Aaj ke samay mai vyakti itna busy ho gaya hai ki use apne liye to bilkul bhi samay nahi hai. Dinbhar ki bhaag doud mai wah itna vyast rahta hai ki choti-moti bimari ko yuhi najarandaj kar deta hai ya apne hi man se dawaye le lete hai. Yah dawaye uss samay to unhe aaram pahunchati hai, lekin andar hi andar sharir ko khokhla karne lagti hai.
Antibiotic dawayo ke upyog se logo ki jaan to bachai ja sakti hai, lekin inke kai dushprabhav bhi hai, kyoki yah kisi na kisi rasayan ka istemal jarur hota hai. Agar hum kisi badi bimari se grasit hai to aur koi vikalp nahi hota hai, isliye inn dawao ka upyog jaruri ho jata hai. Lekin aaj kal vyakti thoda sar dard kya hua, turant dawa lene lagta hai.
Samanya dard ya rog mai jab hum inn dawao ka upyog karte hai to hum dhire-dhire inke aadi ho jate hai aur inki aadat lag jati hai. Kai baar aisa bhi hota hai ki adhik dawaye lene se humara sharir par unn dawao ke alawa kisi aur dawa ka asar tak nahi hota hai. Isliye samanya rog hone par hume prakratik dawao dawao ka upyog karna chahiye. Aaiye jante hai Natural Antibiotics in Hindi.
Natural Antibiotics in Hindi: Janiye Inke Upchar Ke Tarike
Prakrati se hume bahut se aise ped-poudhe aur jadi-butiya prapt hai. Jinke bare mai humne suna to hai magar inka kabhi upyog nahi kiya aur na hum inke upyog ke tarike jante hai. Aaj hum aapko aisi hi kuch prakratik dawao ke bare mai batane ja rahe hai. Jo hume chote se lekar bade rogo tak bachane mai sahayak hote hai aur inke koi nuksaan bhi nahi hai. Aaiye jante hai Natural Remedies jo hume swasth banaye rakhti hai.
You May Also Like:- Natural Food Benefits in Hindi: Prakratik Aahar Ke Fayde Janiye
Adrak
Humare desh mai adrak ka prayog apne bhojan mai lagbhag har ghar mai hota hai. Agar aap iska istemal nahi karte hai to ab shuru kar dijiye, kyoki yah keval khane ke swad ko hi nahi badata hai balki yah humare swasthya ke liye bahut hi accha sabit hota hai. Adrak aur sukha adrak jise sonth bhi kaha jata hai, yah dono hi anek bimariyo se mukti dilane mai sahayak hote hai.
Adrak mai thermogenic agent namak tatv hota hai. Jo wasa ko jala kar badte vajan ko aasani se kam karta hai. Ek addhyan ke mutabik, adrak ke juice ka sevan karne se jodo ke dard aur sujan ki samasya kabhi nahi hoti hai. Yah samasya kitni hi purani kyo na ho lekin agar aap iska niyamit upyog karenge to aapko avashya labh milega. Adrak ke juice mai antioxidant hote hai, jo rakt fresh rakt ke pravah ko badate hai, kyoki inme khoon ko saaf karne ka gun hota hai.
Iske alawa yah cancer, blood pressure, pachan sambandhi samasya, arthritis, sardi-jukham aur bhi kai prakar ke chote aur bade rogo se ladne mai humari madad karta hai.
Lehsun
Lehsun ka upyog aushdhi ke rrop mai aaj se nahi balki sadiyo se kiya ja raha hai, iske sabse udhran hai, phle samay mai jab yudh huya karte the to ghayalo ko lehsun ka malham ki tarah lagaya jata tha. Yah ek bahut gunkari or takatwar prakratik dawa hai jo khun ko patla or sardi-jukham ko sahi karne me madad karta hai.
Isme protein, vitamin, khanij lavan, iron, phosphorus aadi paye jate hai. Yah sharir ki pratisaksha pranali ko badata hai. Bhojan mai hum ise kisi bhi tarah se sevan karna sharir ke liye faydemand sabit hota hai.
Yah bacterial aur viral sankraman ko dur karta hai, twacha ke sankraman ko thik karta hai, hriday rog, blood pressure, allergy tatha sex life ko behtar banana mai bhi sahayak hota hai. Roj subah khali pet Lehsun khane se kai rog thik ho jate hai sath hi sarir me takat badti hai or yah ek Natural antibiotics ki tarah kam karta hai.
Dhaniya
Bhartiya rasoi mai hara dhaniya ho ya pisa dhaniya dono ka hi bharpur istemal kiya jata hai. Hara dhaniya jaha sabji ki sajawat aur sundandh ke liye prayog kiya jata hai, lekin iske bahut sare swasthya labh hai.
Dhaniye ke beej mai kai phytonutrients paye jate hai. Yeh ditri fibers ka pramukh strot hai. Isle alawa isme iron, magnesium bhi bharpur matra mai paye jate hai. Sath hi yah vitamin c aur protein ka bhi bahut accha strot hai.
Yah cholesterol badane mai, madhumeh rogiyo ke liye, pachan tantra ko sakriya banane mai, arthritis, mahilao ko masik dharm ke douran tatha anya kai tarah se humare swasthya ko labh pahunchane mai sahayak hota hai.
Shahad
Humare purvajo ne sakriya roop se pahli baar herbal antibiotic dawao ka vikas kiya tha. Phle bhi ghav aur bimari ke upchar mai shahd ka upyog kiya jata tha. Lekin iske kai guno ke bare mai aap bhi nahi jante honge. Isme antioxidant tatv paya jata hai, jo aapko kai bimariyo se bachane ke sath hi sundarta badane ke kaam bhi aata hai.
Prachin kaal mai ise twacha aur aankho ki bimario tatha jakhmo par prakratik bandej ke rrop mai istemal kiya jata tha. Shahad ko garm karne se iske labhkari gun samapt yak am ho jate hai, isliye ise garm karke prayog nahi karna chahiye. Yah ek bahut accha antioxidant hai jo badti umra ke lakshano ko kam karne mai bhi madadgar hota hai.
Yah kaamshakti vardhak, yaddasht badane wala, ghav thik karne wala, typhoid, pneumonia aadi kai rogo ke upchar mai prakut kiya ja sakta hai. Shahad ka niyamit sevan karne se sharir furtila aur urjawan banta hai.
Cranberry
Yah bhi ek bahut hi accha antibiotic hai. Yah virus aur bacteria ko marta hai. Yah jamun ki tarah hota hai. Isme benzoic acid hote hai. Yah ascorbic acid aur vitamins ka mukhya strot hai. Cranberry khatta aur mita phal hai, jo pratiraksha panali ko majbut banana mai sahayak hota hai.
Yah jamun, ucch raktchap, gathiya, stomatitis aadi anek rogo ko humse dur rakhta hai. Iska juice bhi humare sharir ke liye labhkari sabit hota hai. Aap iska sevan niyamit kar sakte hai aur rogo se mukti pa sakte hai.
You May Also Like:- Aloe Vera Juice Benefits in Hindi: Guno ka Anmol Khajana
Aloe Vera
Aloe Vera sadharan sa dikhne wala poudha kai aushdiya guno se paripurn hai. Ise gwarpatha, ghikwaar aur dhratkumari ke naam se bi jana jata hai. Iske juice ka sevan karne se sharir mai hone wale poshak tatvo ki kami ko pura kiya ja sakta hai. Isme jadi buti ki tarah kai gun hote hai.
Ayurved mai aloe vera ke aise guno ka varnan kiya gaya hai, jo asthma, khansi, pat ki gas, pathari, sanso ki samasya ko thik kar sakta hai. Iske liye aapko yah pata hona chahiye ki iski kitna matra ka prayog hume karna hai, kyoki har rog mai iski matra alag hoti hai.
Aloe Vera juice ka niyamit sevan karne se diabetes, piliya, motapa, twacha ke katne ya jalne par, bavasir, khujali, kil-muhase aadi kai prakar ke samay aur bade rogo mai bhi yah humare liye faydemand sabit hota hai.
Sahijan
Sahijan jivanurodhi aushdhiya guno se bharpur maha-aushdhi hai. Iske prayog pachan tantra kosh, kraminashak tatha cough sambandhi rog dur karne mai kiya jata hai. Mahilao mai hone wali pramukh bimari prasur, pradar aadi mai bhi yah raambaan hai.
Sahijan ki phalli, phul, patti, chal, jad sabhi aushdhiya guno se paripurn hai. Iska prayog mile antibiotic ke roop mai kiya jata hai. Isme mojud 8 pratishat shariy tatv pachan tantra ki bimario ko niyantrit karta hai. Iske beej mai 36.6 pratishat tel hota hai, jo twacha sambandhi rogo ka nash karta hai.
Pyaj
Aapne suna hoga ki pyaj ke chilke nikalne se kya labh hoga, parantu shayad hi bahut hi kam log jante honge ki pyaj ke chilko mai swasth aur swad ka khajana chupa hai. Dikhne mai sadharan sa pyaj keval sabji banana ya salad mai khane ke liye hi nahi hai, balki yah ek prakar ki aushdhi hai.
Pyaj mai calicine aur raiboflevin paryapt matra mai hota hai. Isme 11 pratishat carbohydrate hota hai. Garmi ke dino mai lu se bachane mai, gathiya ke ilaj mai, jhadte balo ko rakne mai, sardi-jukham mai tatha lambi aayu ke liye iska aur pyaj ke ras ka upyog jarur kare.
Khaskat garmi ke mausam mai to yah bahut hi adhik labhkari hai. Iss season mai aap ise kisi na kis roop mai jarur khaye aur agar ho sake to aap ise kaccha hi khaye to yah garmi mai hone wale rogo se bachane mai mada karta hai.
Aaj aapne jana Natural Antibiotics in Hindi, yaha humne aapko sirf kuch examples diye hai. Inhi tarah aur bhi kai aise prakratik medicines hai, jinka upyog hum masala ke roop mai ya phal aur sabji ke roop mai karte hai. Prakrati se prapt har chij humare liye faydemand hi hai. Isliye choti-moti bimari hone par kisi dawa ka upyog karne se bache aur inn prakratik dawao ka upyog kare. Yah aapka swasthya bhi behtar karenge sath hi aapko andar se majbut bhi banayenge.