Hair Wash Tips in Hindi: Jana Baal Dhone Ka Sahi Tarika

Har ladki chahti hai ki uske baal sundar aur khile huye dikhe. Lekin dhul mitti aur pradushan ke karan baal mai gandagi jama ho jati hai aur baal kharab ho jate hai. Baalo ko saaf aur sundar rakhne ke liye inhe dhona jaruri hai. Lekin inhe dhone ke liye bhi sahi tarika aana chahiye warna aapke baal jyada kharab ho jate hai.

Yadi aap aapke baal ko acche se dhoti hai to unki gunvatta badti hai. Wahi yadi aap inhe thik se nahi dhoti hai to ya to wo chipchipe ho jate hai ya to rukhe ho jate hai. Baal ko yadi thik se nahi dhoya jaye to gandagi thik se nahi dhulti aur wo chipchipe hote hai. Wahi yadi baalo ko bahut jyada shampoo ke istemal karke dhoya jaye to wo rukhe ho jate hai aur tutkar girne lagte hai.

Baal dhone ke liye istemal kiye jane wale pani ka tapman bhi aapke baalo ko prabhavit karta hai. Isliye bahut jaruri hai ki jab bhi aap apne baalo ko dhoye sahi prakriya ka chunav kare taaki aapke baal swasth, ghane aur lambe bane rahe. To baal dhone ki sahi prakriya ko janne ke liye padhe Hair Wash Tips in Hindi.
 

Hair Wash Tips in Hindi – Iss Tarah Se Dhoye Aapke Baal

 
Hair Wash Tips in Hindi
 
Hamari upar batai gayi baato ko sunne ke baad bhi aap bhi baal dhone ka sahi tarika jaane ke utsuk honge. Isliye niche ham iska tarika bata rahe hai. Padhiye How to Wash Your Hair in Hindi:-
 

Baal Dhone Se Pehle Tel Ki Champi

Baalo ko poshan tel ke dwara hi milta hai, isliye baal dhone se pehle tel se malish jarur karna chahiye. Darahsal jab ham direct apne baalo ko dhote hai to wo rukhe ho jate hai. lekin yadi ham baal dhone se pehle tel ki malish karte hai to shampoo hamare baalo par lagaye gaye tel ko to khatam kar deta hai kintu isse hamare baalo ki prakratik nami barkarar rehti hai. Iske aalwa oil massage ke baad baal dhone se baalo mai chamak bhi aati hai. Tel ki malish ko baal dhone ke 2 ghante pehle ya 1 raat pehle kar sakte hai.
 

You may also like:- Home Remedies for Healthy Hair: Sundar Ghane Baalo Ke Liye

 

Baalo Ko Gungune Pani Se Gila Kare

Sabse pehle sar ko niche ki taraf jhukaye aur baalo ko gungune pani se acchi tarah dho kar Karib 1 minute tak unhe bhiga hua rehne de. Dhyan rakhe baalo ko gungune pani se hi dhoye kyuki gunguna pani scalp ke rom chhidro ko acche se saaf kar deta hai. Jyada garam pani ka nuksan aapki sar ki twacha ko nuksan pahuchata hai.
 

Shampoo Lagane Ka Tarika

Jab bhi aap baalo ko shampoo se dhote hai to dhyan rakhe ki shampoo ko kabhi bhi sidhe sar par na lagaye kyoki shampoo ka ghanatav aapke baalo ko kharab kar deta hai. Isliye Best Way to Shampoo Hair jane. Ek mug mai pani le aur usme shampoo dale tatha usko acche se hila le, ab iss mishran ko baalo par dale aur isse baalo ko malish karte huye ragde.
 

Pehle Gunguna fir Thanda Pani

Baalo se shampoo nikalne ke liye pehle gungune pani ka istemal kare. Yeh twacha ke rom chhidra kholkar aapke sar ko acche se saaf kar deta hai. Ab thande pani ka istemal kare, taki rom chhidra wapis se band ho jaye. Gungune-thande dono pani ke istemal se raktsanchar bhi badhta hai aur baal swasth hote hai.
 

Mulayam Baalo Ke Liye Conditioning

Baal dhone ke bad rukhe hote hai, aur aasani se nahi sulajte. Baalo ko suljha hua aur mulayam banane ke liye conditioner ka prayog kare. Iske liye aap bajar mai milne wale product ka bhi prayog kar sakte hai aur aap chahe to ghar par bana hua conditioner ka istemaal bhi kar sakte hai. Conditioner ko ek kanghi ke madhyam se bi laga sakte hai, isse pure baalo mai ek saman conditioner lagta hai.
 

Hatho Se Baal Suljhaye

Shampoo karne ke bad jab baal sukhte hai tab baalo mai ganthe pad jati hai. Isliye kuch log gile baalo mai hi kanghi karne lagte hai. Isse baal bhale hi sulajh jate hai lekin yeh baalo ke patle hone ka ek karan bhi hai. Isliye jab baal gile rehte hai to unhe suljahne ke liye ungaliyo aur hatho ki madad le.

Aur jab baal sukh jaye tab baalo ko suljhane ke liye unhe do bhag mai baant le aur kanghi ki sahayta se suljhaye. Sukhe baalo mai kanghi karne se raktsanchar badhta hai wahi gile baalo mai kanghi karne se baal jhadne lagte hai.
 

You may also like:- Hairstyles for Curly Hair in Hindi: Ghungrale Baalo Ke Liye

 

Har Roj Sar Na Dhoye

Rojana baalo ko na dhoye, baalo ki safai ke liye roj sar dhone ki jarurat nahi hoti hai. Roj sar dhone se baalo ki gunvatta par asar padta hai, jisse wo bejan aur khubusrat dikhne lagte hai. Agar aap har roj baal dhoyenge to aapke baalo ki chamak kho jayegi.

Chote baalo ko roj dhone ki jarurat nahi padti hai lekin jinke baal lambe hote hai unhe maintenance ki jarurat padti hai hai isliye wo do din mai ek baar baal dho sakte hai.
 

Baking Soda Se Kare Safai

Aap agar shampoo ka istemal nahi karna chahti hai to gharelu utpad jaise baking soda, sikakai aadi se baalo ko dho sakti hai.  Yeh bajar mai aasani se mil jata hai tatha isse baalo ki saari gandagi aache se saaf ho jati hai. Iske atirikat yeh baalo mai se sebum tel bhi nikal deta hai tatha isse baal chamakdar aur swasth bane rehte hai.  Aap chahe to baking soda ki madad se kai tarah ke shampoo bhi bana sakti hai, bus aapko isse banane ka tarika pata hona chaiye.
 
Upar aapne jana Hair Wash Tips in Hindi. Ab aap bhi iss tarah se apne baalo ko dhokar unhe swasth aur sundar bana sakte hai.

Loading...

You may also like...