Home Remedies for Rough Hair in Hindi – Rakhe Baalo ka Khayal

Aaj ke bhaag-dour wale yug mai aur duniya bhar ka pradushan humare baalo par bura asar dal rahe hai. Iss wajah se baalo ka rough, bejan aur samay se pahle safed ho jana maano aam baat ho gyi hai. Aaj kal kai prakar ke sabun aur chemical yukt hair oil aur jel ki wajah se baal poshak tatv hasil karne ke sthan par dandruff aur samay se purv tut kar girne lagte hai.

Aise baal jinme prakratik chamak rahne layak moisturizer aur texture na ho rukhe aur rough baal kahlate hai. Dry Hair ki wajah se logo ko rusi ki samasya ho jati hai. Yeh ek tarah se sar par kavako ki vradhi ke karan hota hai, jo sar aur baalo ki jado mai nami ki kami ke karan hoti hai.

Aapke sar ke sukhne ki pareshani anya samasyao ko badava deti hai jaise baalo ka girna, sar mai khujali, baalo ka safed hona aadi samasyo ko janm deta hai. Aapko apne baalo ke prati savdhan rahna chahiye.

Aaj hum aapko Home Remedies for Rough Hair in Hindi ki kuch mahavpurn jankariya de rahe hai. Jinhe istemal karke aap baalo ko sudrad, kale aur chamakdar banaye rakh sakte hai.

 

Home Remedies for Rough Hair in Hindi: Janiye Gharelu Nuskhe

 

Home Remedies for Rough Hair in Hindi

 

Purane samay mai baalo ke rakh-rakhav aur nikhar ke liye nariya anek ghereu tarike upyog mai lati thi. Jinse unke baal vastav mai kale, ghane, majboot aur chamakdar bante the.

Baal teen layers milkar bana hote hai. Bahari layer bhitari layer ko surakshit rakhne ke liye hoti hai, lekin jab yeh bahari layer shatigrast hone lagti hai to baal rough aur bejan hone lagte hai.

 

You May Also Like:- Hair Fall Treatment in Hindi – Baalo Ka Jhadna Roke

 

Baal Sebaceous Follicle granthi se jude hote hai, jo prakratik roop se tel ko discharge karte hai. Bahari layer ke damage hone ke karan rukhe aur rough baalo mai yeh granthi kaam nahi karti hai. Sun bath, swimming, chlorinate pani, hair dryer aur styling product bhi baalo ko rough bana dete hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Hair

 

Nariyal ka Tel

Nariyal tel ek prakratik moisturizer hai, jo rukhe-sukhe baalo ke liye atyadhik labhkari hota hai. Iske tel ka prayog bina kisi rasayan ko milaye karna chahiye. Aap aasani se ek nariyal se paryapt matra mai tel prapt kar sakte hai. Yeh aapke sukhe baalo ko prayapt nahi to dega hi sath hi yeh rusi se bhi apko rahat dilayega.

Iske alawa nariyal ke tel mai nimbu ki kuch bunde dalkar, isko sir par lagaye aur acchi tarah masaj kare. Aisa karne se bhi baal rukhe nahi rahenge aur dandruff bhi samapt ho jayega.

 

Dahi aur Anda

Yeh dono hi baalo ke liye bahut acche hote hai. Iska paste banana ke liye, ande ka safed bhaag le aur usme 5 chammach dahi aur 1 chammach multani mitti milaye. Iss paste ko apne baalo par acchi tarah lagaye aur sukh jane dijiye. Jab yeh sukh jaye to halke shampoo se isse dho le. Yeh rukhe baalo ko komal aur chamakdar banata hai sath hi yeh ek natural hair Straightener bhi hai.

 

Shahd aur Nimbu

Nimbu ke ras mai prakrati se prapt ek amal hota hai, jo rusi ko aasani se hata deta hai. Shahad prakratik moisturizer hai, to baalo ke sukhepan ko samapta kar dega. Nimbu ke rasbhare tukde ko hshad mai dubokar pure sar par halke hath se ragde. Isse nimbu ka ras sar par acchi tarah fail jayega. Aap nimbu ko nichod kar uske ras mai shahd milakar bhi sar par laga sakte hai.

 

Kaccha Dudh

Ek katori mai thoda sa kaccha dudh lekar usse ruyi ke fohe ki madad se baalo ki jado mai acchi tarah se lagaye. 1 ghante tak aise hi laga rahne de or baad mai isse dho lijiye. Rukhe baalo ki samasya se rahat milegi.

 

Garm Tel ki Malish

Apne baalo ko swasth aur samasyo se mukti dilane ke liye tel se inki malish karna bahut jaruri hai. Aaj kal log samay ki kami ki vajah se baalo mai tel kam lagate hai, jo sukhe baal aur rusi ka karan bante hai. Aap apni suvidhanusar nariyal tel, badam tel ya jetul ka tel istemal kar sakte hai. Kisi bhi ek tel ka upyog kare, ise halka garm kare phir thanda hone par isse pure baalo mai acchi tarah jado tak lagaye. Malish karne ke baad sar ko toliye se dhak lijiye. 1 ghante tak ise laga rahne de aur phir shampoo se ise dho le.

 

Baking Soda

Baking soda ke istemal se baalo ki gandgi samapt ho jati hai aur baal komal tatha mulayam ho jate hai. Sath hi baalo ki nichali twacha par name bani rahti hai. Iske liye 1 cup pani mai 1 chammach baking soda milakar acchi tarah mix kar le aur baalo ko isse dho lojiye.

 

Jetun Ka Tel

Sabse pahle 2 chammach jetun ke tel ko garm kar le. Ab isme saman matra mai shahd mila lijiye. Thanda ho jane par isse baalo par lagaye. 10 se 15 minute tak laga rahne ke baad ise garm pani se dho le.

Jetun ka tel rukhe-sukhe baalo ke liye bahut hi accha hai sath hi yeh twacha ke liye bhi faydemand sabit hota hai.

 

You May Also Like:- Sirka ke Kuch Bemisaal Upyog, Jo Aapne kabhi Nahi Sune Honge

 

 

Sirke ka Upyog

Yeh ek mahatvpurn upchar hai jo aapke baalo ko sukhne se bachata hai aur sar se rusi ki parat ko bhi hatata hai. 1 chammach sirke ko ek bartan mai dale aur ise khopdi aur baalo par dhakte huye sar par lagaye. Aap sirke ko spre wali bottle ki mada se bhi baalo par laga sakte hai. Sirke se apne baalo par malish kare aur 15 – 20 minute ke liye aise hi chod de. Phie ise dho le aur baalo mai name ke antar ko aap bhi dekhe.

home remedies for hair

 

Rough Baalo ke Lakshan

  1. Baalo ka bejan aur rukha-sukha dikhai dena
  2. Baalo par chamak na hona
  3. Baalo ka texture kada hona
  4. Domuhe baal
  5. Hair Breakage

 

Anya Samanya Home Remedies for Rough Hair in Hindi

  1. Kaddu ke tukdo ko boil karke ise masalkar dahi mai milaye aur phir baalo par laga lijiye. 20 minute baad ise dho lijiye.
  2. Ek cup mayonij le aur use tab tak garam kare jab tak yeh tel ki tarah na ban jaye. Isko apne baalo mai lagaye aur sar ko toliye ya plastic se cover kar lijiye. 15 se 20 minute baad ise shampoo se dho le.
  3. Ek cup dahi mai kele ko masalkar, iss mishran ko baalo par lagaye aur 15 se 20 minute baad ise dho lijiye. Isse apke baalo ki acchi conditioning ho jayegi.
  4. Ek cup nariyal ka dudh le aur isme 1 chammach shikakai milaye. Isse apne sar par masaj kare aur 20 minute baad dho lijiye. Aise karne se baal mulayam aur silki ho jayenge.
  5. Shisham ke tel mai nimbu ka ras milakar baalo par aur sar ke nichle bhaag par lagaye. Iske baad towel ko garm pani mai bhigokar baalo par lappet le aur bhaap de. Aadhe ghante baad sar ko dho le.

Yeh sabhi kuch aise Home Remedies for Rough Hair in Hindi hai jo aapko baalo se sambandhit anek pareshaniyo se bacha sakte hai aur aapke baalo ko swastha, kale, ghane aur chamakdar banaye rakhenge.

Loading...

You may also like...