Padmasana ko English me Lotus Pose bhi kehte hai. Yeh asana pet ko durust aur dimag ka concentration badane ke liye laabhkari mana jata hai. Janiye Padmasana Benefits in Hindi aur kijiye apni chinta ko apne se humesha ke liye dur.
Sanskrit me Pasmasana word ko aise derive kiya gaya hai, Padma (matlab lotus) aur sana (matlab seat aur throne). Iss asana ko Padmasana isliye kaha jate hai kyuki iss asana me baithne ke baad humari mudra bilkul kamal ki tarah ban jati hai. Isliye isse kamalasana bhi kaha jata hai.
Iss asana ko karna bada hi simple hai, isliye aap ise apne bed par hi baithe-baithe kar sakte hai. Yeh asana mann ko prasann karta hai aur chinta ko dur kar concentration ki prapti me laabhkari hota hai.
Purane jamane me yogi aur rishi muni aadi asana me baith kar apna dhyan lagaya karte the. Yeh asana unn logo ko nahi karna cahiye jiske pairo me dard ho. Sciatica athva reedh ke nichle bhag ke aas pas kisi prakar ka dard ho ya ghutne ki gambhir bimari me iska abhyas nahi kare. Aaiye jante hai Padmasana Benefits aur karte hai apne mann ko prasann.
Padmasana Benefits in Hindi: Kamalasana ke Dhero Laabh
1) Padmasana karne se humari reedh ki haddi (Spine) bilkul sidhi ho jati hai.
2) Kuch der iss position me baithne ke baad asana kholne par jodo me rakt ka pravah tez ho jata hai.
3) Jama hua Toxic substance aur sankraman khoon ke tez pravah ke saath nikal jata hai, jisse bahut se bimariyo ka khatra kam ho jata hai.
4) Mahavari ki taklif ko dur karne me sahayak hai.
5) Padmasana Benefits se aap laabh utha sakte hai apne sharir ko swasth banana ke liye, Iska ke mukhya laabh ye bhi hai ki ye aapke dimag ka concentration level bada hai aur aapko fit rakhta hai.
6) Iss asana se aapke sharir ki urja badti hai.
7) Yeh asana lagane se Reedh ki haddi ke nichle hisse par jo prabhav padta hai, wah pure tantric tantra ke liye aaramdayak hota hai.
You may also like: Benefits of Yoga for Men: Purusho ke Liye Yoga ke Fayde
Padmasana Pose (Lotus Pose): Janiye Step by Step
Step 1: Dono pairo ko sidha kar dandasana ki stithi mai bhumi par baith jaiye.
Step 2: Right pair ke anghute ko left hand se pakadkar ghutne tak modte hue right pair ke panje ko left thigh ke uppar rakhiye.
Step 3: Left pair ke anghute ko right hand se pakadkar ghutne tak modte hue left pair ke panje ko right thigh ke uppar rakhiye.
Step 4: Dono ghutne bhumi par tike ho aur pair ke talve aakash ki aur ho. Reedh, Gala, aur sar sidhi rekha me rakhiye.
Step 5: Hatheliyo ko ghutno par rakhiye ya ek hatheli ko dusri par rakhkar lapel (God) me rakhiye.
Yeh simple steps apnaiye aur Padmasana Benefits apne se dur na hone dijiye. Aaj se hi iss asana ko kare aur apne sharir ko swasth banaye.
See more details of Yogasana Benefits from Diet and Fitness.