Salt Scrub Benefits: Nikhariye Apni Twacha Namak Se

Kya aapki twacha muhaso ke karan kharab ho gayi hai. Ya aapke chehre par bahut se daag-dabbhe hai to aapko namak ka scrub yani Salt Scrub karne se bahut se laabh prapt hoge. Isko ghar par hi banaya ja sakta hai. Isliye liye namak ko anya kai gharelu utpado ke saath milakar twcaha ke liye upyogi scrub taiyar kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai Salt Scrub Benefits, jo aapki twcah ko koi bhi nuksaan nhi pahuchayge.

Salt Scrub ke istemaal se jaha skin ke dead cells nikal jate hai, vahi twcha par ek alag nikhaar bhi aata hai. Aaiye jane Homemade Salt Scrub ki vidhi aur uske laabh.
Khane me namak ke kamaal ke bare me to aapne suna hi hoga lekin aaj jane namak ke scrub ke kamala aaj jane.

Experts ka kehna hai ki ye scrub lagane se dead skin cells nikal jati hai. Vahi, yeh skin se nikalne wale oil ko bhi niyantrit karta hai. Aap salt ko apne chehre ko saaf karne ke liye bhi prayog kar sakte hai. Bahut saare spa me bhi iska prayog kiya jata hai. Agar aapko acne se mukti pani hai to aap bhi ise baath salt ya phir face scrub ke roop me prayog kar sakti hai.

Salt Scrub Benefits: Janiye Homemade Salt Scrub Banane ki Vidhi aur Laabh

1) Salt Scrub

Nahane ke baad ek boond epsom salt aur scrub ka apni hateli me le kar chehre par lagaye. Ise golai me lagaye jisse skin se dead twcha saaf ho jaye aur pore khul jaye. Agar aapke naak ke paas jyada black heads hai to vaha par halke-halke hato se scrub ko ragadiye. Aap iss Salt scrub ko hafte me ek ya do baar prayog kar sakti hai.

You may also like: Sensitive Skin ke Liye Khas Homemade Face Scrub

2) Shahad and Epsom Salt Scrub

Yeh scrub sun tanning aur acne ko ek saath kam karne me sahayak hota hai. Shahad twacha ko name pahucha kar acne se rahat dilata hai. Aap chahe to isme dahi ko mila kar face mask bhi tayar kar sakti hai.

3) Epsom Salt and Lemon Scrub

Yeh ek prabhavi scrub hai, jo jaldi hi tayar ho jata hai. Kuch bund nimbu ki salt scrub me dale aur chehre ko scrub kare. Isse muhase aur black head saaf karne me aasani mil jati hai.

4) Salt and Oil Scrub

Apni skin ko saaf karne ke liye salt me kuch acche kism ke tel jese lavender, peppermint ya rosemary aadi ka tel milaiye. Ise mahine me keval ek baar hi prayog kijiye. Aisa krne se aapke chehre ke muhase gayab hone lagege.

5) Epsom Salt and Cleansing Milk

Agar aapki twacha rooki hai to Epsom salt me cleansing milk mila lijiye. Isse aapke chehre me name aayegi aur rash bhi nahi padege. Agar rookhi twacha par keval Epsom salt ka hi prayog kiya jaye to isse rashes pad sakte hai. Isliye humesha body lotion ya cleansing milk daal kar hi prayog karna chahiye.

Aaj aapne jane Salt Scrub Benefits jo aapki twcha ke liye baghut hi faydemand sabit hoge. To aaj hi iss scrub ka use kijiye aur dekhiey apne chehre par nayi chamak.

Get more details about Face Scrub from Beauty tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.