Aapko yadi sehat banye rakhni hai aur meetha bhi khane ka shouk hai. To aise mai aap gudh ka sevan kijiye. Bahut si research ke baad expert iss natije par pahuche ki, har vyakti ko rozana iska sevan karna chahiye, jo unke swsath ke liye bahut laabhkari hota hai.
Lekin bahut se log iske faydo ke baare mai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Molasses Benefits. Jisse aap iss gunkari gudh ke bemisaal faydo ke baare mai jankari hasil karke iska sevan shuru kar sakte hai.
Ayurveda ka manna hai ki gudh mai moujud tatav sharir ke acid ko khatam karte hai. Iiske viprit chini ke sevan se acid badh jati hai, jisse baad rog paida hote hai. Vadhye ki salah ke anusaar, nirogi kaya aur dirgayu ke liye bhojan ke baad niyamit roop se 20 gram gud ka sevan karna chahiye.
Gudk ke tamam faydo ke baujud ayurveda mai kuch aise padarth ke saath iske sevan ko nishedh mana jata hai, jinme dudh mai mila ke pine ki manahi ki gai ho. Halakai pahle gud khaye aur fir dudh piye. Isse aapki sehat theek rahegi aur kai rogo se bachav bhi hoga.
Prachin samay mai gudh ko swasth ke liye amrat mana jat hai, jabki chini ko safed jahar mana jata hai. Gudh khane ke baad hamare sharir pachan kriya ko sudharta hai. Jabki chini acid paida karti hai, jo sharir ke liye hanikarak hoti hai. Ayurveda mai kiye gaye study se ptaa chala hai ki dudh ke mukable chini ko pachne mai pachas guna jyada urja kharch hoti hai. Yadi gud ko pachne mai 100 calorie urja lagti hai to chini ko pachne mai 500 calorie kharch hoti hai.
Isi tarah gud mai calcium ke saath phosphorus bhi hota hai, jo haddiyo ko majbut karne mai sahayk mana jata hai. Vahi chini haddiyo ke liye nuksaan dayak hoti hai.Kyoki chini itne adhik temperature par banai jati hai ki, jiske karan ganne ke ras mai moujud phosphorus khatam ho jata hai.
Molasses Benefits ke Dwara Paiye Acchi Sehat aur Rogmukt Kaya
Acidity mai Sahayak
Molasses Benefits ki baat kare to iska sabse badha fayda hai ki, isse pet sambhandhit samasya khatam ho jati hai.Agar aap gas ya acidity se pareshan hai ti khane ke baad thodasa gud jarur khaye aisa karne se ye dono samasya nahi hoti hai. Gud, sendha namak, kala namak milakar chatne se khatti dakkar bhi band ho jati hai. Iske alawa aapko Sugar VS Brown Sugar ke facts ke baare mai bhi ptaa hona chahiye.
Memory Sharp Kare
Molasses ka halva khane se memory sharp hoti hai. Sharir se jahrile padarth bahar nikal jate hai. tatha sardiyo mai yeh sharir ke tapman ko niyamit rakhta hai. Ise khane se yaadash kamjor nahi hoti hai. Isliye aap apni yaadash ko durusst rakhna chahte hai to iska niyamit sevan kijiye.
Thakaan Mitane ke Liye
Thakan mitane ke liye gudh ka sevan bahut hi faydemand hota hai. Iske liye aap rozana gudh ka sevan kijiye. Jisse aapko bahut faydemnad hota hai. Agar aap par kaam ka bahut pressure hota hai. Jiske karan aap pareshan rahte hai, to isko jarur khaiye.
Kan Dard ki Samasya Dur Kare
Thand mai kai logo ko kan ka dard rahta hai. Jiske karan vo bahut pareshan rahte hai. Aise mai aap gudh aur ghee ko milakar apne kan mai daliye jisse aapko bahut fayda milega.
You may also like:- Home Remedies for Earache: Kan Ke Dard ke Gharelu Nuskhe
Jukham Bhagaye
Agra aap jukham hone se pareshan hai ya aapko baar- baar jukham hota hai. To aise mai aap rozana gudh ka sevan kijiye. Jisse aapki yeh jukham ki samasya hamesha ke liye dur ho jayegi. Saath hi aapko bubaar bhi nahi hogi.
Bhook Badhaye
Agar aapko bhook nahi lagti hai. Ya bhook lagane par bhi khana nahi bhata hai. To aise mai gudh ka sevan kijiye. Iske liye aap din mai kam se kam teen baar gudh jarur khaiye. Jisse aap thhek tarike se khana kha payenge aur aapka swasth bhi accha rahega. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Molasses Benefits hai.
Asthma se Bachaye
Aapko asthma se bachne ke liye gudh ka sevan bahut faydemand hota hai. Agar aapko asthma ki paresahni bahut lambe samay se hai. Tab bhi iska sevan bahut laabh hota hai.
you may also like:- Home Remedies for Asthma: Dama ka Ilaj Hua Ab Bahut Asaan
Molasses (Gudh)ka Sevan Karke Rahiye Swasth
Khoon Badhaye
Agar aapko khoon ki kami hai, tab aap rozana gudh ka sevan kijiye. Jisse aapko bahut fayda milega. Saath hi aapke sharir mai khoon ki matra bhi badhegi.
Blood Pressure Control
Gudh ek aisi laabh kari oushadhi hai, jo aapke blood pressure ko control mai rakhti hai. Saath hi jin logo ko ucch rakt chap ki bahut adhik shikayat hai, unhe iska sevan jarur karna chahiye.
Dil ki Bimari se Bachaye
Dil ki bimari se bachne ke liye aapko gudh ka sevan karna chahiye. Yeh ek itna accha upchar hai, jo aapko dil ki bimari hone ke khatre ko bahut dur rakhta hai.
Masik Dharm ko Niyamit Kare
Jin ladkiyo ko masik dhram ki pareshani matalb jin ladkiyo ko masik dhram niyamit nahi rahte hai. Unhe din bhar mai teen baar gudh ka sevan karna chahiye.
You may also like:- Janiye Home Remedies for Irregular Periods in Hindi
Aankhon ki Roshani
Agar aapki aankhon mai kamjori hai. To aapko rozana gudh ka sevan karna chahiye. Kyoki yeh ek dawa ke roop mai kaam karta hai, jo aapki aankhon ki roshani ko treevta se badhata hai.
Upar aapne jane Molasses Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi iss gunkari gudh ka sevan kijiye aur iske laabh ka luft utha kar hamesha swasth rahiye.