Importance of Amniotic Fluid: Shishu Ke Sahi Vikas Ke Liye

Garbhavati hona har maa ke liye sabse badi khushi ka din hota hai. Iss douran garbhavti maa ke andar shishu garbhashay mai sthit ek taral padarth ki theli ke andar surakshit rehte hai. Iss taral padarth ko Amniotic Fluid kaha jata hai. Yeh taral padarth bhrun ko lagne wali kisi bhi prakar ki chot se raksha karta hai aur uske shararik vikas mai sahayak hota hai. Iske alawa yeh bhrun ko kai prakar ke sankraman se bachane, pachan tantra aur fefado ke sahi tarah se banne mai madad karta hai.

Garbhavastha ke prarambhik dino mai iss taral padarth(Amniotic Fluid) mai keval pani aur electrolytes paye jate hai. Lekin 12 se 13 hafto ke douran iss taral padarth mai protein, carbohydrate, vasa, urea aur aavyashak sabhi padartho ka nirman hone lagta hai jo ki shishu ke vikas mai sahayak hote hai.

Amniotic Fluid shishu ke andar harmones, poshak tatva aur antibodies ka bhi nirman karta hai. Iske aur adhik fayde janne ke liye aaiye padhe Importance of Amniotic Fluid aur banaye bhrun ko swasth.

Jane Importance of Amniotic Fluid aur Baccho ko Rakhe Swasth

Importance of Amniotic Fluid

 Amniotic Fluid Ke Karya

Bhrun ke vikas mai taral padarth kya-kya kam karta hai aur yeh kiss tarah se sahayak hai iske liye aaiye jane Function Of Amniotic Fluid.

  1. Amniotic Fluid bacche ke mashpesiyo ke vikas mai madad karta hai.
  2. Bhrun ke vikas ke liye garbhashay ka tapman sahi hona jaruri hai. Yeh isme bhi sahayak hota hai.
  3. Yeh taral padharth bhrun ke sahi tarah se saans lene aur saans chhodane ke liye fefado ke sahi tarah se vikas mai madad karta hai.
  4. Amniotic drav ko nigalkar bhrun apne pachan tantra ko viksit karne ka abhyas kar leta hai.
  5.  Ulbeey taral padarth chikanai(Lubricant) ki tarah bhi kam karta hai. Jo ki pair aur hatho ki ungliyo aur nakhuno ke vikas mai sahayak hota hai.

Garbhashay mai aminiotic drav ke vishleshan se yeh pata lagaya ja sakta hai ki bhrun ka vikas sahi tarah se ho raha hai ya nahi. Iske sath hi iske dwara kisi aanuvanshik dosh ke bare mai bhi pata laga ja sakta hai. Ulbeey taral padarth hi bacche aur maa ke swasth ke liye accha mana jata hai. Aur iski kami hone par yeh dono ke liye khatra sabit bhi ho sakta hai.

Garbhavati mahila mai Ulbeey taral padarth ki sahi matra ka hona aavashyak hota hai. Niyamit jaanch ke dauran yeh pata lagaya ja sakta hai ki sharir mai iski kitni matra uplabdh hai. Iski kami ko oligohydramnios  aur iski adhikta ko polyhydramnios ke naam se jana jata hai.

You May Also Like:- Bile Duct Cancer Symptoms: Iss Bimari Ke Mukhya Lakshan

 

Nimn Ulbeey Taral Padarth(Amniotic Fluid) Ke Karan

Lagbhag 8% mahilao ko low Amniotic Fluid hota hai. Iski kami garbhavastha ke samay kabhi bhi ho sakti hai. Lekin jyadatar yeh garbhavastha ke aakhiri charan mai dekha jata hai. Yadi bacche ke janam ki tarikh 2 ya 3 hafte aage badh jati hai to iska arth yeh hota hai ki mahila mai amniotic fluid ki kami hai.  Iske kai karan hote hai. Causes of low Amniotic Fluid mai jane iske mukhya karan.

  1. low Amniotic Fluid Ke Karan
  2. janm Dosh
  3. uccha raktchaap
  4. pregnancy ki date aage badhna
  5. baccho mai kidni ke vikas mai dikkat aana
  6. kisi tarah ka upchar lene ke karan
  7. High Amniotic Fluid (polyhydramnios)

 

Uccha Ulbeey Taral Padarth Ke Karan

Yadi garbhashay mai bhrun ki vraddhi adhik teji se ho rahi hai to iss samasya ko bhi chikitsak jald hi pehchan jate hai. Yeh garbhashay mai High Amniotic Fluid (polyhydramnios) ki wajeh se hota hai. Iss wajeh se garbhavati mahilao ki peeth aur pet mai dard bane rehta hai. Yaha tak ki pairo aur takhano mai bhi sujan aane jaisi samasyae dekhne ko milti hai.

  1. Bacche ki dhadkan ki gati asamanya hona
  2. Bacche ko Kisi tarah ka sankraman hona
  3. Ek se jyada bacche ya fir twins ka hona
  4. janmajat samasyae
  5. maa mai madhumeh ki samasya ka hona
  6. Bhrun mai anemia ke lakshano ka hona

Garbhavastha har mahila ke jivan ka sabse khusi ka pal hota hai. Har maa ka yeh sapna hota hai ki wo ek swasth bacche ko janm de. Isliye use apne aur apne aane wale bacche ke liye bahut jyada savdhani aur sahi dekhbhal ki jarurat hoti hai. Iske liye rojana jaanch ki aavashyakta hoti hai.

Iss lekh mai aapne jana ki garbhavati mahilao mai Ulbeey tarl padarth ke sahi level (Importance of Amniotic Fluid) ka hona kitna jaruri hai? Yadi aap bhi garbhvati hai to swasth bacche ke janm ke liye kisi bhi tarah ki pareshani hone chikitsak ki salah le. Aur koi bhi pareshani na hone par bhi regular checkup karwate rahe.

Loading...

You may also like...