Makarasana Benefits in Hindi: Janiye iss Yog kriya Ke Labh

Aajkal ki bhagdour bhari jindagi mai har kisi ke paas karne ke liye kuch kaam hai. Aur kai kaam aese hote hai jinhe jukh ke karna padhta hai. Jukh kar karya karne wale logo ko peeth dard aur kamar dard jaise samasya hone lagti hai. Vaise to yeh samasya aam hai, lekin yadi yeh badh jaye to uthna baithna bhari padh jata hai.

Peeth dard ki yeh samasya kisi ko bhi kisi bhi umra mai ho sakti hai. Lekin kya aap jante hai iske piche ka karan kya hai? Darahsal sharir mai poshak tatvo ki kami jaise ki vitamins aur calcium aadi kam ho jane ke karan yeh dard hota hai. Kabhi kabhi jodo mai khichav hona bhi iske piche ka karan ban sakta hai.

Rojmara ke dard se chutkara pane ka koi tarika hai to wo hai yog. Sare yog aasano mai Makarasana yog peeth aur kamar dard ko dur karne mai sabse jyada sahayak hai. Yeh pet ke bal kiye jane wala aasan hai.

Iss aasan mai sharir ki aakrati pet ke bal lete magar ki tarah dikhai deti hai. Isliye hi iss aasan ko makarasana kaha gaya hai. Ise karne se peeth dard ki samasya se nijad milta hai. Isse pachan tantra majboot banta hai aadi. Aaiye jane aur bhi kai Makarasana Benefits in Hindi.

 

Makarasana Benefits in Hindi: Janiye Iske labh aur Vidhi

 
Makarasana Benefits in Hindi
 

Yadi ham makarasana se hone wale labho ke bare mai jane to yeh ekmatra aesa aasan hai jise karke kamar dard ki pareshani se bacha ja sakta hai. Yadi aap rojmara ke dard se chutkara pane ke liye dawaiyo ka sevan nahi karna chahte hai to iss aasan ka abhyas jarur karna chahiye.

Makarasana ka abhyas kisi bhi umra mai kiya ja sakta hai. Yeh karne mai behad hi aasan hai. Aur isse milne walo labho ki baat kare to yeh aapko kai pareshani se bhi rahat dila sakta hai. Aaiye jante hai unn faydo ke bare mai

Makarasana ke abhyas se sharir mai rakt ka pravah acchi tarah hota hai. Iss wajah se iss aasan ke abhyas se sharir swasth aur nirogi rehta hai. Iske atirikt ise niyamit karne se mashpeshiyo aur koshikao ko bhi aaram milta hai.

Iss aasan ke fayde dogune hai. Ise karne se shavasana ke bhi labh prapt hote hai. Darahsal iss aasan ki stithi mai fefde failte hai. Jisse acchi vayu andar jati hai aur pran vayu bahar nikalti hai. Dama rog nivaran mai bhi isse sahayata milti hai. Makarasana pet ke bal letkar kiye jane wale aasan hai. Isse swas prasvas ki dhrasti  swabhavik avashta mai lane ke liye iska abhyas kiya jata hai.

 

You may also like:- Naukasana Benefits in Hindi: Pachan Tantra Ko Majbut Kare

 

Benefits of Makarasana: Anya labh Inhe Bhi Jane

  1. Makarasana karne se pachan shakti theek hoti hai.
  2. Yeh ghutno tatha aapke pet ke sare vikaro ko dur karta hai.
  3. Yeh kamar ko sidha karta hai aur chhati ko ubharta hai.
  4. Yeh yog karne se sharir swasth evam nirogi rehta hai.
  5. Thakan hone par iss aasan ko karne se relaxation milta hai.
  6. Jo log apne pet ki charbi kam karna chahte hai unhe iss aasan ko jaruar karna chahiye.
  7. Yeh aasan aapke sharir mai sushm shakti ko badhata hai. Ise karne se sharir majboot banta hai.
  8. Jin logo ke office ka mahol behad tanav purn rehta hai unhe iss aasan ko jarur karna chahiye. Isse mansik thakan dur hoti hai aur sharir ko vishram milta hai.
  9. Jo log apne sharir ki lambai badhana chahte hai unhe iss aasan ko jarur karna chahiye.
  10. Jin logo ko anidra yane ki nind naa aane ki samasya hoti hai unhe iss aasan ko jarur karna chahiye.
  11. Yeh uchha rakchaap, asthama, slip disk, gardan dard aadi samasyao mai labhkari hai.

 

You may also like:- Shirshasana Benefits in Hindi: Sehat aur Sondary ke Liye Yog

 

Makarasana Steps: Jane iski Vidhi

  1. Crocodile Pose karne ke liye sabse pehle jamin par chatai bichakar pet ke bal let jaye.
  2. Ab apni thodi ko jamin par tika le.
  3. Iske paschat gardan ko upar se uthaye aur dono hatho ko kohniyo ki taraf se modte huye khada kar de.
  4. Ise karte wakt aapko ek baat ka khyal rakhna hoga ki aapki gardan aur kamar par jor naa pade.
  5. Ab saans ko andar lete huye pairo ko upar ki aur uthaye aur saans chhodte huye pair sidha kar le.
  6. Aapko iss prakriya ko dono pairo ki madad se karna hai.
  7. Kich der baad firse sidhe letkar apni pehli wali avastha mai aa jaye.
  8. Makarasana ko karne ke aur bhi kai tarike hai. Lekin yaha sabse saral tarika bataya gaya hai.

 

Makarasana Precautions – Rakhe Yeh Savdhaniyan

Makarasana Precautions in Hindi

Makarasana waise to behad labhprad aur asardari yogasan hai. Agar isko karte wakt aapko kisi bhi tarah ki koi bhi samasyan ho rahi hai, to turant hi aap iss asana ko karna chhod de aur pehle doctor ki salah le. Iske atritk aap inn savdhaniyon ko dhyan mai rakhte hue iss asana ko kare.

  1. Kisi bhi vyakti ko agar harniya ki pareshani hai, to wah makarasana nahi kare.
  2. Makarasana karte samay apne gutano se pairo ko nahi mode. Lekin jab thoddi jamin par tiki ho tab kewal 10 se 30 second tak hi iss isthiti me rahe.
  3. Merudand, pairo ya jangho me kisi tarah ki koi bimari ho ya taklif ho, to uss isthiti me bhi bina chikitsak ki salah liye iss asana ko nahi kare.
  4. Jab makarasana ho jaye tab uske baad peeth ke bal letkar shavasana jarur kare.

 

Upper apne jana Makarasana Benefits in Hindi. Yadi aap bhi rojmara ke peeth ya kamar dard se pareshan hai, to makarasana jarur kariye.

Loading...

You may also like...