Humari aaj ki jeevan shaili ne hume Junk Food khane ke liye majboor kar diya hai. Lekin iss junk food se hone wale dushparinaam bhi bahut hai. Inn Dushparinaamo se bachne ke liye aapko niyamit roop se kuch Detox Foods ka sevan karne ki jarurat hai.
Experts ka manana hai ki Detox Food sharir se toxic substance ko bahar nahi nikalte hai balki aapka vajan bhi kam karte hai. To aaiye aur jaane Detox Foods ke bare me:
You may also like: Brinjal Benefits: Baingan Se Hone Vale Swasth Laabh
Detox Foods: Ek Aisa Food jo Aapko Banae Swastha
-
Lahasuna (Garlic)
Apne anti viral, anti bacterial aur anti biotic guno ke karan garlic ko ek Detox Food ke roop me kaafi accha mana gaya hai. Garlic me elisin naamak ek rasayan hota hai jo white blood cells ko badata hai aur toxic substance ko sharir se bahar nikalne me madad karta hai. Isliye garlic ko apne aahar me shamil kare.
-
Green Tea
Chai ke bina bhartiyo ke din ki shuruvat nahi hoti. Green Tea me mojud anti oxidant aapke liver ko kai bimariyo se bachata hai. Isliye Green Tea pine ki aadat dale.
-
Adarak (Ginger)
Uttar Bhartiya vyanjano me adarak a lahasuna ka istemaal niyamit roop se hota hai. Adarak me ucch matra me mojud anti oxidant sharir ke rogo se ladne ki shakti ko badate hai. Iske alawa adarak ka sevan pachan ko sudharta hai tatha Nausea aur gas jesi samasyao se rahat dilate hai. Har roz adarak wali chai pikar aap iska laabh utha sakte hai.
-
Nimbu (Lemon)
Nimbu, Vitamin C se bharpur ek khadya padarth hai, Yeh anti oxidant gun aapki twacha ko nikharta hai aur mukt kano se ladta hai. Ek gilas garm paani me kuch boonde nimbu ke ras ki dalkar milae tatha roz subah iss mishran ko piye. Yeh mishran aapke sharir se toxic ingredients ko bahar nikalega aur aapke pachan tantra ko saaf rakhega. Nimbu aapke PH balance ko banae rakhne me madad karta hai. Iske karan aapki Immunity System me sudhar hota hai.
-
Fruits
Phal me Vitamin, Anti oxidant aur fibre uccha matra mai mojud hote hai. Jiske karan phal aapki twacha a baalo ke saath-saath aapke pachan tantra ke liye bhi bahut faydemand hai.
-
Chukundar (Beetroot)
Beetroot aapke sharir me cholesterol ke star ko banae rakhta hai tatha aapke liver par mojud toxic substance ko bahar nikalta hai. Chukundar me Magnasium, Iron aur Vitamin C bharpur matra me paya jata hai. Jiski body me blood ki kami hai vah log chukundar khaye ye aapke sharir ke liye bahut faydemand hoga.
Aaj aapne dekha ki kya jaruri hai aapki body me aur kya nahi. Apne sharir ko Swastha aur tarotazaa banae rakhne ke liye Detox Foods ka sevan jarur kare, isse aapke sharir ka toxic substance bahar hoga.
Get more update about Detox Foods from Food.