Aajkal ki lifestyle bahut jyada aniyamit ho gayi hai. Ek taraf to vyayam ka abhav hai to dusri taraf khan pan bhi galat ho raha hai. Iss tarah ki aniyamit jivansheli ka asar hamare sharir par padhta hai. Jab bhi ham bahar ka khana jyada khane lagte hai to hamara pet khrab ho jata hai. Junk food, tala bhuna yeh sab aasani se pachata nahi hai aur hamare pachan tantra ko kharab kar deta hai.
Pet ke kharab hone se pehle to pet se judi samasya hone lagti hai. Aur jab pet ki samasya lagatar bane rahe to iska asar hamare sharir par bhi padne lagta hai. Isliye hame hamesha santulit aahar lena chahiye. Yadi aap santulit aahar lenege to kabhi bhi bimar nahi padenge.
Aur yadi aapko pet se judi samasyae fir bhi bahi rehti hai to iska matlab hai ki aapka pachan tatra bahut adhik kamjor hai. Pachan tantra ko majboot banane aur pet ke rogo ko dur karne ka koi tarika hai to wo hai Fish Pose Vyayam.
Iss aasan ko karne se pet se judi samasyao se nijad millta hai. Chehre ki sundarta ko badhane ke liye bhi yeh ek accha vyayam hai. To aaiye jante hai Matsyasana in Hindi.
Matsyasana in Hindi – Fish Pose Se Sambandhit Sampurn Baate
Matsyasana ka abhyas karte wakt hamare sharir ka aakar machali ki tarah hota hai. Isliye ise matsyasana kaha jata hai. Jin logo ko gale mai dard ya fir kamar dard jaisi pareshani ho to unhe iss aasan ka abhyas jarur karna chahiye. Aaiye jante hai Matsyasana se sambandhit puri jankari vistar se.
Matsyasana Steps in Hindi: Ise Karne Ki Vidhi
Matsyasana yog karne ke liye sabse pehle to padmasan ki stithi mai beth jaye. Padmasana (Lotus position) mai baithne ke liye dahine pair ko ghutne se modkar bai jangh par rakhe aur baye pair ko ghutne se modkar dahine pair ke niche se dayi jangh par rakhe.
Padmasana ki mudra mai baithne ke baad savdhani purvak piche ki aur let jaye. Iss kriya ko karte wakt aapke dono ghutne jamin ko chhute huye hi hona chahiye. Aapki ridh ki haddi tani hui hona chahiye. Iske paschat apne dono hatho ko ek dusre se bandhkar sar aur gardan ko upar ki aur uthaye aur sar ke agle hisse ko jamin par rakhe. Fir apne hatho ko bhumi par tika de.
Ab apne hatho ko cross karte huye pairo ke anguthe ko pakad le. Arthat baye hath se daye pair ka angutha va daye hath se baye pair ka angutha pakad le. Iss avastha mai aapko dono kohniya jamin ko chhuti hui hogi. Iss mudra mai kam se kam 10 second tak rahe. Shuruwat mai 10 seconds se start kare aur abhyas ko badhate huye dhire dhire 3 minute tak karne ki koshish kare.
Iss aasan ko karte wakt aapko svasan ki gati ko niyamit rakhna hai. Yeh aasan purn hone ke baad pehle anguthe ko chhode fir kamar ko sidha kar padmasana ko kholkar apne dono pairo ko faila le aur kuch der lete rahe. Shuruwat mai sari kriyae dhire dhire kare.
You may also like:- Naukasana Benefits in Hindi: Pachan Tantra Ko Majbut Kare
Matsyasana Benefits in Hindi: Iss Aasan Ke Labh Janiye
- Yeh sharir ke posture ko improve karta hai.
- Thyroid ke rogiyo ke liye bhi yeh aasan labhprad hai.
- Madhumeh ke rogiyo ke liye yeh aasan faydemand hai.
- Isse raktabhisran ki gati badhti hai natijan charm rog nahi hota hai.
- Matsyasana ka niyamit abhyas karne se pet ke sabhi rog dur hote hai.
- Iss aasan ko karne se aankho ki roshni badhti hai aur gala saaf rehta hai.
- Iss aasan ka abhyas karne se swasnali ki sujan dur hoti hai. Isliye tounsils mai yeh labhkari hai.
- Vajan ghatane walo ki chahat rakhne walo ko yeh aasan jarur rakhna chahiye. Isse pet ki charbi bhi ghatati hogi.
- Fish Pose Yoga Benefits kai hai. Khansi se nijad pane ke liye aur dama ke rogiyo ko ise jarur karna chahiye.
- Yeh kabj ko dur kar bhukh badhta hai tatha bhojan ko pachata hai. Yeh pet ki gas bhi dur karta hai.
- Yeh aasan gardan ki charbi dur karta hai. Neck Pain aur kamardard ke liye yeh aasan faydemand hai.
- Chehre ki khubsoorti badhane mai bhi yeh faydemand hai. Iss aasan ke dwara sharir mai suddha khoon ka nirman hota hai. Jisse chehre par chamak aati hai.
- Iska abhyas karne se mashpesiya kriyasheel banti hai tatha chhoti aanta aur maldwar sahi roop se kaam karne lagta hai.
- Jin logo ko bhukh nahi lagti hai unhe iss aasan ka abhyas karna chahiye. Yeh vaayu ke vikaro ko dur karne mai bhi sahayak hai.
- Yeh aasan garbhavati mahilao ke liye bhi behad labhkari hai. Yeh aasan striyo ke garbhashay sambandhi sabhi bimariyo ko jaldi thik karta hai. Iss masik chakra samay par aane lagta hai.
- Matsyasana aasan karne se swas ke sabhi rogo mai fayda milta hai. Yeh aasan chehre ke tantuo par vishesh prabhav dalta hai. Isse pura merudand prabhavit hota hai aur uski gadbadiya dur hoti hai.
Matsyasana Preparatory Poses: Fish Pose Ke Pehle Ki Prarambhik Mudraye
Keval sarvangasana hi matyasana ki prarambhik mudra nahi hai. Darahsal kandho par kiye jane wale kai aasano ke baad matsyasana ko kiya jata hai. Janiye yeh aasan:-
- Baddha Konasana – Cobbler Pose
- Bhujangasana – Cobra Pose
- Dhanurasana – Bow Pose
- Salabhasana – Grasshopper Pose
- Setu Bandha Sarvangasana
- Supta Virasana – Reclined Hero Pose
- Urdhva Mukha Svanasana – Upward Facing Dog Pose
- Virasana – Hero Pose
Follow-up Poses, Matsyasana Ke Baad Kiye Jane Wale Aasan
- Gomukhasana – Cow Face Pose
- Setu Bandha Sarvangasana
- Supta Virasana- Reclined Hero Pose
- Ustrasana – Camel Pose
- Virasana – Hero Pose
Matsyasana Yoga Precautions: Jane Iski Savdhaniya
- Yadi kisi ko gale ya chhati mai dard ya fir kisi bhi tarah ka koi rog ho wo iss aasan ka abhyas naa kare.
- Iss aasan ko kevel 5 minute tak hi karna chahiye.
- Nimn aur uccha raktchaap dono ke marijo ko ise nahi karna chahiye. Aur yadi aapko migraine ki samasya hai tab bhi iss yog ke abhyas ko naa kare.
- Iss aasan ko karte wakt dhad upar ki taraf kar dete hai. Isliye iss aasan ko karte wakt puri tarah se savdhani bartani chahiye. Jab aap shuruwati ho ise aaram se hi kare. Jabarjasti karne ka praytn naa kare. Force ke sath jabardasti karne se isme gardan mai moch aane ka bhay rehta hai.
You may also like:- Makarasana Benefits in Hindi: Janiye iss Yog kriya Ke Labh
Matsyasana Ke Shuruwati Ke Liye Tip
Jo log yog ke liye naye hote hai unhe shuruwati tour par matsyasana karne par gardan mai tanav mehsus hota hai. Ho bhi sakta hai shuruwat mai aapko gale mai asuvidha mehsus ho. Isliye yadi aapko ise karne mai pareshani mehsus ho rahi ho to ise karte wakt aap sir ke piche kambal rakh sakte hai.
- Matsyasana Ke Chikitsiya Labh
- Iss aasan ko karne se kai tarah ke chikitsiya labh bhi milte hai. Jante hai wo kya hai.
- Saans ki bimariya dur hoti hai.
- Peeth dard se chutkara milta hai.
- Thakan nahi hoti hai.
- Chinta aur tanav dur hota hai.
- Masik dharma ke dard se rahat milti hai.
- Kabj aur pet ki anya samasya bhi dur hoti hai.
Upar aapne jana Matsyasana in Hindi aur isse judi anya jankari ke bare mai. Upar aapko hamne ise karne ka ek tarika bataya hai. Aap ise kai aur tariko se bhi kar sakte hai. Jaise ki upar aapne padha iss aasan ko karne ke liye padmasana mai baithna chahiye. Lekin jo log padmasan mai baith nahi pate hai wo apne pairo ko khula chhodkar bhi iss aasan ko kar sakte hai. Iske atiritk aap chahte to aap iss aasan ko karte wakt kisi partner ki help bhi le sakte hai.