नाईट हेयर केयर टिप्स – खूबसूरत बालों के लिए

Ham sabhi ki life bhagdour se bhari hai. Aese mai acche baalo ke liye samay nikal pana thoda mushkil hai. Bahut bar to jab ham subah uthate hai to hamare baal jhadu ke saman ho jate hai. Darahsal raat ke samay yadi  inki dekhbhal nahi ki jaye to baal bahut damage hote hai aur tutkar girne lagte hai.

Aur to aur yadi subah ke wakt bhi bhagdour ke chalte yadi ham inn par dhyan nahi de pate hai to baal aur tut kar girne lagte hai. Isliye bahut jaruri hai ki ham raat ko hi inka acche se khayal rakh le.

Isse aapko subah ke wakt apne unsuljhe baalo ko lekar mashakkat bhi nahi karni padegi aur aapke baal bhi kharab nahi dikhenge. Aaiye jante hai Night Hair Care Tips in Hindi.

Night Hair Care Tips in Hindi: Raat mai Sone Se Pehle Kare

Resham Ke Takiye

Jab bhi aap sote hai to silk ke takiye ka istemal kare. Darahsal silk ka takiya aapke baalo ko koi nuksan nahi pahuchata hai. Jab aap cotton ka takiya use karte hai to isse aapke baal ghisate hai. Wahi jab aapke takiye par silk ka cover chada hai to aap kitna bhi apne sir ko ghumaya koi nuksan nahi hoga.

Yadi aapke pass resham ke cover wala takiya nahi bhi hai to aap silk ka rumal bhi rakh sakte hai. Hair Loss se bachne ka yeh ek accha tarika hai.

Sote Wakt Baal Na Rakhe Gile

Bahut se logo ko lagta hai ki wo sote wakt yadi baal dhokar soyenge to isse unke baal acche honge. Lekin aesa kuch bhi nahi hai, gile baalo le sath ulta aapke baal aur kharab hote hai. Isliye sone se pehle apne baalo ko acche se jarur sukha le. Ya to baal dhone ka samay thoda jaldi kar le taki wo acche se sukh jaye. Baal kaise dhoye iss link ke jariye aap jaan sakte hai.

Baalo mai Kanghi

Apne bistar par jane se pehle kuch samay apne baalo mai aaram se kanghi kar le. Isse aapke baalo mai gathane nahi banegi. Brush karne ke baad yadi aap halki ponytail bhi bana leti hai. To isse aapke baal roj ki tarah jyada nahi uljhenge. Aur yadi aapke baal chhote chhote hai to fir to aapko parwah karne ki jarurat hi nahi hai.

Bouncy Baalo Ke Liye Chotiya

Yadi aap chahte hai ki bina heat diye aap aapke baalo ko bouncy look de, to raat ko apne baalo ki do chotiya bana le. Jitna ho sake jyada se jyada braid banni chahiye. Isse agle din na hi aapko aapke baal uljhe milenge , aur aapko milenge aakarshak bouncy baal.

Baalo Ki Tel Se Malish

Aap yadi apne baalo ki growth chahti hai to yeh jaruri nahi hai ki aap parlor mai jakar hair spa le aur apni jeb dhili kare. Yadi aap raat ko sone se pehle gungune tel se apne baalo ki champi kare tab bhi aap lambe, ghane baal paa sakti hai.

  • Baalo ke liye aap nariyal tel ya badam tel dono istemal kar sakti hai.
  • Chahe to teen telo ka mishran jaise badam, nariyal ya jaitun ka tel bhi laga sakte hai.
  • Isse baalo ko poshak tatva milte hai aur baal badhne lagte hai, sath hi nami ke chalte baal mulayam bhi hote hai.

 

Anya Tarike Inhe Bhi Janiye:-

  1. Baalo ka juda banakar sone se bhi baal kharab nahi hote hai. Isse aapke baalo mai rubber bhi nahi lagana padhta hai, jisse ki kai bar hamare baal tutate hai.
  2. Baalo ko manage karna bahut hi mushkil kaam hai. Jab aapke baal curly ho tab to bahut hi jyada. Aese baalo ko raat mai kharab hone se bachane ke liye inhe upar kar le aur silk scarf se bandh le.
  3. Aapke baalo ko mulyam banaye rakhne ke liye root se lekar niche tak baalo ko nariyal tel se bhiga de. Agle din subah paani se dho le. Best Care for Hair ke liye yeh jarur kare.
  4. Yadi aapke paas agle din subah baal dhone ke liye wakt nahi hai to pareshan mat hoiye raat ko sone se pehle apne baalo mai dry shampoo ka istemal kare. Isse aapke baal dusre din naturally fresh dikhenge aur isme phasi gandagi bhi nikal jati hai.

Upar aapne jana Night Hair Care Tips in Hindi. Yaha diye gaye upayo ki madad se keval thoda hi samay dekar subah ke wakt aap paa sakte hai suljhe aur khile khile baal.

Loading...

This website uses cookies.