvaat ho sakti hai. Aise mai ghabraye nahi, lekin savdhan jarur ho jaiye. Malilao ke menopause ko lekar logo ko kafi jankari hai, lekin bahut kam log jante hi nahi hai ki, menopause se purush bhi prabhavit  hote hai.

40 Varsh se adhik umra le lagbhag 35 % bhartiye  purush andropause se prabhavit hai. Yeh sunkar aapke dimag mai ek sawaal aana swsabhavik hai ki andropause bhala kay hai? To chaliye an hum aapko iske baare mai batate hai.

Kya hai Andropause?

Andropause Male Menopause ki isthiti hai. Ise Andropause Differences in Ageing Male rogo ki tarah hi mana aur jana jata hai. Darsal mardo ke liye andropause ke vahi mayne hai, jo mahilao ke liye menopause ke hote hai. Halaki mahilao ki tarah purusho mai mahavari band hone jesi koi istithi nahi hoti, par aisa na hone par bhi unke sharir mai kai badlav jarur aa jate hai.

Expert ka mana hai ki, mahilao menopause ke mukable purusho menopause ko lekar logo mai jagrukta aur jankari ka abhav hai. Ise ab bhi samajik daag ki tarah samjha jata hai. Ve batate hai, ki bharat mai vishesh roop se North India mai ADAM ke mamale lagatar badh rahe hai.

Male Menopause Symptom se Jude Kuch Khas Tathye

Vastav mai andropause ke suruvaati lakshno ko seedhe youn kshamta mai kami ya purush mai youn sambandh ki iccha mai kami ke saath nahi joda jana chahiye. Yeh bone density ki takat mai kami aur kai baar motapa ke chalte badh jati hai. Yeh samanaye tor par 30 ki umra se shuru hota hai.

Haal mai hi hui ek study mai yeh baat samne aai hai ki, purusho ko bhi mahilao ki tarah menopause hota hai. 49 Saal ki umra ke baad purush mai sex hormone ka vicar kam hota hai. Purush ke menopause ko andropause kaha jata hai. Haal hi mai ek survey mai yeh kaha gaya hai ki, 45 saal ki umar ke baad purusho ko bhi andropause hota hai.

Yeh samasya tab hoti hai, jan andkosh mai testistron ka utpadan paryapt nahi hota hai. Menopause purusho mai umra badhane ke saath hone vale bhavnatmak aur sharirik parivartan ko darshate hai. Halaki yeh lakshan umra badhane se sambhandhit bhi ho sakte hai, par fir bhi iska sambhand variety hormone mai badlav se hota hai.

Andropause hai, to purush ki menopause par andropause iske liye sahi shabd nahi hai. Kyoki ek aur jaha adhiktar mahilaye mai menopause hoti hai.

you may also like:- Janiye Menopause Symptoms and Treatment in Hindi

Vahi dusri aur aamtor par sab purusho ke saath aisi samasya nahi hoti . Na hi purusho mai achanak prajanna kshamta mai samapti hone par koi samasya hoti hai. Yeh kai purusho mai hone vali samnaye prakiya hai, jo umra badhane saath hoti hai aur umra badhne ke saath-saath badhti hai.

Menopause ki Sambhavti Avdhi

Purusho ki Menopause ya  purusho ki menopause ya andropause 40 se 49 ki avstha mai shuru hota hai. Lagbhag 2 se 5 % ki gati se yeh prakriya badhti hai. Isi tarah 50 se 59 ke beech ki avstha ke saath yeh lagbhag 6 se 40, 60-69 mai lagbhag 20 se 45%, 70-79 mai lagbhag 70% ke beech badhti jati hai. 80 saal ki umra tak isi hypogonadism ke girne ki dar 91% tak hoti hai. Iske beech ke purush mai testrogen hormone banane ki prakriya dheemi lekin isthir gati se kam hoti jati hai aur iska result  yeh hota hai ki. leydig cells banane lagte hai.

Male Menopause Symptoms, Purusho mai Hone Vale Hormonal Badlav

Sharirik aur Mansik Badlav

Iss douran testrogen banane ki gati dheemi hone lagti hai. Isliye iss tarah ke hormone badlav purusho mai sharirik aur bhavnatamk parivartan bhi late hai. Iss samay mai aamtor par puru apne parivaar ka saath chahte hai.

Apni yuvaastha mai carrier, pese  aur shakti ko kendra mai rakhte hai par menopause ya andropause ke douran unke kendra mai parivaar, dost aur rishtedaar aa jate hai. Gharelu kaam jese khana banane, safaai karna aur bacche ki dekhbhal karan accha lagat hai. Dharmik aur adhyatmik  ki aur unka dhyan badhne lagta hai.

Sex mai Badlav

Male Menopause Symptoms ki baate kare to sex iccha mai badlav bahut badha lakshan hai. Testistron ke utpadan ki kami ke karan kuch purusho mai sex ke prati iccha kam ho jati hai. Halaki yeh iccha sabhi purusho mai samanye nahi hoti hai. Menopause se puri tarah infertility ke shikar nahi bante bas uski pita banane ki kshamta mai kami aa jati hai.

You may also like:- Sex Problem: Yon Samasya ka Samadhan Hua Aasan

Raat mai Paseena

Raat mai achanak adhik paseena aane ki vajah se neend khul jana, bhi menopause ka ek anyhe lakshan hot hai. Iske alwa agar aapko thand lag rahi hai aur fir bhi raat ko paseena aa raha hai to samjh jaiye ki aap menopause se gujar rahe hai.

Behavior mai Badlav

Hormonal change hone se unke mood mai bahut badlav aane lagta hai. Aise isthiti mai bhale purush ho ya mahila mood swing hona dono ke liye kafi pareshani ka karan bana jata hai. Ek pal mai aap hasne lagte hai aur dusre pal aap rone lagate hai. Menopause ke samay ajyda krodh ek aam sanket hai. Jabki vahi par kuch logo mai becheni ho jati hai aur kuch mai purus aalasye se bhar jate hai.

Upar jane ki Male Menopause Symptoms se jude kuch khaas tathye. To bas iske lakshan ko pahchan kar iss bimari se bachiye aur hamesha swasth rahiye.

Male Menopause se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

This website uses cookies.