Online Dating Advice in Hindi: Inn Baato Ka Rakhe Khyal

Aajkal internet ka istemaal bahut badh gaya hai. Pehale log internet ke madhyam se sirf apne general work aur dost banane ke liye kiya karte the. Lekin aaj ke samay mai log internet par apna pyar bhi talashne lage hai.

Aajkal internet par kai dating sites moujud hai. Inn dating sites par log online hi apna dost aur pyar talashne lage hai. Online social sites ke dwara do logo ke bich mai itni jyada baatchit hone lagi hai ki log apne niji kamo ko chhodkar apne internet se bane dost aur pyar par jyada bharosa karne lage hai.

Lekin kya aap jante hai ki yeh dosti aur pyar hamare liye pareshani ka karan bhi ban sakti hai? Isliye internet ke dwara bane dosto se hame ek seema mai baat karni chahiye. Iske alawa aur bhi kai baato ka khayal rakhna chahiye. Agar aap bhi dating karne ka soch rahe hai to Yaha padhiye Online Dating Advice in Hindi, jisse aap apni dating ko bina kisi pareshani ke kar sake.

Online Dating Advice in Hindi: Dating Mai Rahe Savdhan

Shayad aap nahi jante honge ki America mai 40 million aur Canada ke 7 million se jyada log online dating kar rahe hai. Aur aese kai log hai jinhe yeh sab karne ke bad bahut badi pareshani ka samna bhi karna pada. Isliye aaiye online dating ki un sabhi baato ko jane jinki hame jankari hona chahiye.

Apni Niji Baate aur Jankari Dene Se Bache

Online dating karte samay sabse mahatwapurna baat yeh hai ki hame samne wale ko puri aur sahi jankari nahi dena chahiye. Aajkial ke yuva varg social site par apne phone number, address, age ki sahi jankari dalkar rakhte hai. Aese mai yadi koi in baato ka fayda uthakar aapko blackmail karne lage to yeh parshani ka karan bhi ban sakta hai.

Aur yadi kabhi koi apni sahi jankari nahi bhi dalta to fir bhi do logo ke bich ki dosti itni badh jati hai ki majburan log apni sahi jankari de hi dete hai. Lekin inti jaldi kisi par vishvas karne se bache.

You may also like:- Benefits of Kissing In Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Fayde

 

Baato Ko Personally na Le

Online baate karte samay do logo ke bich mai dosti itni jyada badh jati hai ki log apne dost ki baato ko personally lene lagte hai. Lekin yeh koi jariri nahi ki aap jitna accha dost samne wale ko man rahe hai utna hi wo bhi aapko maan raha ho.

Internet ki duniya mai bane dost aur pyar, dhokebaj aur galat bhi ho sakte hai. Aur yeh bhi ho sakta hai ki aapka dost aapko galat salah de raha ho. Isliye unki baato ko jyada personally aur seriously nahi lena chahiye.

Bhavnao Mai Bahane Se Bache

Kuch dost aese bhi hote hai jo ki hame emotionally blackmail karna chalu kar dete hai jaise baato-baato mai apni photo magaana, paise maagna aadi. Inn sabhi se hame savdhan rehne ki jarurat hoti hai Kyunki kabhi-kabhi internet ke dost hamari photo ka galat fayda bhi utha sakte hai. Jaise photo ki editing karke off site par dalna aadi.

Public Place Par Hi Mile

Jab kabhi bhi apne online bane dost ya pyar se milne ki baat aaye to ek dating advice yeh hai ki kabhi bhi akele aur sunsaan area mai na mile. Kyunki aesa bhi ho sakta hai ki aapka dost aapko apni sahi jankari naa de aur aapko akele kisi area mai bulakar aapke sath badsuluki kare. Isliye kabhi bhi apne dost se milne jaye to mobile lekar jaye, kisi sage dost ya sambandhi ko lekar jaye aur public place par hi mile.

Bhulkar Bhi Angpradarshan Na Kare

Online baato ke douran do logo ke bich mai dosti aur pyar itna gehra ho jata hai ki we dono ek dusare ki taraf aakarshit hone lagte hai. Kuch log aese bhi hote hai jo ki apne dost ko dekhna chahte hai. Jab bhi aap apne kisi dost se milne jate hai to pure kapdo mai jate hai to kyu na online bane dost se online milne par bhi pure kapde pehankar baate kare.

Kabhi kabhi aesa hota hai ki kuch log samne wale ko apna dost aur pyar baatakar unki photo le lete hai aur unka galat tarah se upyog karne lagte hai.

 Online Dating Advice in Hindi: Anya Baate Inhe Bhi RaKhe Dhyan

  1. Jab bhi kisi online dost se milne ki baat ho to apne parivar walo ko baatakar jaye jisse aapke parivar ke logo ko yeh jankari rahe ki aap kaha ja rahe hai.
  2. Ek Relationship Advice for Women bhi hai. Kuch ladkiya aesi bhi hoti hai jo ki logo ko apni or aakarshit karne ke chakkar mai apni hot picture social sites par laga leti hai. Lekin aesa karne se bache. Koi aapke photos ka misuse kar sakta hai.
  3. Online baate karte karte log apne dost ke pyar mai itna behak jate hai ki unse shadi karne ka faisla bhi kar lete hai. To dhyan rahe ho sakta hai ki aapka online pyar aapko apni baato mai fasakar aapka galat fayda na utha raha ho. Isliye puri jankari lene ke bad hi aesa faisla kare.

Aaj aapne jana Online Dating Advice in Hindi. Yadi aap bhi social networking sites ke madhyam se koi naya dost ya pyar dhundne ja rahe hai  to upar di gayi baato ka dhyan rahe.

Loading...

This website uses cookies.