Baccho ke ghar mai aane se khusi ka mahol to banta hi hai sath hi jimmedariya bhi badh jati hai. Sabhi parent chahte hai ki unka baccha swasth aur aatmanirbhar bane. Acchi parvarish dekar yeh sab hasil kiya ja sakta hai.
Agar ham sahi parvarish ki baat kare to iski koi paribhasa ya tarika nahi hota hai. Iske liye halat ke mutabit samjh bujh ki jarurat hoti hai. Kyoki har bacche alag alag hai. Sab par ek hi niyam nahi lagu ho sakta. Sabhi baccho ki parvarish alag tarah se hoti hai.
Kuch bacche jaha pyar ki bhasa samjhte hai to kuch shakthi ki. Isliye yadi yeh kaha jaye to ki parvarish ka yeh ek matra tarika hai to aesa kehna galat hoga. Aapke ghar ke aur aapke aaspas ke mahol ko dekhne ke baad hi parvarish kesi karna hai yeh aap nirdharit kar sakte hai.
Parvarish ka matalb sirf ye nahi hai ki bacche ki khane pine aur pehhne audne ki jarurato ko pura kara jaye. Balki iska matlab yeh hai aap apne bacche ko kaisi aadate sikha rahe hai aur kaise sanskar de rahe hai. Kuch nushkhe aese hai jo aapke baccho ki parvarish karne mai madad kar sakte hai. Aaiye jane Parenting Tips in Hindi.
Parenting Tips in Hindi: Acchi Parvarish Ke Liye Faydemand Salah
Sabse Pehle to aap yeh jaan le ki bacche kacchi mitti ki tarah hote hai. Bachpan mai wo jaisa dekhte hai vaisa hi sikhte hai. Shayad yahi wajah hai ki jin parivaro mai jhagda jyada hota hai unme bhi whi gun paye jate hai. isliye yadi aap apne bacche ka bhavishya savarna chahte hai aur unhe accha insan banana chahte hai to bachpan mai hi unki sahi parvarish kare.
Baacho Ko Samay De
Yadi aap baacho ki parvarish acchi karna chahte hai to sabse pehla tarika hai ki aap unhe samay de. Yadi aapke paas samay hi nahi hoga to aap unki acchi parvarish bhala kaise kar payenge. Isliye apne baccho ke sath quality time bitaye. Darahsal working parents ke sath aksar yeh samasya hoti hai ki unhe apne baccho ke sath bitane ke liye samay nahi mil pata hai.
To koshish kare ki mata pita apne weekends apne baccho ke liye rakhe. Iske atrikt samanya dino mai bhi thoda time nikal le. Aur jane ki wo apna samay kaise bitate hai aur unke dost koun hai aadi.
Khud Ko Dilkash Insan Banaye
Kuch logo ke padosi aese hote hai jo pados ke bacche ko galat siksha dene ki koshish karte hai. We unhe galat aadte dete hai, jaise ulte sidhe gane sikhana, ya fir gaali dena sikhana aadi. Baccho par har chiz ka asar hota hai. Unhe kisi baat ki samajh nahi hoti hai, to jo unhe dilkash lagega wo usi aur khicha jayega. Isliye Good Parenting Tips ke anusar maa baap ko baccho ke liye thoda dilkash baana hoga.
Aese se baccha jyada se jyada samay aapke sath hi bitana pasand karega. Yadi aap, aapke bacche ke samne dilkash aur khush insan ki tarah rehte hai to aapka baccha kisi aur ki taraf aakarshit nahi hoga aur har chiz aapse aakar hi puchega.
You may also like: Newborn Baby Care in Hindi: Navjaat Shishu ki Dekhbhaal
Unhe Akela Na Mehsus Hone De
Bacche ko hamesha itna strong banaye ki wo jindagi mai kisi bhi chiz ki haar naa mane. Iske liye aapko unki pareshani ya fir kisi bhi tarah ki sikayat ko dhyan se sunna hoga. Aap unhe pareshani ka samadhan nikalne mai madad kar sakte hai. Aapko use jatana hoga ki wo iss dunia mai akela nahi hai aap unke sath hai. Isse aapka baccha musibato se jitna bhi sikhega aur uska man khush bhi rahega.
Sahi Galat Mai Fark Bataye
Aapko apne baccho ko sexuality education dena bhi jaruri hai. Iss education ka yeh matlab nahi hai ki aap unhe sex ke bare mai bataye. Sexuality education dene ka tatparya yeh hai ki aap unhe aache aur bure tarike se chhune ka matlab bataye. Unhe bataye ki kis tarah ka sparsh galat hai.
Kyoki hamare aaspas ka vatavarn bahut kharab hai. Yaha tak ki kai baar hamare ghar aaye mehman bhi aesi harkate karte hai. Isliye apne baccho ko iss bare mai siksha dena jaruri hai taki wo iska virodh kar sakte aur apne aatma samman ki raksha kar sake. Ladko ko 13 saal ke umra mai aur ladkiyo ko 11 saal ki umra tak yeh jankari de dena chahiye.
Baccho Ke Role Model Bane
Jaisa ki hamne upar hi baat kari bacche wahi sikhte hai jaisa wo dekhte hai. Isliye jaisa parents karte hai jaise parents ke uthne baithne ka tarika, unke baat karne ka tarika, yeh unke baccho mai bhi dekha ja sakta hai.
Good Parenting Skills yeh kehti hai ki apne baccho ke liye aadarsh mata pita bane. Aaspas ke loogo aur apne partner se baat karte samay shabdo ka dhyan rakhe. Iske atrikt hamesha active rahe. Taki aapka baccha bhi aapki tarah acchi lifestyle ko apnaye.
Unhe Accha Insan Banaye
Ham baccho ki sundarta par kitana dhyan dete hai. Unhe acche acche kapde lakar dete hai taki wo acche lage. Unki bahari sundarta ke sath sath unki andruni sundarta nikharna bhi jaruri hai. Isliye baccho ko dusro ki madad karna, sabhi ke sath pyar se renna, bado ka samman karna aadi baate sikhaye.
Apni Apexa Unn Par Na Thope
Kuch parents apne baccho se kaafi ummid laga baithte hai. Aur jab bacche unn ummido par khara nahi utar pate hai to wo unn par gussa hote hai aur dukh jahir karte hai. Lekin yadi aap apne bacche ki acchi parvarish karna chahte hai to apne baccho ko satvana de. Aese mai aapka baccha dubara koshish karega aur kisi baat ke pura na hone par dukhi nahi hoga.
Bahut Jyada Gussa Na kare
Yadi aap apne bacche ke kisi galat faisle par jarurat se jyada gussa karte hai. To aese mai baccha aapse such bolne se darne lagega. Aapke gusse se bachne ke liye wo jhoot bolna sikh jayenge. Aapke bacche ko itna space de ki such bolne ke liye use jyada sochna naa pade. Lekin iska matlab yeh nahi hai ki aap use pratikriya dena hi band karte, bus thoda sambhal kar rahe.
You may also like: Importance of Amniotic Fluid: Shishu Ke Sahi Vikas Ke Liye
Aatmanirbhar Banaye
Bachpan se hi chote mote faisale aapke bacche ko khud lene de. Aese mai unki nirnay lene ki shamta ka vikas hoga aur bhavishya mai we chunotiyo ka samna dat ke kar payenge.
Har Jid Ko Pura Naa Kare
Jo parents unke bacche ki har mang ko pura karte hai. Unke bacche jiddi ho jate hai. Aur bewajah hi jid karte hai. Aese baccho ko pyar se samjhaye ki unki mang jayaj nahi hai. Aur yadi baccha fir bhi na samjhe to thoda shakth hona jaruri hai. Unki jeed karne ki aadat ko chutwane ke liye unhe chhoti moti saja de. Jaise homework ko do baar karne ke liye kahe aadi.
Apni Pareshaniyo Ko Bacche Se Dur Rakhe
Kai baar parents pareshani mai rehte hai aur apna gussa apne baccho par nikal dete hai. Iss baat ka baccho par bura asar padhta hai. Iske karan unka man dukhi rehne lagta hai. Isliye apni pareshaniyo ko side mai rakhkar, unse hamesha acche mood se baat karna chahiye.
Bachpan Mai Hi Seekh De
Aapne upar parvarish ke sahi tarike to jaan liye hai. Lekin aapko un tariko ko bachpan se hi sikhana hoga. Kyoki bachpan ke wakt mai baccha jaldi seekh jata hai. Ek baar yadi baccha bigad jaye to use fir sudharna muskil hai. Isliye bachpan mai hi sare niyam sikha de.
Unhe sari baate samajhdari se sikhaye naa ki daant phatkar ke. Aap chahe to unhe khel khel mai bhi sahi galat ki pehchan sikha sakte hai. Leki yadi aap unhe samjhane ki bajay dante lagte hai to aapka bacha ulta jiddi aur vidrohi ban sakta hai.
Upar aapne jana Parenting Tips in Hindi. Yadi aap apne bacche ki parvarish acche se karna chahte hai to uprokt tariko ko jane aur apni jindahi mai apnaye.